Aadhi Raat Ka Pura Chand


Tanha Tanha Lagta Hai, Aadhi Raat Ka "Pura Chand",
Dil Se Baatein Karta Hai, Aadhi Raat Ka "Pura Chand",

Uske Pyaar Mein Khoye Hum, Uski Khatir Roye Hum,
Dekh K Aksar Hansta Hai, Aadhi Raat Ka "Pura Chand",

Sach Yeh Hai K Paraya Hai, Phir Bhi Dil Ko Bhaya Hai,
Baat Meri Kab Sunta Hai, Aadhi Raat Ka "Pura Chand",

Ik Din Thi Tanhai Buhat, Yaad Tumhari Aayi Buhat,
Bilkul Tumsa Lagta Hai, Aadhi Raat Ka "Pura Chand".....!!

Mujhy jeenay ki umeed dobara day do


Mujhy jeenay ki umeed dobara day do,
Meri doobti kashti ki kinara dy do,

Main dard k sahil pay tanha khara hun,
Phir aa k apni baahon ka sahara day do,

Tera daaman to bhara hay sitaron say,
Mujhy sadqay may ik sitara day do,

Mery aangan my aj andhera ha bohat,
Meri dehleez ko phir apna nazara dy do,

Chund lamhy tujhy dekhnay ki hasrat hay bas,
My nay kab kaha waqt apna mujhy sara day do….!

Dasht-e-khamoshi mein


woh dasht-e-khamoshi mein
ungliyon mein Sipiyan pehny
Kisi sukhey Smundar ki
adhuri Piyaas ki baatain
Bohat chup chap sunta hai
bohat khamosh rehta hai
Usey ye kon samjhaye?
Khushi ke ek aansoo se
Samundar bhar Bhi jatey hain
Bohat khamosh rehney sey
TaluQ mar Bhi jate hain...!!!

Bhari mehfil mein...!!!


Bhari mehfil mein tanha rehna acha lagta hai
Tere barey mein sochte rehna acha lagta hai

Kabhi pholon mein, kabhi kaliyon mein
Tujh ko hi dhoondhte rehna acha lagta hai

Meri zindgi ki khushiyan tumhi se hain wabasta
Rab say sirf tumhein hi mangna acha lagta hai

Tumharey baghair zindgi ka koi tasavur nahi hai
Kuch is tarah tumhari tamanna karna acha lagta hai

Tum hi ko chaha,tum hi ko chahtey hain
Tumhi ko chahtey rehna acha lagta hai

Back 2 Love Rahat Fateh Ali Khan - Rab Jaane Lyrics


Ek chehre pe chehre
Chehare jaise kitne chehre hai
Kaun bataye tere kitne mere kitene hain

Main tere aankhon se aise fisal jaaun
Giru main dil me tere aur yun sambhal jaaun
Main teri aankhon se aise fisal jaaun
Giru main dil me tere aur yun sambhal jaaun
Yeh ishq maan le meri mante maangu
Dil ishq-pur chala main kidhar jaaun

Ki tere ishq me khud se guzar gaya hoon main
Rab jaane, jaane, jaane..
Rab jaane, Jaane, jaane..
Rab jaane, Jaane, jaane.. (x2)

Jahaan ho ishq wahaan pe talash rehti hai
Khushi khushi se zara usdas rehti hai
Jahaan ho ishq wahaan pe talash rehti hai
Khushi khushi se zara usdas rehti hai
Ye ishq dariya yahaan pe pyaas rehti hai
Khadi kyun har raste pe saans rehti hai
Utaar de ise jo bhi libaas pehnaaun
Mera libaas ishq main kya silwaaun
kisi ko keh ke ishq kehlaaun
Tu saamne se guzr aur main behal jaaun

Ke tere ishq me khud se guzar gaya hoon main
Rab jaane, Jaane, jaane...
Rab jaane, jaane, jaane...
Rab jaane, jaane, jaane...

Ishq nihattha ladta..
Jung lage talwaare
Ishq ke haath laga dil rakhe, baaki dil bekaare
Yeh ishq chaahe to mod mod mud jaaye
Yeh ishq tod ke jode to dud jaaye
Ye ishq chaahe to mod mod mud jaaye
Ye ishq tod ke jod to jud jaaye
Basaa basaaya sehar ujad jaaye
Hari rahe kalai jise woh pakad jaaye
Bujha bujha ke jise bar bar dehlaaun
Main pehle meri yeh main to kahin phenk aaun
Phir ek dil yeh mera khalipan tehal jaaye
Jo Raj-e-Ishq howe aise mahal jaaun

Ki tere ishq me khud se guzar gaya hoon main
Rab jaane, jaane, jaane..
Rab jaane, jaane, jaane...
Rab jaane, jaane, jaane... (x2)

Tou Jo Waadon Pe Dat Gaya Hota.


To Jo Waadon Pe Dat Gaya Hota.
Kon Kafir Tha Hat Gaya Hota.

Tere Seene Me Dil Nahin Shayed.
Warna Ab Tak To Phat Gaya Hota.

Tera Mera Milan Jo Ho Jata.
Kya Zamane Ka Ghat Gaya Hota.

Aur Kuch Waqt Sath Reh Lete.
Aur Kuch Waqt Kat Gaya Hota.

Hum Jo Tujh se Lipat Kar Ro Lete.
Gham Ka Baadal Tu Jhat Gaya Hota.

Tujh Ko Manzil Samajhne Se Pehle Kaaash.
"Inshaa"Palat Gaya Hota.

Rukhsati


Wo jo kah raha tha tum say
meri laadli behna..!

Zara hoslay say rehna
Tumhain hum say door ja kar

Koi dukh ho koi gham ho
Usko khush dili say sahna

Koi aisa din na aye
Kay Tumhari aankh nam ho

Tumhain yaad bhi na hoga
Meri Chaand jesii behna

Kay yeh baat kahtay kahtay
Koi khud say bhi ro raha tha...

Aaj Wo Muddat Baad


Aaj Wo Muddat Baad Aai Bhi

Bas Yeh Kehne

Janaa!

Mere Saare Khat Lauta Do

Sab Tasweeren, Qalam, Kitaaben

Wapis Kar Do Saare Tohfay

Mujh Se Sab Kuch Maangne Wali

Jate Jate

Mere Kamrey Ki Chokhat Par

Chor Gai Hai

“Apna Aap”

Wao

Related Posts with Thumbnails