Kar Na Dunya-e-Ghum ke Hawaly Mujh ko


Kar Na Dunya-e-Ghum ke Hawaly Mujh ko,, 
Main Tabassum Høn To Høntøn Pe Sajaaly Mujh kø.. 

Tu M¡la Hy Tø ye h¡ khøf Laga Rehta Hy,, 
Mera M¡lna k¡s¡ Uljhan Ma¡n Na Daaly tujh kø.. 

Is yaqeen Par H¡ Andherøn Ma¡n Safar jaar¡ Hy,, 
M¡l H¡ jaaengy k¡s¡ Røøz Ujaaly Mujhkø.. 

Ter¡ berukhi Ne Tø Majbøør k¡ya hy jeeny Par,, 
Ab Tera Pyaar kaheen Maar he Na Daaly Mujh kø.. 

Be N¡yaaz¡ ka ye Andaza Nah¡ kuch Bh¡ "MØHSIN", 
Baat Tø Tab Hy k tu mujh Se he chura ly Mujh ko'



Murjhaaye Hue Phool


Tum Ne Murjhaaye Hue Phool Kabhi Dekhe Hain

Dil Ki Qabron Pe Pare......

Hijr Ki Laash Ki Aankhon Pe Dhare

Tum Ne Uktaaye Hue Khuwab Kabhi Dekhe Hain

Dard Ki Palkon Se Lipte Hue

Ghabraaye Hue

Tum Ne Be-Chain Duaaen Kabhi Dekhi Hain

Mohabbat Ke Kinaaron Pe Bhatakti Phirti

Tum Ne Dekha Hai Mujhe

Kiya Kabhi Dekha Hai Mujhe...

Gham-naak Samandar Mein


Gham-naak Samandar Mein Kinare Na Bichartey
Tum Bichrey Thay Yaadon Ke Sahare Na Bichartey

Main Teri Judai Ka Sitm Jhail Hi Leta
Us Raat Agar Chand Sitare Na Bichartey

Ik Doojey Se Kuch Dard Ki Taqseem To Rehti
Jeewan Mein Agar Dard Ke Maare Na Bichartey

Har Rang Mein Hai Illat-o-Maalool Zaroori
Ankhen Na Bicharteen To Nazare Na Bichartey

Issi Torr Se Yaadon Ki Bhi Surat Nikal Aati
Hum Bhool Gaye Hote Jo Pyaare Na Bichartey

Ishq Ki Raah Mein...


Ishq ki raah me mar jaane de
Kaam aasan hai,kar jaane de--

Ay hawa,apni nahi fikr mujhy
Inn parindon ko to ghar jaane de--

Abr e purnam,tujhe jaldi kia hai
Meri aankhen bhi to bhar jaane de--

Kese sunn paaun ga aawaz teri
dil ki dharkan to theher jaane de--

Haath matt rok hawa ka Jamshaid
Zulf chehre pe bikhar jaane de--

Woh kaha karta tha....!!!


Wo kaha karta tha
Jab
Mein tujhy bhoolunga
To wo din zindagi ka
Akhri din ho ga
Us raat taaray
Na chamkaingy
Us subha
Suraj na
Nikley ga
Wo kaha karta tha
Meri har
Saans se
Tu wabasta hai
Aaj jab us
Ne rasta badla
Tou
Yaad aya
Wo kaha karta tha

Pani ankh mein bhar ker | Abbas Tabish Ghazal


Pani ankh mein bhar ker laya ja sakta hai
Ab bhi jalta sheher bachaya ja sakta hai

Aik mohabbat aur woh bhi nakam mohabat
Lekin is se kaam chalaya ja sakta hai

Dil per paani peeney ati hain umeedien
Is chashmey mein zeher milaya ja sakta hai

Mujh gumnaam se poochte hai farhaad o majnoon
Ishq mein kitna naam kamaya ja sakta hai

Yeh mehtab yeh raat ki peshani ka ghao
Esa zakham to dil per khaya ja sakta hai

Phatta purana khawb hai mera phir bhi tabish
Is mein apna aap chupaya ja sakta hai

Tumhara Tazkara Ab Roz-O-Shab Nahi Hota


Adab Ki Hadd Me Hoon, Be-Adab Nahi Hota
Tumhara Tazkara Ab Roz-O-Shab Nahi Hota

Kabhi Kabhi Chalak Parthi Hein Yunhi Ankhein
Udaas Honey Ka Koi Sabab Nahi Hota

Me Waldein Ko Yeh Baat Kese Samjhaaon??
Muhabatoon Me Hasab Nasab Nahi Hota

Kai Ameero’n Ki Mehromiyaan Na Poch K Bas
Ghareeb Hone Ka Ehsaas, Ab Nahi Hota

Wahan K Log Baray DilFaraib Hotay Hain
Mera Behakna Bhi Kuch Ajab Nahi Hota

Mei Us Zameen Ka Deedaar Kerna Chahta Hon
Jahan Kabhi Be Khuda Ka Ghazab Nahi Hota

Wao

Related Posts with Thumbnails