Waqt Guzar Jata Hai..


Apna toh ye soch kar waqt guzar jata hai,
Kyon door jane ke liye koi kareeb aata hai.?

Woh jaane kaise apne dil se mujhe bhoola baitha,
Main gar bhoolna chaahun toh bhoola bhi yaad aata hai.

Tab nikharti hai kahin zindagi ki asli soorat,
Ashq jab aap ke daaman pe bikhar jata hai.

Tadap tadap ke tujhe ta’umar yaad karta rahun,
Kuchh aur de na zakhm toh bhar jata hai.

Yun toh main khud bhi tujh par tawajoh nahin deta,
Mera zehan hai ki har baar udhar jata hai.

Beshaq bahaar sooni sooni si lagti hai,
Bulbul ke chale jane se kya baagh ujad jata hai. !!

Wao

Related Posts with Thumbnails