Mohabbat Ho Gayi Hogi


Kisi Ki Ankh Pur Nam Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi
Zabaan Pe Qissa-e-Ghum Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi,

Kabhi Hasna Kabhi Rona, Kabhi Hans Hans Ke Ro Dena
Ajab Dil Ka Yeh Alam Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi,

Kabhi Aankhon Hi Aankhon Me Woh Baaton Ka Bata Dena
Kabhi Takraar Baham Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi, 

Karein Gae Kya Rafaqat Ho Gae Tou


Karingy Kiya Rafaqat Ho Gai To.
Humain Hasil Yeh Raahat Ho Gai To.

Mujhy Pehlo Me Apny Mat Bithao.
Sharafat Se Shararat Ho Gai To.

Tere Kehny Pe Tumse Rooz Mil Lon.
Mujhy Tumse Muhabbat Ho Gai To.

Mujhy Manga Hai Tumne Hansty Hansty.
Teri Qabool Hajat Ho Gai To.

Main Tumko Aaj Jane Bhi Agar Du.
Tumhain Jane Ki Aadat Ho Gai To.

Hanso Mat Haal-E-Dil Pe Is Tarha Se.
Tumhain Bhi Easi Chaahat Ho Gai To...!!!

Ye Samandar Hai


ye Samandar Hai Kinare Hi Kinaare Jaao
Ishq Har Shakhs K Bas ka nahi Piyare jaao

Yun To Maqtal Main tamashaayi Bht aatey hein 
Aao Us Waqt K Jis Waqt pukaare jaao

Dil Ke baazi lagi Phr jaan ke baazi lag jaaye
Ishq main haar k baitho nahi Haare jaao 

Kaam ban jaaye Agar zulf janoon ban jaaye 
is liye uss ko sanwaaro k sanwaare jaao

Koi rasta koi manzil use dushwaar nahi
jis jagah jaao mohabbat k sahare jaao

hum to mitti se ugaayen ge mohabbat ke gulaab
tum agar torne jate sitaare jaao

Doobna hoga agar doobna taqdeer main hai
chaahe kashti pe raho chaahe kinare jaao

tum hi socho bhala ye shouq koi shouq hua
aaj oonchaayi pe baitho kal utaare jaao 

maut se khail k karte ho mohabat...
mujh ko dar hai kahin be-maut na maare jaao

Eid k Roz Bhi Majboor Thay Taqdeer Se Hum


Eid k Roz Bhi Majboor Thay Taqdeer Se Hum. 
Ro paray Mil k Gale Aap ki Tasveer Se Hum. 

Mera Jo Kuch Hai Tera Hai. Tere liye Hi To Hai. 
Tu Agar Jaan Bhi Mangay To Tujhe dete Hum. 

Hum Ne Kia kia na kiya Pyar mein o Mere Sanam. 
Phir be Mehroom Rahe Teri Wafaon se Hum. 

Teri yaadon Ne Shama Ban k jalaya Hai Mujhe. 
Parwano ki Tarha is Aag mein jalte Rahe Hum. 

Tum Ne kaha Tha loat Aaon Ga Eid py. 
Eid ka Din Hai Loat Aao.Warna Mar jayen Ge Hum.

Us bewafa se kehna ik yaar tha


Us Bewafa se kehna ik yaar tha Tumhara. 
Tum Zindagi thay uski wo pyar tha Tmhara.

kehte the Tum Mujhe ye main Jaan hn Tumhari.
Tum Chandni ho meri Main Chand hn Tumhara.

Hum sath hi Jeeyen ge. Hum sath hi Marain ge.
Tujhe yaad bhi hai Humdam Wada tha ye Tumhara.

Tum chor gaye Mujh ko. Dharkan me Tum basay ho.
Ye Dil dharakta hai to leta hai naam Tumhara.

Chand Raat Urdu Poetry | Wasi Shah Chand Raat Poetry


Main hon tera khayal hai aur chand raat hai
Dil dard se nidhal hai aur chand raat hai

Ankhon mein chob gaen teri yadon ki kirchiyan
Kandhon pe gham ki shal hai aur chand raat hai

Dil toor ke khamosh nizaron ka kia mila?
Shabnam ka ye sawal hai aur chand raat hai

Phir titliayan si orane lagein dashat khawab mein
Phir khawaish-e-wasal hai aur chand raat hai

Campas ki nehar par hai tera hath hath mein
Mosam bhi lazawal hai aur chand raat hai

Har ikk kali ne orah lia matami libas
Har phol par malal hai aur chand raat hai

Meri to por por mein khoshbo si bus gai
Us par tera khayal hai aur chand raat hai

Chalka sa parh raha hai WASI wehshaton ka rang
Har cheez pe zawal hai aur chand raat hai..!!!

Ek haseen ilzaam ko


Ek haseen ilzaam ko pyar kar sake to kar 
Dil ke dharkano pe ekhtayaar kar sake to kar 

Aaj koi nazm na ghazal hi mere paas hai 
Unkahe lafzon pe dil nisaar kar sake to kar 

Laut kar aate hue hai waqt ko dekha nahi 
Jasba- e- junoon intzaar kar sake to kar 

Shakl mein insaan ki kya kuch chupa lete hain log 
Kabhi aayeene ko zaar zaar kar sake to kar 

Yun gam-e-dil dega saki aaj fir jis naam se 
Us tabasuum ke kashish ko paar kar sake to kar 

Zahkm aise bhi jo parat dar parat main dab gaye 
Ek tanha shaam gam gusaar kar sake to kar

Aik Umar Talak


Aik umar talak ashk fishaani mein raha hai,
Ae Ishq ! tera dard rawaani mein raha hai,

Ye chorr mere saath kabhi tha k nahi tha,
Wo shakhs magar meri kahaani mein raha hai,

Wo saath nahi mere magar sach hai hamesha,
Wo shakhs meri aankh k paani mein raha hai,...

Ab Ke Yun Bhi Teri Zulfon Ki


Ab Ke Yun Bhi Teri Zulfon Ki Shikan Tooti Hai
Rung Phootey Kahin Khushboo Ki Rasan Tooti Hai

Maut Aai Hai Ke Taskeen Ki Saa’t Aai
Saans Tooti Hai Ke Sadiyon Ki Thakan Tooti Hai

Dil Shikasta Tou Kai Baar Howay Thay Laikin
Ab Ke Yun Hai Ke Her Ek Shaakh-e-Badan Tooti Hai

Itni Be-Rabt Mohabbat Bhi Kahan Thi Apni
Darmiyaan Se Kahin Zanjeer-e-Sukhan Tooti Hai

Silsila Tujh Se Bicharnay Ka Kahan Khatam Howa
Ek Zamaaney Se Raah-o-Rasm-e-Kuhaa.n Tooti Hai

Mere Yaaron Ke Tabassum Ki Kiran Maqtal Mein
Nok-e-Neza Ki Tarha Zair-e-Kafan Tooti Hai

Reza Reza Mein Bikharta Gaya Her Suu “Mohsin”
Sheesha Sheesha Meri Sangeeni-e-Fun Tooti Hai

Diya Khud Se Bujha Dena by Mohsin Naqvi


Diya Khud Se Bujha Dena
Hawa Ko Aur Kia Dena ?

Sitare Nochne Walo
Falak Ko Aasra Dena

Kabhi Is Taur Se Hansna
Ke Dunya Ko Rula Dena

Kabhi Is Rang Se Rona
Ke Khud Pe Muskura Dena

Main Teri Dastaras Chahun
Mujhe Aisi Dua Dena

Main Tera Barmla Mujrim
Mujhe Khul Kar Saza Dena

Main Tera Munfarid Sathi
Mujhe Hat Kar Jaza Dena

Mera Sar Sab Se Ooncha Hai
Mujhe Maqtal Naya Dena

Mujhe Acha Laga “Mohsin”
Ose Pa Kar Ganwa Dena

Pori Mehndi Bhi Lagani Nahi Aati


Pori Mehndi Bhi Lagani Nahi Aati.
Kese Aaya Tujhe Geron Se Lagana Dil Ka.

In Haseeno Ka Larakpan Hi Rahe Ya Allah.
Hosh Aata Hai To Aata Hai Sataana Dil Ka.

Meri Aagosh Se Kya Hi Wo Tarap Kar Boli,
Unka Jaana Tha Elahi K Ye jaana Dil Ka.

Bedili Ka Jo Kaha Haal To Farmate Hain,
Kar Liya Tonay Kahin Aur Thikana Dil Ka.

Chhor Kar Us Ko Teri Bazm Se Kyon kar Jaon.
Ek Janaazay Ka Uthaana Hai Uthaana Dil Ka.

Nigah E Yaar Ne Ki Khaana Kharaabi Aisi.
Na Thikaana Hai Jigar ka Naa Thikaana Dil Ka.


TUMHARE SAATH REHNA HAI


TUMHARE:
SAATH
REHNA HAI:       

Chalo ab rothna choro,

Chalo ranjish bhula do na,

Muhabat tum bhi kartay ho,

Muhabat main bhi karta hon,

To phir ye rothna kesa?

To phir ye ranjishein kesi?

Tumhare pas sub kuch hai,

Ye dolat hai, ye shohrat hai,

Merey daman mein meri jaan,

Sirf tumhari muhabbat hai,

Mujhey bas itna kehna hai,

Tumhare paas rehna hai...
:TUMHARE: 
SAATH :REHNA HAI:

Woh pyar youn karta hai


wo pyar yun karta hai sanbhaLny nahi deta,
Phir dukh k samandar mein ubharny nahi deta.

Us ki jafa b mashHoor hai wafa k saath,
Wo dard to deta hai par ronay nahi deta.

Karta hai waar marham ko khanjar pe Laga k,
Wo zakham to deta hai par marnay nahi deta.

Jo torrta hai diL to aansu b bahata hai,
barbaad to karta hai par ujarrny nahi deta.

Mehboob miLa hai hum ko ajeeb sa
Wo aag to Lagata hai par jaLnay nahi deta...!

Tum Mosam Mosam lagty ho...


Tum Mosam Mosam lagty ho...
Jo Pal Pal Rang Badalty ho....

Tum Sawan sawan lagty ho ....
Jo Sadiyon Bad Barasty ho......

Tum Sapna Sapna Lagty ho...
Jo Mujh ko Kam kam dikhty ho...

Tum Pal Pal mujh Se Larty ho...
Per Phr b Achy Lagty ho.....

Bat tu hai Sharmeeli c Per
kehny ko Dill chahta hai...

Lo Aj Tumhen Ye keh Dala...
k tum Apny Apny Lagty ho....

Raqs mein raat hai badan ki tarah


Raqs mein raat hai badan ki tarah
barashon ki hawa mein, bin ki tarah

chand bhi meri kerwaton ka gawah
meray bister ki her shiken ki tarah

chaak hai daman qaba-e-bahar
meray khawabon kay pairhan ki tarah

zindagi, tujh se door reh ker mein
kaat loon gi jalla watan ki tarah

mujh ko tasleem, meray chand kay mein
teray hamrah hon ghuhan ki tarah

baarhaa tera intizaar kia
apne khawabon mein ik dulhan ki tarah

Wao

Related Posts with Thumbnails