Kitni Choti Si Hai Yeh Jannat Meri


?...KiTni Ch0Ti Si Hai Yeh JaNNaT MeRi
Ek MaiN H0oN AuR Ek M0haBBaT MeRi......?

?...Hai HaaSiL MuJhe PuRi DuNiYa YaHaN
Ek MaiN H0oN AuR Ek ChaHaT MeRi......?

?...WaBasTa Hai SaaRi KhuSiYaaN TuMSe
Ek MaiN H0oN AuR Ek MuSkuRaHaT MeRi......?

?...LaBoN PaR TeRi SaaNs0N Ki HaRaRaT Hai
Ek MaiN H0oN AuR Ek ShaRMaHaT MeRi......?

?...DhaDkaN Ki HaR GooNj MaiN Hai ShaMiL
Ek MaiN H0oN AuR Ek ShiDDaT MeRi......?


Rahiye Ab Aisi Jagah


Rahiye Ab Aisi Jagah Chalkar Jahaan Koi Na Ho
Hamsukhan Koi Na Ho Aur Hamzabaan Koi Na Ho

Bedar-O-Deewar Saa Ik Ghar Banaya Chahiye
Koi Hamsaaya Na Ho Aur Paasbaan Koi Na Ho

Padiye Gar Beemar To Koi Na Ho Timaardaar
Aur Agar Mar Jaaiye To Nauhakhvaan Koi Na Ho

Rone Se Aur Ishq Main Bebaak Ho Gaye
Dhoe Gae Ham Aise Ki Bas Paak Ho Gaye

Sarf-E-Baha-E-Mai Hue Aalat-E-Maikashi
The Ye Hi Do Hisaab So Yon Paak Ho Gaye

Rusva-E-Dahar Go Hue Aavargi Se Tum
Baare Tabiyaton Ke To Chalaak Ho Gaye

Kahta Hai Kaun Nalaa-E-Bulbul Ko Beasar
Parde Main Gul Ke Laakh Jigar Chaak Ho Gaye


Agar Hum Zindagi Ka Raasta


Agar Hum Zindagi Ka Raasta Hamwaar Kar Len Gae,
Hamare Baad Kaafi Log Dariya Paar Kar Len Gae,

Kisi Ke Dard-e-Derina Se Apna Wasta Kya Hai,
Agar Voh Mil Gaya, Afsos Ka Izhaar Kar Len Gae,

Usey To Kya Shifa Hogi, Mujhe Kuch Aisa Lagta Hai,
Ye Chaarah'Saaz Apne Aap Ko Beemar Kar Len Gae,

Woh Kitni Dair Tak Rotha Rahe Ga ' Sagar Yaaron Se,
Gale Lag Jayen Ge, Aariz Milen Ge, Pyaar Kar Len Gae....

Hum Ne Tujhko Jahan Jahan Dekha


Hum ne tujhko jahan jahan dekha
Jab bhi dekha tou benashan dekha

Dekhye! Ab ke kia dekhai dy
Tu he tu tha waha jahan dekha

Hum ne uski aman mein, usko
Uske kochay mein be'emaan dekha

Hum nahi thy jahan jahan majood
Hum ne usko wahan wahan dekha

Hosh aur khurd ki naffi kar ke
Yar ka jalwa darmayan dekha

Dil ki ankhon se jab dikhaya tou
Ja baja char soo ayaan dekha....!!!

Meri Chahat Tha Wo Meri Anaa Bhi Tha


Meri Chahat Tha Wo Meri Anaa Bhi Tha
Merey Khamosh Lehjon Ki Ek Sadaa Bhi Tha

Rehta Tha Subha-o-Shaam Wo Mere Wajood Mein
Meri Awaaz..Mera Lehja….Wo Meri Adaa Bhi Tha

Deta Tha Wo Mujh Ko Zakhm Behisaab Magar
Hamdard Bhe Tha Wo Mera..Wo Meri Wafa Bhi Tha

Ab Os Ke Zikar Pe Mein Aksar Baat Badal Deta Hoon
Kabhi Meri Mohabbat Ki Inteha Bhi tha

Ajab Kash Ma Kash Mein Thi Zindagi Meri
Poojna Usay Tha Aur Dil Mein Khuda Bhi Tha ♥


Baithi hoon yahan



Baithi hoon yahan, intezaar mein teray,
Saaya mera mujh pe chilla raha ha

Awaz aa rahi hai,
Kehti hai mujhse,
Tu apna waqt aisay kyun gawa rahi hai?

Denay ko tou de doon hazaaron jawab,
Lekin mohabbat ka maara ye nazuk dil,
Ranj-o-ghum ki aatish mein pighla ja raha ha....

Zindagi Ki Rahon Mein Tum Bhi Chor Gaye Aakhir


Zindagi Ki Rahon Mein Tum Bhi Chor Gaye Aakhir
Baray Hamdard Bantay Thay Mera Dil Torr Gaye Aakhir .
.
Tum Pe To Baray Maan Thay Meri Umeedon Ko …!
Ab Kis Se Gila Karon, Tum Hi Moh Morr Gaye Aakhir ..

Log To Chalo Log Thay Unho Ne Jo Kiya So Kiya …!
Bhari Dunya Mein Aaj Tum Bhi Tanha Chor Gaye Aakhir ..

Tum to Kehtay Thay Hum Wo Nhi Hain Jo Chorain Apno Ko ..!
Apnay Waaday Apni Kasmain Khud Torr Gaye Aakhir ..


Sham ko sougwar karte rahe


Sham ko sougwar karte rahe
Hum tera intezar karte rahe

Tu to kaar-e-jahan mai tha masruf
Or hum tujh se pyaar karte rahe

Dil ko bus mubtila-e-ghum rakha
Wehshaton ka shumar karte rahe

Hum tere hurf-o-lub ki khushboo se
Umar ko khushgawar karte rahe..


Zindagi Gulzar Hai


Zindagi Khaak Na Thi Khaak Ura Kay Guzri
Tujh Say Kiya Kehtay Teray Paas Jo Aatay Guzri

Din Jo Guzra Tu Kisi Yaad Ki Ro Mai Guzra
Shaam Aayi Tu Koi Khuwaab Dikhatay Guzri

Tujh Say Kiya Kehtay Teray Paas Jo Aatay Guzri
Acchay Waqton Ki Tamanna Mai Rahi Umar-E-Rawaan

Waqt Aisa Tha Kay Bus Naaz Uthatay Guzri
Tujh Say Kiya Kehtay Teray Paas Jo Aatay Guzri

Raat Kiya Aayi Kay Tanhayi Kay Sargoshi Mai
Ghum Ka Aalam Tha Magar Suntay Sunatay Guzri

Tujh Say Kiya Kehtay Teray Paas Jo Aatay Guzri



Mayar girta na doston ka


Mayar girta na doston ka, na ham bhi dushman ki dahaal hotay, 
Zaeef dushman pe waar kartay, tou waqt k ham dajaal hotay,

Nahi tha apna mizaaj aesa, k zarf kho kar anaa bachatay,
Wagarna aese jawaab detay, k phir na paida sawaal hotay,

Hamari fitrat ko janta hai, tabhi tou dushman ye keh raha hai,
Hai dushmani main bhi zarf aesa, jo dost hotay kamaal hotay,

Jo aa k tum haal puch letay, tou itni lambi na umr lagti,
Kay wasl ki ik ghari main saray, guzar gaye maah-o-saal hotay,

Usay mubarik maqaam uncha, sahi haqeeqat hamain pta hai,
Banatay rishton ki ham bhi seerhi, tou aasmaan ki misaal hotay..


Main Jhoom Jaon To Sharabi Na Samajhna


MAIN Jhoom Jaon To Sharabi Na Samajhna,
Gir Jaon Jo Sajday Mein To NamaZi Na Samajhna,

Thorra Sa Behak Gaya Hoon Muhabbat Mein,
Jo Aagy Barhon To Shikari Na Samajhna,

Mujh Se Cheen Li Hain Khushiyan Mere Apno Ne,
Hath Jo Phailaaon To Bhikhari Na Samajhna,

Mujhe Aata Hai Ab Bhi Dosti Ka Khayal,
Boht Kuch Khoya Hai Main Ne Anarri Na Samajhna,

Ek Naseehat Meri Yaad Rakhna Ae Pyare DOST,
Dosti Ko Kabhi Tum Waqt-GuZari Na Samajhna...


Azhar Durrani Urdu Poetry - Azhar Durrani Ghazal


Mera naseeb hoeeN talkhiyaaN zamanay ki
Kissi naiN khoob saza di hai muskuranay ki

Meray Khuda mujhay Tariq ka hosla ho ata
Zaroorat aan paRi hai kashtiyaaN jalanay ki

Main daikhta hoN her simt pancheeyoN kay hujoom
Ilaahi khair ho saiyaad ka gharanay ki

Qadam qadam pay saleeboN kay jaal phela do
Keh sarkashoN ko to aadat hai sar uthaanay ki

Shareek-e-jurm na hotay to mukhbari kertay
HumaiN khabar hai luteroN kay her thikanay ki

Hazaar haath girebaaN tak aa ga'ay Azhar
Abhi to baat chali bhi na thi zamanay ki


Kyun tu acha lagta hai , waqt mila to sochen gae. . .


Kyun tu acha lagta hai , waqt mila to sochen gae
Tujh mein kya kya dekha hai, waqt mila to sochen gae

Sara sheher shanasai ka , dawedar to hai lekin
Kon hamara apna hai , waqt mila to sochen gae

Hum ne usko likha tha , kuch milne ki tadbeer karo
Us ne likh ker bheja hai , waqt mila to sochen gae

Mosam khushbu baad-e-saba chand shafaq aur taron mein
Kon Tumhare jaisa hai ,waqt mila to sochen gae

Ya to apne dil ki mano , ya phir duniya walon ki
Mashwara uska acha hai ,waqt mila to sochen gae....


Nishani koi to ab ke safar ki ghar lana.


Nishani koi to ab ke safar ki ghar lana..
Takaan paon ki aur titliyon ke par lana..

Main likh rahi hoon kahani teri rifaqat ki..
Jo ho sake to koi harf-e-motabar lana..

Yehi na ho ke musalsal wafa thaka dale..
Mohabbato'n mein nayya pan talash kar lana..

Safar ke shoq mein chal to paray ho tum ghar se..
Dukhon ki gard se daman na apna bhar lana..

Jo kohe qaaf chale ho to chand chehron ka..
Mujasma koi acha talash kar lana....


Barish mujhe is liye pyari lagti hai....


Barish mujhe islye pyari lagti hai,

Q k barish tmari yaden le kr ati ha,

Tum mjhe islye pyare lagte ho,

Q k tmari yaden,

Barish ko or b pyara bna deti han,

Aj barish me akele bheeg kar,

     $....JANE Q....$

Mera dil mujh se bar bar keh rha tha,

K me barish ki hr ik bound se puchun,

Kya usy barishen aj b pyari lagti hain?

Tera khayal Agar Juzw-e-Zindgi Na Rahy


Tera khayal Agar Juzw-e-Zindgi Na Rahy,
Jahan Main Mery Liye koi Dil'kashi Na Rahy,

Main Aa Gaya Hoon Wahan Tak Teri Tamanna Main,
Jahan Sy Koi Bhi Imkan-e Waapsi Na Rahy,

Tu Theek Kehta Hy, Ay Mohsin Theek kehta Hy,
K Hum Hi QabiL-e-TajDeeD-e-MOHBBAT Na Rahy,

Mera To khair AzaL Hi Sy Gham MuQaddar Hy,
Teri NIGAH Ki Pehchan BERUKHI Na Rahy,

Teray Firaaq Ka Mosam Azaab Hy M0hsiN,
Kabi kabi To Main kehta Hoon Zindgi Na Rahy.

Khwahishon ke Aangan mein


Khwahishon k Aangan me, raat din basery thy,
Titliyaan tumhari ti, Aur phool mere thy,

Chaand aasmanon se jab zameen pe utra tha,
Daikhny mein raatein thein, Asal mein swairy thy,

Tere paas basny ki, khaai thi qasam lekin,
Shehar b paraya tha, Log b lutairy thy,

Lut gay hain ham "" To qasoor kis ka hai..
Khwahishein b teri thin, Faisly b tery thy...!

Mujh ko maloom nahi chahat k taqazay


Mujh ko maloom nahi chahat k taqazay lekin...
Ham ne teri baaton k siwa har baat bhula rakhi hai.

Safar mushkil hai maloom hai Lekin...
Tu hamara hai to har fikr mita rakhi hai.

Tu bhula de to bhula de Lekin ham ne...
Teri khushbo bhi Taveez bana rakhi hai.

Tu Alag ho to har baar yoon lagta hai..
Zindgi maot k pehlu mein bitha rakhi hai.

Teri baatain, Tera lehja , Tera chehra
Tujh mein khaaliq ne har cheez juda rakhi hai


Dar Badar Ho Sar-e-Bazaar Mohabbat Kar Lo


Dar Badar Ho, Sar-e-Baazaar Mohabbat Krlo,
Roz Marna Hai Tau Phir Yaaar Mohabbat Krlo,

Haalat-e-Zaar, shab-e-Ghum B, Laal Aankhein B,
Sab Samajh Jao Gay, Ik Baar Mohabbat Krlo,

Khud Kushi K Liye Marna, Koi Laazim Tau Nahin,
Zindagi Se Jo Ho Bayzaar Mohabbat Krlo,

Shaikh Kehtay Hain Namazein Parho Sajday B Kro,
Hum Ye Kehtay Hain Gunahgaar Mohabbat Krlo,

Is Qadar Raaat Gaye, Shab Sawaal Krti Hai,
Tum Se Kis Ne Kaha Tha Yaaar Mohabbat Krlo....

Bhool Sakta Hai Unhay Koi Bhi Aisay Kaisay...!


Bhool Sakta Hai Unhay,Koi Bhi Aisay Kaisay 
Raftga'n Dil Main Basa Kartay Hain, Kaisay Kaisay 

Jaan Le Kar Bhi Agar, Khush Nahi Honay Wala 
Koi Batlaye Wo, Phir Manay Ga, Waisay Kaisay 

Ye Meray Yaar Ki Ankho'n Main Raha Karti Thi 
Pochiye Kuch Na Hui Dosti Ma'iy Se Kaisay 

Wo To Anmol Hai,Nayaab Hai, Iklota Hai 
Uski Tashbeeh, Karein Hum, Kisi Sh'ay Se Kaisay 

Hanstay Hanstay Wo Judayi Ko Bhi Seh Jayega 
Zinda Reh Payengay, Lekin, Meray Jaisay Kaisay 

Zindagi Se Tujhay, Be-Dakhl, To Kar Dein Jana 
Par Tu Niklay Bhi To Niklay, Rag-E-Ja'n Se Kaisay 

Kulkulay Ma'iy Ki Tarha Behnay Laga Khoon Aba 
Naghmay Niklay Hain, Meray Dard Ki, Na'iy Se Kaisay 

Zindagi Ye Teri Raftaar Ajab Tarz Ki Hai 
Chalna Chahein To Chalay Hum Teri La'iy Se Kaisay 

Hamsay Kehtay Hain Bhula De Tumhein, Dekho To 'Wasi' 
Mashwaray Humko Mila Kartay Hain, Kaisay Kaisay...!!!!


Khushi ki baat hai ya dukh ka manzar


Khushi ki baat hai ya dukh ka manzar dekh sakti hoon,
Teri awaaz ka chehra main chuu kar dekh sakti hoon,

Abhi tere labon pe zikar fasal-e-gul nahin aya,
Magar ik phool khilte apne andar dekh sakti hoon,

Kinaara dhoondne ki chaah tak mujh mein nahin hogi,
Main apne gird aik aesa samandar dekh sakti hoon,

Vasaal-o-hijar apne yaksaan hain, woh manzar hai chahat me,
Main aankhain band kar ke tujh ko aksar dekh sakti hoon,

Abhi tere siwa duniya bhi hai maujood is dil me,
Main khud ko kis tarah tere barabar dekh sakti hoon..


Hina Ka Rang Hoon Main


Hina Ka Rang Hoon Main Hathon Pe To Aaon Ga.
Utar Gaya To Mehak Apni Chor Jaon Ga.

Ghazal Ka Shair Hoon Dil Ki Kitaab Mein Likh Lo.
Bhula Diya To Kabi Yaad Bhi Na Aaon Ga.

Teri Hi Ashk-E- Tamana Hoon Rok Lo Mujh Ko.
Main Aik Din Teri Palkon Pe JaG-maGaon Ga.

Khuloos-E-Dil Se Sada Di Agar Kisi Ne Mujhe..
Gayi Bahaar Ki Tarha Phir Lot Aaon Ga.

Dilon Ka Dard AGar koi Na Samjha "dost".
To Phir Pathron K Zamane Me Lot Jaon ga ,

Uljay howey din raat


Apny uljay howey din raat bhi sulja na saky
Kitney Be-faiz Hain Khud Apney Hi Kaam Aa Na Sakey

Saaya-e-Zeest Ko Dhaltey Huwey Daikha Lekin
Taptey Sehra Pay Koi Naqsh-e-Khushi Paa Na Sakey

Dil Bhi Machla Tha Nigahein Bhi Palat Jaati Theen
Unn Ki Dehleez Pay Lekin Ye Qadam Jaa Na Sakey

Dil Ki Taskheer Hi Darasal Fatah Mandi Hai
Unn Ko Paa Kar Bhi Magar Hum Unhein Apna Na Sakey

Daastan Kehney Ki Kuch Waqt Ne Mohlat Hi Na Di
Lab Kusha Ho Na Sakey Dil Unhein Dilkhla Na Sakey

Khilti Kaliyon Ke Tabasum Ki Haqeeqat Kya Hai
Bikhrey Phoolon Say Jo Poocha To Woh Samjha Na Sakey ….!

Jo Mujh Se Poocha Hai Aaj Tum Ne


Jo Mujh Se Poocha Hai Aaj Tum Ne

Ke Main Tumhara Hoon Kya Batao

Tau Khud Hii Socho Tum Aik Pal Ko

Bhala Main Kaise Tumhain Bataoon

Hai Tum Se Mera Wohi Taalluk

... Jo Apne Saey Se Hai Shajar Ka

Jo Khurshid Se Hai Qamar Ka

Gulon Se Hota Hai Jo Mehak Ka

Kissi Kii Aankhon Ke Masst Dauron Se

Uss Ke Mehboob Ki Jhalak Ka



Main Hoon Badan Tau Tum Iss Kii Jaan Ho

Bahar Mausam Ke Tarjumaan Ho

Lahoo Kii Soorat Meri Ragon Mein

Herr Aik Lamha Rawan Dawan Ho

Namaz Hoon Mein Tau Tum Aazaan Ho

Zamin Hoon Main Tum Aasmaan Ho



Wahi Taalluk Hai Tum Se Mera

Jo Dil Se Hota Hai Dharknon Ka

Khumar Se Jo MehKashon Ka

Jo Shaeron Se Mehvashon Ka

Jo Husn Walon Se Dil Jalon Ka

Wohi Jo Sagar Se Sahilon Ka

Jo Rooh Se Hai Kissi Badan Ka

Hai Guftagoo Se Kissi Dahan Ka

Jo Baarishon Ka Zamin Se Hai

Ibaadaton Ka Jabin Se Hai

Wohi Taalluk Apne Darmiyan Hai



Tumi Baharon Ki Dilkashi Ho

Tumhi Tau Aankhon Ki Roshni Ho

"Jo Sach Kahon Tum Meri Kushi Ho"

Tumi Ujaala Tumhi Saba Ho

Tumhi Aarzoo Tumhi Wafa Ho

Tamam Jazbon Kii Intiha Ho

Tau Kyon Naa Tum Pe Yeh Dil Fida Ho



Batao Jaana Hai Itna Kaafi!!!

Ke Aur Bhii Tumhain Kuch Bataaon???

Jo Ho Sake Tau Khayal Rakhna

Tumhara Mujh Se Wohi Hai Rishta

Malaika Se Jo Bandgi Ka

Jo Marne Wale Se Zindigi Ka

Samandaron Se jo Seep Ka Hai

Wohi Jo Aankhon Ka Deep Se Hai!!!


Tum Ne Poocha Hai....


TUM NE POOCHA HAI CHALO TUM KO BATA DETE HAIN.
JO HUM PE GUZRI HAI TUM KO B BATA DETE HAIN.

TERE BAAD HAMEIN KHUD PE B AITBAR NAHI.
LAFAZ LIKHTEY HAIN LIKH KER MITA DETE HAIN.

NAMI AANKHON Me LIYE LAGON SE KABHI HANS LAIN.
TO ESA LAGTA HAI K KHUD KO SAZA DETE HAIN.

TERI YAAD SE IK PAL Bhi GHAFIL NA RAHE.
YOUN Hi DIL K BEHAL JANE KO BHULA DETE HAIN.

HUM NE HANS K TERY SATH GUZARAY THAY KABHI.
YAAD ATAY HAIN JO WO PAL TO RULA DETE HAIN...!

Taza Mohabbat


G main ata hai koi taza mohabbat ker len

uski aadaat main dhalty hue aadat badlen

uski khatir koi chahat koi afrant badlen

uske hoty hue chahat ka safer badly ga

geet ka haar ka her aik huner badly ga

g main aata hai nai shokh k pehloo se lageen

g main aata hai koi taza mohabat ker len

phir nai zulf k saye main guzaren raten

phir nai ankh main masoom se paiman bandhen

phir naya jism naye andaz k geet

phir nai chaal pe ghazlen kahen, nazmen likhen

phir naye honton ko tasveer karen

jism k zaviye jidadat main bhigo ker dekhen

G main aata hai koi taza mohabat ker len.....


Kal Ho Na Ho


Yaad unki aaney do, dil me sitaare jhilmilane do
Dil aakhir dil hai iska ? kal ka kya bharosaa

Aaj ji bhar ke pila, peeney de saaki humko
Kal maikadey mey hamarey wajaahat ka kya bharosa

Zindagi unkey naam aur nishaana hasti ko banane do
Kal in khazanon ke nam-o-nishan ka kya bharosa

Na samjha mujhe naaseh, na ginaa meri zakhmon ko
Dushman khair dushman, doston ka kya bharosa

Bani hai ya bighadi hai takdeer, chod in baton ko
Ishq waalon ke, takdeer ka kya bharosa....


Ehd-E-Wafa - Love / Romantic Poetry


Wo jo khud Pairvi-e-Ehd-e-Wafa krta tha!!
Mujse milta tha to Talqeen-e-Wafa krta tha!!

Us k Daman me koi Phool nahi mery Liye!!
Jo meri Tangi-e-Daman ka gila krta tha!!

Aj jo usko Bulaya to wo Gumsum hi raha!!
Dil dhrkny ki jo Awaz suna krta tha!!

Aj usne meri har ek Baat k Mani pochy!!
Jo meri soch ki Tafseer likha krta tha!!

Uski Dehlez pe sadyon se khara hoon "Mohsin"
Mujse milne k jo Lamhat gina krta tha...!!


Wao

Related Posts with Thumbnails