Aik Khwab - Honton ki Hasi


Tere honton Ki Hasi Banane ka Khwab hai,
Tere Aagosh main Simat Jane Ka Khwab Hai,

Tu Lakh Bacha Le Daman Ishq Ke Hathon,
Aasma Ban Kar Tuj Par Cha Jane Ka Khwab Hai,

Ajmayish Yu To Acchi Nahi Hoti Ishq ki,
Tu Chahe To Teri Takdir Banane Ka Khwab Hai,

Wo Maut Bhi Laut Jaye Tere Darwaje Pe Aa Ke,
Tuj Ko Aisi Zindagi Dene Ka Khwab Hai,

Jee Bhi Lenge Agar Jina Pada Tera Bina,
Lakin Tuj Par To Mar Mitne Ka Khwab Hai….!

Kaash hum khul ke zindagi kartay


Kaash hum khul ke zindagi kartay
Umar guzri hai khud kushi kartay

Bijlian iss taraf nahi aaiin
Warna ham ghar main roshni kartay

Kaun dushman teri tarah ka tha
Aur ham kis say dosti kartay

Ishq Ujrat talab na tha warna
Hum teray dar pay nokri kartay

Iss tamanna main ho gaye roswa
Hum be jee bhar ke aashqi kartay

Hussn us ka na khul saka MOhsin
Thak gaye log shayeri kartay....!!!!!

Kahan Tha Itna Azab Ashna


Kahan Tha Itna Azab Ashna Mera Chehra
Jale Chiragh Tu Bujhne Laga Mera Chehra

Woh Tere Hijar K Din Woh Safar Sadiyon K
Tu Un Dino Men Kabhi Dekhta Mera Chehra

Judaiyon K Safar Men Rahe Hen Sath Sada
Teri talash Zamane Hawa Mera Chehra

Mere Siwa Koi Itna Udas B To Na Tha
Khizan K Chand Ko Acha Laga Mera Chehra

Kitab Khol Raha Tha Woh Apne Mazi Ki
Warq Warq Pe Bikharta Gaya Mera Chehra

Sehar K Nor Se Dhulti Howi Teri Ankhen
Safar Ki Gard Men Lipta Howa Mera Chehra

Hawa Ka Akhri Bosa Tha Ya Qayamat Thi
Badan Ki Shakh Se Phir Gir Para Mera Chehra

Jise Bujha K Hawa Sogwar Phirti Hai
Woh Shama-e-Sham-e-Safar Thi K Mera Chehra

Yeh Log Kiyon Mujhe Pehchante Nahi "Mohsin"
Men Sochta Hon Kahan Reh Gaya Mera Chehr

Jab Se Us Ne Shahar Ko - Mohsin Naqvi Poetry


Jab se us ne shahar ko chora har rasta sunsan hua
Apna kya hai sare shahar ka ik jaisa nuksan hua

Mere hal pe hairat kaisi dard k tanha mausam main
Pathar bhi ro parte hain insan to phir insan hua

Us k zakhm chupa kar rakhiye khud us shakhs ki nazron se
Us se kaisa shikawa kije wo to abhi nadan hua

Yun bhi kam amez tha "Mohsin" wo is shahar k logon se
Lekin mere samne akar aur bi kuch anjan hua....

Resham zulfon neelam ankhon walay


Resham zulfon, neelam ankhon walay achay lagtay hain
Main shair hoon mujh ko ujlay chehray achay lagtay hain

Tum khud socho, aadhi raat ko thanday chaand ki chaoon mein
Tanha raahon per hum donon kitnay achay lagtay hain!

Aakhir,aakhir sachay qoul bhi chubhtay hain dil walon ko
Pehlay pehlay piyaar ke jhootay waday achay lagtay hain

Jab say wo perdes gaya hai shehar ki ronaq rooth gai hai
Ab tou apnay ghar k band dareechay achay lagtay hain

Kaali raat mein jagmag kertay taaray koun bujhata hai?
Iis dulhan ko ye mouti ye gehnay, achay lagtay hain

Kal us rootha roothay yaar ko dekha to mehsoos hua Mohsin
Ujlay jisam pe mailay kapray achay lagtay hain

Bharkain meri pyas ko aksar teri aankhein


Bharkain meri pyas ko aksar teri aankhein
Sehra mera chehra hai, Samandar teri aankhein

Phir koun bhala Daad-e-Tabassum unhein dega
Royein gi bohat mujhse bichar kar teri aankhein

Bojhal nazar aati hai bazahir mujhe lekin
khulti hain bohat dil mein utar kar teri aankhein

Ab tak meri yadoon se mitaye nahi mitta
Bheegi huwi ik shaam ka manzar teri aankhein

Mumkin ho to ik taza ghazal aur bhi keh loon
Phir orh na lein khuwab ki chadar teri aankhein

Yoon dekhte rehna use acha nahi mohsin^
Wo kaanch ka paikar hai aur pathar teri aankhein

Misal-e-abar zameen


Misal-e-abar zameen ka libas ho jaoun
Jo youn nhe to samundar ki piyas ho jaoun

Tamam din ki karri dhoop mein ye sochta hon
Main shab ke pichley pehar ka harras ho jaoun

Ab apney wastey kuch mangney se khouf aaey
Tu hath utha ke teri altimas ho jaoun

Bujhi bujhi houi aankhoun ki teergi ki qasam
Tujhey parhoun to sitarah shinas ho jaoun

Khushi mili to kai dard mujh se rooth gey
Dua kro ke main phir se udaas ho jaoun

Meri kitaab ke unwan, zara qareeb to aa
Main apney aap tera iqtebaas ho jaoun

Ab apney aap sanwrney ka shoq kia Mohsin
Kisi ujarrtey howe dil ki aas ho jaoun...

Woh jab bhi milta hai


Woh jab bhi milta hai aik nai baat karta hai.
Karri doop mein khuwaish-e-barsaat karta hai.

Mere aur uske mabain hoti hai yehi takraar,
Phir milon ga bus itni si mulaqaat karta hai.

Iss liye tou kabhi us se kuch manga he nahi,
Jo tohfattan aansoo'on ki sogaat karta hai.

Main usay kese na azeez samjhon nateeq,
Jo apni her jeet ko mansob meri zaat karta hai...!!!

Khof ki shab mein hont sine se


Khof ki shab mein hont sine se,
Mrna behtar hai ese jine se,

Kuch to qaim rahe aana ka bharam,
Dekhna hai usay qarene se.

Yun tamasha tou isko hona tha,
Jo giri aarzoo ke zine se.

Kuch hawaon ka itbar nahi,
Wrna kia khof is safine se.

Dil ka ab talkhiyon se nata hai,
Lutf leta hai zehar pine se.

Meri zameen par jo chandni hai (Noshi Gillani)


Meri zameen par jo chandni hai woh sab teri hai,
Mere falak par jo dilkashi hai woh sab teri hai,

Jo titliyon ke paron pe likhe hain khat mere hain,
Yeh jugn’uon mai jo roshni hai woh sab teri hai,

Jo shab pe chai khamoshia hain woh sab meri hain,
Sehar mai jitni bhi nagmagi hai woh sab teri hai,

Jo tere manzar mai aur manzar hain sab mere hain,
Jo mere sene mai shairi hai woh sab teri hai,

Jo teri muthi mai khusbu’ain hain woh sab meri hain,
Jo meri aankhon mai roshni hai woh sab teri hai....


BY:- Noshi Gillani

Mujhko Ruswa Sar-E-Mehfil To Na Karwaya Kare,


Mujhko Ruswa Sar-E-Mehfil To Na Karwaya Kare,
Kash Aansu Meri Aankhon Mein Hi Reh Jaya Kare,

Aye Hawa! Maine To Bas Unka Pata Puchha Tha,
Ab Kahani To Har Baat Ki Na Ban Jaya Kare,

Bas Bahut Dekh Liye Khwab Suhane Din Ke,
Ab Wo Baaton Ki Rifaqat Se Na Behlaya Kare,

Ek Musibat To Nahi Tooti So Ab Is Dil se,
Jis Kayamat Ne Guzarna Ho Guzar Jaya Kare,

Jis ke Khwabon Ko Main Aankhon Mein Saja Kar Rakhun,
Iski Khushbu Kabhi Mujhko Bhi To Mehkaya Kare…

Yeh ada-e-hussan yeh andaz


Yeh ada-e-hussan yeh andaz kya kahye.
Khubsurat nigahon mein chupa raaz kya kahye.

Rukh-e-mehtab yeh haya ke rangon ka bikhar jana,
WaAllah ! mohabbat ka yeh khubsurat ihsas kya kahye.

Guzray jo kabhi anchal urati baag se woh,
Bujh jae her kali ki pyaas kya kahye.

Jugnuon si roshni hai uss ke chehray pe,
Baton se cheray hai woh saaz kya kahye.

Kuch to basa hai un surmai ankhon mein zaror,
Ke diwana hoa chala hai Raaz kya kahye. . .



Khoya khoya


Khoya khoya tu kahan rehta hai.
Suna hai udasi ka sama rehta hai.

Bhool bhi jao usko magar,
Yad uska andaz-e-bayan rehta hai.

Woh jo mujhe kabhi tanha nahi karta,
Dil mein aik esa mehman rehta hai.

Loot aae ga woh aik din,
Kyun dil ko yeh guman rehta hai.

Woh kia jane shab-e-hijran ke,
Pass unke pura jahan rehta hai.

Raz-e-dil tera naam hai magar,
Raz tere dil ka sab per ayan rehta hai.

Jo hadsay ye jahan meray naam karta hay


Jo hadsay yeh jahan mere naam karta hai.
Mera shaour inhain nazr-e-jam karta hai

Hamaray chak-e-geereban se khelnay walo
Humain bahar ka suraj salam karta hai

Humeen se mili hai qos-e-qaza ko rangeeni
Hamaray dar pe zamana qayam karta hai

Yeh mai-kada hai yahn ki her ek shay ka hazoor
Gham-e-hayat bohat ehtram karta hai

Faqeeha shehar ne tohmat lagai saghar per
yeh shaks dard ki dolat ko aam karta hai..!!!

Teri Tarap Se Na Tarpa Tha


Teri tadap se na tadpa tha mera dil lekin,
Tere sukoon se bechen ho gaya hun main

Ye jaan ke tujhe kia jaane kitna dukh pahunche,
Ke aaj phir tere khayaalon mein kho gya hun main

Kisi ki ho ke tu is tarah mere ghar aayi,
Ke jese phir kabhi aaye to ghar mile na mile

Nazar uthayi magar aisee be yaqeeni se,
Ke jese koi peshe nazar mile na mile

Tu muskurayee magar muskura ke ruk sii gayi,
Ke jese muskurane se gham ki khabar mile na mile

Ruki to aise ke jese teri riyazat ko,
Ab is samar se zyada samar mile na mile

Gayi to sog mein doobe qadam ye keh ke gaye,
Safar he shart shareeq-e-safar mile na mile

Teri tadap se na tadpa tha mera dil lekin,
Tere sukoon se be chen ho gaya hun main

Ye jaan ke tujhe kia jaane kitna dukh pahunche,
Ke aaj phir tere khayaalon mein kho gaya hun main.

Bol na bol ae jaanewale


Bol na bol ae jaanewale! Sun tou le diwano ki.
Ab nahi dekhi jati hum se, yeh halat armano ki.

Hussnn ke khilte phool hamesha bedardoon ke hath bikay,
Aur chahat ke mitwalon ko dhool mili veerano ki.

Dil ke nazuk jazboon per raj hai sone chandi ka,
Yeh dunya kia qeemat de gi sada dil insaano ki...!!!

Moti Nahi hoon - Taimur hassan Ghazal


Moti nahi hoon reit ka zarra to main bhi hoon
Dariya tere wajood ka hissa to main bhi hoon

Ae qahqahe bikheirne waale to khush bhi hai
Hansne ki baat chor ke hansta to main bhi hoon

Mujh mein aur us mein sirf muqaddar ka furq hai
Warna woh shakhs jitna hai itna to main bhi hoon

Us ki to soch duniya mein jiska koi nahi
Tu kis liye udaas hai tera to main bhi hoon

Aik aik ker ke doobte taare sumjha gaye
Mujh ko bhi doobna hai sitaara to main bhi hoon

Ik aaine mein dekh ke aaya hai yeh khayaal
Main kyun na us se keh doon ke tujh sa to main bhi hoon...!!!

Hijar Ka Tara Doob Chala


Hijar Ka Tara Doob Chala Hey Dhalney Lagi Hey Rat Wasi
Qatra Qatra Barse Rahi Hey Ashkon Ki Barsat Wasi

Tere Baad Ye Dunia Waly Mujh Ko Pagal Kar Dein Gey
Khushbo Key Deis Mein Mujhko Le Chal Apny Sath Wasi

Yun He Chup Ki Mohar Laga Ker Kab Tak Gum Sum Bethy Gy
Khamoshi Se Dam Ghut'ta Hey Chero Koi Baat Wasi

Aj To Uska Chehra Bhi Kuch Badla Badla Lagta Hey
Mosam Badla Dunia Badli Badal Gaye Halat Wasi

Mere Ghar Mein Khushbo Ka Rakas Usi Ke Dam Se Hey
Uskey Sath Chali Jaye Gi Phoolo Ki Ye Barat Wasi

Chor Wassi Ab Uski Yadein Tujhko Pagal Kar Dein Gi
Tu Qatra Hey Wo Darya Dekh Apni Okat Wasi...!!!!

Tanveer hussain tanveer poetry


Pehle tou teri justajoo phir tera malal karna
Iss ne tou adat he bana li hai roz yeh hal karna

Mosam gull her tarf chalti sard hawa,
Kahin chor na jae teri loo ko aae shama zara khiyal karna

Mera tuje se yeh her dafa kehna kaho kitni hai muje mohabbat,
Aur tera yeh kehna bund karo apne yeh ajeeb sawal karna

Keh diya tum ne kuch nahi hai kehne ko ab,
Ab sirf taluq hai hamara hijar se na koi baat-e-wasal karna

Woh shakas meri ragon mein khoon bun ke hai dhor raha,
Tanweer iss se kehna na muje se juda ho khiyal karna....


Khamoshi Bol Uthay


Khamoshi bol uthe, to har nazar paighaam ho jaye
Ye sannata agar had se badhe to kohraam ho jaye

Sitare mashalen le kar mujhe bhi dhoondne niklain
Mein rasta bhool jaoon to junglon mein shaam ho jaye

Men wo adam-e-guzedan hoon jo tanhai k sehra men
Khud apni chaap sun kar larza bar-andaam ho jaye

Misaal aisi hai is daur-e-khirad k hosh mandon ki
Na ho daaman mein zar'ra aur sehra naam ho jaye

Shakeeb apne tarruf ke liye ye baat kaafi hai
Hum is se bach ke chalte hen jo rasta aam ho jaye

Mujhy Di Khabar Tere Shehar Se


Mujhe di khabar tere shahr se idhar aane wali hawaon ne
Ke bana liye naye raaste ,teri dharkano ki sadaon ne,

Na gai kabi meri bebasi ye ajeeb hadisa bhi muje se hai
Wo hi fassiley tere shahr ke,vahi baidiyaan mere paon mein,

Teri furkaton ki udaas rut mujhe lamha lamha liye phiri
Kabhi mere dard ki dhoop mein, kabhi teri yaad ki chaoon mein,

Tu hamesha mujh mein basi rahe,mein dua khuda se karun magar
Wo to mil gaya kisi aur ko jo asar tha meri duaon mein .....

Pyaas Wo Dil Ki Bujhane Kabhi


Pyaas Wo Dil Ki Bujhane Kabhi Aaya Bhi Nahin
Kaisa Badal Hai Jiska Koi Saya Bhi Nahin

Berukhi Is Se Badi Aur Bhala Kya Hogi
Ek Muddat Se Hamein Us Ne Sataya Bhi Nahin

Roz Aata Hai Dar-e-Dil Pe Wo Dastak Dene
Aaj Tak Hamne Jise Paas Bulaya Bhi Nahin

Sun Liya Kaise Khuda Jaane Zamane Bhar Ne
Wo Fasana Jo Kabhi Hamne Sunaya Bhi Nahin

Tum To Shayar Ho Aur Wo Ik Aam Sa Shakhs
Us Ne Chaha Bhi Tujhe Aur Jataya Bhi Nahin

Hijar Ki Pehli Shaam


Hijar ki pehli shaam ke saaye door oofuk tak chaaye thy
Hum jub oss ke sehar se nikley sub rastey saath laye thy

Janey wo kya soch raha tha apney dil mein saari raat
Pyar ki batein kartey kartey oss ke nain bar aye thy

Mere under chali thi andhi theek ossi din pat jhar ki
Jis din apney jorey mein oss ne kuch phool sajaye thy

Kesey jati mere badun se betey lamhoon ki khusboo
Khawaboon ki oss busti mein kuch phool mere humsaye thy

Kesa pyara munzar tha jub dekh ke apney sathi ko
Pair pe bethi ik chirya ne apna par phelaye thy

Ruksat ke din beegi ankhoon oss ka kehna haye
Tum ko loat hi jana tha toh iss nagri kyoon aye thy!!

Apna Ehsas Mar Na Jaye Kahin


Apna Ehsas mar na jaye kahin
Dard had se Guzar na jaye kahin

Un ko dekhey hoye hoi Sadyan
Un ka Chehra bikhar na jaye kahin

Ab k Awaz doon to aa jana
Dil Deewana Sudhar na jaye kahin

Un ka Wada to hai magar Dil ko
Darr hai k kafir mukar na jaye kahin

Dard, Jugnoo, Hawa, Giley Shikwey
Yeh Mukaddar Sanwar na jaye kahin

Meri Dunya hai Dard ki Surat
Gul ki Surat Nikhar na jaye kahin

Khak se Aab tak to aa pohnchey
Ab yeh Darya Utar na jaye kahin

Yeh Mohabbat b ek Bala theri
Hum ko Darr hai wo Darr na jaye kahin

Is liye Muskuraye phirta hoon
Un ki Aankh b na bhar jaye kahin

Dil se guzra to hai magar Saqi
Apni Jaan se guzar na jaye kahin....

Main aik umar se ahad-e-saza mein


Main aik umar se ahad-e-saza mein rehti hoon
Khud apni zaat ke karab-o-bala mein rehti hoon

Jahan pe taza hawa ko bhi jaan tarasti hai,
Main aisay shehar ki aab-o-hawa mein rehti hoon

Mohabbaton ki yeh miraj hai mere nazdeek,
Yeh kmm nahi tere dasat-e-dua mein rehti hoon

Meri talash mein niklo tou yeh khiyal rahe,
Main apni zaat ke wehsat-e-sara mein rehti hoon

Jo roshni ka pata puchna ho aae humdam,
Main chasam hoon tere chasam-e-aata mein rehti hoon

Tumhain Tu Mera Hona Tha


Samne koi rasta bhi nahi
Mera khud he se raabta bhi nahi

Yad rakhna bhi ek azaab hua
Bhool jaane ka haunsla bhi nahi,

Ek din woh mujhe bulae ga
Kia yaqeen hai jo tot'ta bhi nahi

Waswase dil ko kyun satate hai
Woh abi tak bewafa bhi nahi

Lamha lamha tumhare naam kiya
Aur kuch mere paas tha bhi nahi !!

Is Shart Pe Khelon Gi Piya Pyar Ki Bazi


Is Shart Pe Khelon Gi Piya Pyar Ki Bazi,
Jeeton to tujhe paon haron to piya teri,

Har lahza khayal tera rakhon gi siraf itna,
Baith jaon to b teri uth jaon to b teri,

Kuch kar loun gi haal apna aisa main humsafar,
Ankh lagey to b teri ankh khuley to b teri,

Teri har aahat pe paalon gi tabeer aisi,
Hans jaon to b teri roth jaon to b teri,

Main sath tera kuch aise doun gi jaan-e-jahaan,
Zinda hon to b teri mar jaon to b teri..

Is Shart Pe Khelon Gi Piya Pyar Ki Bazi..!! ♥

Ik paikar-e-jamal me uljha hua hon main


Ik paikar-e-jamal me uljha hua hon main,
Uljhe huey khayal me uljha hua hon main, ..

Tu ne kaha tha chaand hai bilkul meri tarah,
Ab tak ussi misaal me uljha hua hon main,

Us ne kaha k ehd-e-guzishta ko bi sambal,
Me ne kaha k haal me uljha hua hon main,

Fursat mili to hogi mulaqat aap se,
Filhaal to malaal me uljha hua hon main,

Nikla nahi hon sham ki surkhi me doob kr,
MOHSIN lahu k jaal me uljha hua hon main.!

Zaraa Si Dair Mein Kya Ho Gaya Koi


Kya Tha Zaraa Si Dair Mein Kya Ho Gaya Koi
Do Din Judaa Raha To Naya Ho Gaya Koi

Wo Bhi Mujhay Azeez Tha Main Bhi Use Azeez
Phir Jaane Kya Hua Kay Khafa Ho Gaya Koi

Meri Nazar Nay Us Ko Khad-O Khaal Day Diye
Zehra Jamaal-E Sheh'r-E Saba Ho Gaya Koi

Mehfil Mein Tha To Chaand Ki Soorat Sabeh Tha
Tanha Mila To Rang-E Hina Ho Gaya Koi

Is Khush'ada Guraiz Kay Qurbaan Jaaiye
Mujh Ko Salam Kar Kay Hawa Ho Gaya Koi

Ilzaam Hum Pay Aaya Hum Mustaid Na Thay
Jab Bhi Kisi Ka Teer Khata Ho Gaya Koi

Mujh Jaise Be'nawa Ko Nawaza Ba-Sad Khuloos
Yoon Bhi Bada Tha Aur Bada Ho Gaya Koi

Jab be likhny betha hun


Jab be likhny betha hun...

Qissa teri muhabat ka...

Jitny lafz be likhta hun...

Sary mit'ty jaty hain...

Jitni batain krta hun...

Goongi hoti jati hain...

Jitny chehry dikhty hain...

Sab dhundlay hoty jaty hain...

Garcha baat porani hai...

Par nai nai si lgti hai...

Jab sy ham tum bichry hain...

KOI KAMI SI LAGTI HAI......

Sham-E-Gham bikhar gayee


Sham-E-Gham bikhar gayee ho gi
Janay kiss kiss k ghar gayee ho gi . .

Itni larzaan na thi charagh ki la'u
Apnay saaye se darr gayee ho gi . .

Chandni ik shab ki mehmaan thi
Subah hotay hi mar gayee ho gi . .

Dair tak woh khafa rahay mujh se
Door tak yeh khabar gayee hogi . .

Aik dariya ka rukh badaltay hi
Aik nadi phir utar gayee ho gi . .

Jiss tarah woh safar pe nikla tha
Sari raunaq udhar gayee ho gi . .

Raat suraj ko dhhondnay k liye
Taa ba hadd-e-sehar gayee ho gi . .

Meri yaadon ki dhoop chhaaon mein
Us ki surat nikhar gayee ho gi . .

Ya talluq nibh na saka us se
Ya tabbiyat hi bhar gayee ho gi . .

Teri pal bhar ki dosti MOHSIN
Us ko badnaam kar gayee ho gi.....!!!

Kisi din mere ghar aao


" Kisi din meray ghar aao "

Meray kamray main baitho

Aur aik aik shay ko ghour say dekho

Bookshelf main pari hooi kitaabain aur diarian

Guldaan main murjahay hooay phool

Daraaz main mojood cassettes

Devaaron par khuday hooay horoof

Aur bister par naqash-e bay qarari

Tum par aayan karay gi.


Kay meri aarzoun nay kis tarha tumhaari aarzoo ki


Aur kaisay meray khawaabon nay tumhaaray khawaab dekhay


Agar ho sakay to...........

Kisi din meray ghar aao.

Suno hum zamane say


Suno hum zamane say dernay lagay hain
Mohabbat jo hum tum say kernay lagay hain

Ye qandeelain ankhon ki bujhnay lagi hain
Ke ankhon main derya uternay lagay hain

Ye bewaqt mosum ka tewar karay kyoon
Ye patay kyon shakhoon per mernay lagay hain

Humain ab nahi hai zamaney ki hasrat
Akaylay jo hum batain kernay lagay hain

Kalyoon say hai shikwa na kharoon say ranjish
Humain mut sametoo bikhernay lagay hain

Meri jaan judai main jelnay lagay hain
Ke ratoon ko uth uth ker dernay lagay hain .....

Tujhe Meri Mohabat Ki Khabar Ho Jaaye


Gar Tujhe Meri Mohabat Ki Khabar Ho Jaaye
Tera Jeena Meri Yadoon Main Basar Ho Jaaye

Teri Zulofon Ki Siaahi Se Meri Shaam Dhale
Teri Aankhon K Ujalon Se Sehar Ho Jaaye

Main Tere Jisam Ki Khushbu Se Mehak Jata hoon
Jab Teri Yaad K Jhonke Ka Guzr Ho Jaaye

Yoon Achanak Tere Be Sakhta Hansne Ki Adaa
Jaise Sehraa Main Bahaaron Ka Tehar Ho Jaaye

Main Nay Ratoon Ki Namaazon Main Tujhe Manga Hay
Kaash Ab Meri Duaaon Main Asar Ho Jaaye

Meri Talaash Meri Zindgii Ka Hasil Tu
Mera Rasta Hay Wahi Ab Tu Jidhar Ho Jaaye

Wo To Masoom Hay Sahil Usse Kuch Bhi Na Kaho
Teri Barbaadi Ki Uss Ko Na Khabar Ho Jaaye.....

Yeh Alag Baat Hai Saqi


Yeh Alag Baat Hai Saaqi K Mujhay Hosh Nahin
Hosh Itna Hai K Main Tujh Say Faramosh Nahin

Main Teri Mast Nigaahon Ka Bharam Rakh Lon Ga
Hosh Aaya Bhi Tu Keh Doon Ga Mujhay Hosh Nahin

Yaad Itna Hai K Pohncha Dar-E-Maikhanay Tak
Kia Kehon Ga Ga K Aagay Ka Mujhay Hosh Nahin

Kabhi Un Mad Bhari Aankhon Say Piyaa Tha Ek Jaam
Aaj Tak Hosh Nahin Hosh Nahin Hosh Nahin

Kitabon Mein Mere Fasane Dhundte Hain


Kitaabon mein mere fasaane dhoondte hain
Naadaan hain guzre zamaane dhoondte hain

Jab woh the....!! talaash-e-zindagi bhi thi
Ab to maut ke thikaane dhoondte hain..!!

Kal khud hi apni mehfil se nikaala tha..!!
Aaj hue se deewaane dhoondte hain...!!

Musaafir be-khabar hain teri aankhon se
Tere shahar mein maikhaane dhoondte hain

Tujhe kya pataa ae sitam dhaane waale
Hum to rone ke bahaane dhoondte hain...!!

Unki aankhon ko youn dekho na
Naye teer hain...!! nishaane dhoondte hain..!!

Khalid masood funny poetry


Husan ki top ka gola mara tera kakh na rahy
Tujh pe gir jaye qutbi tara tera kakh na rahy

Banking Concal wale teri her shey kerki ker dein
Cherh jaye tujh pe qarza bhara tera kakh na rahay

Serdi ander nehar k banay sari raat khaloty
Tu na aayi, laya lara tera kakh na rahay

Dil ki chori ke ilzam main police ka chapa per jye
Pharya jaye taber sara tera kakh na rahey

Sari ghazal suna ke vi nahi sara dil da naee mukya
Sada aa bus ik-o-e nara tera kakh na rahe..!!!

Bas yaad kuchh zaraa sa hai


Khaali haath shaam hai aur josh kuchh maraa sa hai
Na chhed saaz pyaar ke, ye dil bharaa bharaa sa hai

ChaahatoN ki sairgaah, vo muhabbatoN ke sabz-baagh
Koi na dikhlaae mujhe, dil abhi daraa daraa sa hai

Sab le gaya vo saath may, baaqi rahee to ek khalish
Ab dard na de koi naya, ye zakhm abhi haraa sa hai

Maazi ke saath dafan hueeN ulfat kee sab yaadeN haseeN
Bhulaa diya zehan ne sab , kuchh yaad bas zaraa sa hai

Gher letee hai vaqtan-fauqatan vo yaad-e-zulm-o-sitam
Dua ho 'ainy' haq me tere, abhi abr-e-nahusat ghiraa sa hai....

Wao

Related Posts with Thumbnails