Sahaab Tha K Sitaara


Sahaab Tha K Sitaara, Guraiz Pa Hi Laga ..
Wo Apni Zaat K Har Rang Me Hawa Hi Laga ..

Main aisy Shakhas Ki Masoomiyat Pe Kia Likhon ..
Jo Muje Ko Apni Khataaon Mein B Bhala Hi Laga ..

Zabaan Sy Chup Ha Magar Aankh Baat Karti Hai ..
Nazar Uthaayi Hai Jub B To Bolta Hi Laga ..

Na Mery Lutf Pe Hairaan Ha Na Apni Uljhan Per ..
Mujhe Ye Shakhs To Har Shakhs Se Judaa Hi Laga, ..

Zindagi Darr Ke Nahi Hoti Basar


Zindagi Darr Ke Nahi Hoti Basar, Janey Do ..
Jo Guzarti Hai Qayamat Woh Guzar, Janey Do,

Dekhtay Jana Badal Jae ga Manzar Sara ..
Yeh Dhuwaan Sa Tou Zara Neechay Utar, Janey Do,

Phir Chalay Aey Ho Tum Meri Masihaaie Ko ..
Pehle Kuch Rastay Hue Zakham Tou Bhar, Janey Do,

Aik Khushbu Ki Tarha Zinda Raho Dunya Mein ..
Aur Phir Kia Hai Agar Khud Ko Bikhar, Janey Do,

Aarzoo Apni Badal Dalo Khuda Ki Khatir..
Inki Dehleez pay Phorro Na Yeh Sar, Janey Do,

Dil-e-Nadaan Tu Samjhta He Nahi Dunya Ko ..
Kon Rakhta Hai Bhala Kis Ki Khabar, Janey Do,

Saad Tum Aaeib Nikalo Na Hamare Aisay ..
Hum Bhi Rakhte Hain Gilay Shikway Magar, Jane Do..

Lab-e-Rukhsaar


Yeh Surkhi Jo Hai Tere Lab-e-Rukhsaar Pe Janaan ..
Yeh Rang-e-Sukhan Bharr Dey Mere Ashaar Mein Janaan, .
.
Niraali Shaan Sey Aaon Ga Sub Hairat Sey Dekhen Gay,
Libaas-e-Ishq Pehnoo Ga Tere Darbaar Mein Janaan, .

Mere Dil Ki Yeh Kefiyat Khuley Tum Pe To Kia Kehne.
Takalluf Hai Humain Jazbaat Ke Izhaar Mein Janaan,

Yeh Taareeki Ghatey Kese, Shab-e-Furqat Katey Kese.
Sehar To So Gai Shayad, Tere Rukhsaar Mein Janaan,

Hamari Koi Qeemat Ho Na Ho Kiya Farq Parta Hai .
Magar Hum To Bikain Gae Misar Ke Bazaar Mein Jannan,

Suni Hain Shab Ke Sunatay Mein Hum ne Siskiyaan Aksar .
Abhi Zinda Hai Woh Shayed Kisi Deewaar Me Janaan...!! 

Seenay Se Is Tarah Ye Dil-e-Natwan Gaya


Seenay Se Is Tarah Ye Dil-e-Natwan Gaya 
Ham Sab Se Pochtay Rahay Aakhir Kahan Gaya 

Dil Ka Safar Hai Aur, Ye Qadmon Ki Chaal Aur 
Hum Ho K Aa Gaye To Wahan Kaarwan Gaya 

Aisi Pari Wo Mujh Pe Ebadat-Shikan Nigaah 
Sajda Gaya, Namaz Gayi, Aastan Gaya 

Jangal Mein Is Tarah Ki Udaasi Kabhi Na Thii 
Ay Kaarwan Thehar, Mera Sathi Kahan Gaya 

Sab Mujh Ko Sun Rahy They Bare Inhamaak Se 
Boli Wo Aankh Kiya, Mera Zor-e-Bayan Gaya 

Rashid Wo Aik Shakhs Tha Duniya Mery Liye 
Wo Kiya Gaya K Sara Hi Rang-e-Jaahan Gaya

Tumhein Jo Besabub Mujh Se


Tumhen Jo Besabub Mujh Se,
Khafa Hony Ki Aadat Hy!

Ye Aaghaz-e-Judai Hy?
K
Andaz-e-Mohabbat Hy?

Wafa k Rung Main Dekho,
Jafa Achi Nhi Hoti!

Kisi se dosti main itni,
Anaa achi nhi hoti!

Chalo ab maan b jaao,
Boht ab ho chuki ranjish!

Kisi din or ker lena,
Ye poori apni tum khuwahish!

Faqat Kehne ki Baatain Hain, Nibhata Kon Hy kis Ko?

Chalo Ab Dekh Letay Hain, Manata Kon Hy Kis Ko ..

Gham-e ishq ka fasaana,


Raha youn he naa mukamal' gham-e ishq ka fasaana,
Kbi muj ko neend aa gaee' kbi so gya zamana,

Ye adaaeyn behki behki' ye nigaah-e sahirana,
K jahan b tu nay chaaha' wahin ruk gya zamana,

Mujay is ka gham nhi hai' k badal gya zamana,
Meri zindgi hai tm say' kahin tu badal na jana,

Wahin jaam me dabo di' meri mastiyon nay tauba,
Jo uthi nigaah-e saaqi' mujay mil gya bahana,

Meri zindgi aur tera gham' tera gham mata-e aalam,
Meray saath sirf tu hai' teray saath hai zamana,

Hai muj me aur tuj me koi farq to bs itna,
Teri zindgi haqeeqat' meri zindgi fasana,

Wo abi gaey hain Jana! isi raastay say ho kr,
Meray dil ko ye yaqeen hai' k guzr gya zamana...!

Dil Dhrkany Pe Bhi Paabndi


Dil Dhrkany Pe Bhi Paabndi Laga Di Jaye,
Lash Ehsaas Ki Sooli Pe Charrha Di Jaye,

Zehn Ki Jaama Talashi Ka Bana Kr Qanoon,
Sochnay Walo Ko MoQey Pe Saza Di Jaye,

Aarzu jo Kare, Deewano Me Kardo Shamil,
Khuwab Jo Dekhe, Use Jail Dikha Di Jaye,

Roz Khud Soziyon Se Uthti Hai, Ham Par Ungli,
Khud Kushi Jo Kare, Grdan Hi Urra Di Jaye,

Raah Batlaane, Madad Krne Ki Aadat Na Pare,
Rasta Poochne Pe Qaid Barrha Di Jaye,

Log KhushBu'on K TauQub Me Nikal Partay Hai,
Phool Par Dekhtay Hi Goli Chala Di jaye,

Saans Lene k Bhi Oqaat Muqrar Kr k,
Habs Dar Habs Ko Dozakh Ki Hawa Di jaye...!



Ye Iqrar-e-Wafa Ka Lafz.....


Ye Iqrar-e-Wafa Ka Lafz Meri Zuban Ka Hai
Ye Uljha Howa Kaghaz Meri Dastan Ka Hai,

Juda Ho K Bhi Muhabbat Se Koi Jee Saky Ga Kaisy
Meri Chahat Men Hosla Ik Chatan Ka Hai,

Usay Daikh Kar Hoya Hon Madhosh Jab Se
Bhool Betha Hon Kon Sa Rasta Meray Makan Ka Hai

Zamanay Ki Tarha Us Ne Bhi Mujhay Ghalat Samjha
Men Kiya Karon Yehi Waqt To Mery Imtehan Ka Hai,

Mujhy Zameen Par Rehny Ki Aadat thi,
Aur Usay Shoq Aasmanon Ki Uraan Ka Hai.

Aadtain uski thin bus


Aadtain uski thi bus mujhay jalanay wali..
Baat ki hans kay magar dil ko dukhanay wali..

Aajkal wo mujhay kuch badla huwa lagta hai..
Ho gain uski nighain bhi zamanay wali..

Hum nay ikhlas ka daaman nahi chora ab tak..
Haye uski to mohabbat hai rulanay wali..

Main nay samjha tha guzar jai ga mausam laikin.
Rut - e - barsaat bhi nikli to sataanay wali..

Tumharay wastay ab koi nahi hai WASI..
Khud sai batain na karo dil ko behlanay wali..

Shehar Mera Magar Waqar


Shehar Mera Magar Waqar Uska Tha..
Meri Har Sham Ko Intezaar Uska Tha..

Mere Khuwaboon Pe Jo Kabiz Hai Ek Shakhs..
Meri Aankhoon Me saara Khumaar Uska Tha..

Mere wajod se Jo Anjan Ban Chukaa Hai..
Meri Har Sans Pe Qarar Uska Tha..

Jab Bhi Maangi Us Se Shaam-e-Wisaal..
Meri Har Daleel pe Inkar Uska Tha..

Mere Jevan Ne Yeh Manzar bhi Dekh Liya..
Pehlu Mera, Khanjar Mera Aur Waar Uska Tha...!

December Hindi Poetry | December Urdu Ghazal


Ane wale December Ki Is Sham Mein

Chupkay Say Agar Tum Aa Jao

Ye Sham Suhani Ho Jaye
Rangeen Kahani Ho Jaye

Wo Bat Jo Lab Na Keh Sky
Ankhon Ki Zubani Ho Jaye

Koi Pyar Ka Naghma Tum Cherro
Koi Pyar Ka Geet Sunayen Hum

Haan Pyar Karen Youn Hum Dono
Ye Raat Suhani Ho Jaye

Mai Bethun Tere Pehlu Mein
Kuch Dil Ki Baten Ho Jayen

Tum Unglyan Phero Mere Balon Mein
Hum Meethi Neend So Jayen

Kiss liye dekhti ho Ainnaa


Kiss liye dekhti ho Ainnaa..
.
Tum to khud say bhi khoobsurat hooo...

Dastaan khatam hony wali hy...


Tum meri aakhri mohabbat ho...

Kitni dil kash ho tum



Kitni dil kash ho tum... kitna dil jo hun main...

Kya sitam hai k hum log mar jaein gay....!!!

Wafa ki Aarzoo karna


Wafa ki Aarzoo karna!
Safar ki justujoo karna!

Jo tum mayoos ho jaao!
Tou mujh se guftugoo karna!

Ye aksar ho bhi jaata hay!
K koi kho bhi jaata hay!

Muqaddar ko sataao gay!
Tou phir ye so bhi jata hay!

Agar tum hosla rakho!
Wafa ka silsila rakho!

Jisey tum apna kehtay ho!
Tou us se raabta rakho!

Main ye daavy se kehta hon!
Kabhi naakam na hogy!

Mohabhat ko samajh jaao!
Kabhi badnaam na hogay 

Tumhain maloom hai


Tumhain maloom hai
Guzri shab main ne kiya kia ???

Aoo main tumhain 
guzri shahb ka hall sunaoon

Main ne guzri shab 
jagh ker ik kaam kiya

Main ne apni aur tumhari zindagi main
Annay wali tammam kushioon 

aur ghamoon ko ik jaga ikhtah kia
Phir main ne tumhari 

aur apni zindagi main annay wali
kushioon aur ghamoon ko 

elheda elheda kia
Phir main ne ik kam kiya

Apnay hisay ki kushioon ko 
tumherey hisay ke 

ghamoon se badal diya
Dekh meri jaan 
guzri shaab main ne yeah kia...

Wao

Related Posts with Thumbnails