Ghazal Bana Diya Karte Hain


Lafzon ko tarash k ghazal bana diya karte hain
Hum chaak-e-mohabbat par alfaaz siya karte hain…

Zara nazarein bacha k chalna hum se, hum wo hain
Jo pehali nazar mein hi dil chura liya karte hain…

Jin ko be’rang kehti hai yeh duniya, hum to unhein
Rangon mein rang mila k tasveer Bana diya karty hain

Shaayar hain hum Zara hat k iss zamane se janab,
Chand lafzon ko mila k He Geet bana liya karte hain ...!!! 

Wao

Related Posts with Thumbnails