Kyun Na Phir Se Usay Milne Ka irada Kar loon,... |


Kyun Na phir se use milne ka Irada kar loon,
Zakhm ye sadiyon purana taro-taza kar loon,

Phir se kehdun uss se ke tum meri Ibaadat ho,
Phir se guzri mohabbaton ka Eyada kar loon,

Suna dun ab ye apni shauq tabiyat usko,
Sochta hun ke khud ko is Qadar sda kar loon,

Ya usey paa ke bhula doon main dard-o-gham apne,
Ya uski yaadon ka gham or bhi zyada kar loon,

Wo to har kasam hans ke tod jaatii hai,
Phir naya kis tarah us se koi waada kar loon.

Khiloney Toot Jatay Hain....


Tumhain muje ko satana hai
Chalo Ji bhar ke tang kr lo
Ke ye Bachon ki adat hai
Khilonay hath mein houn to
Zara be dum nahi lete..

Magar thehroo

Kabhi aisa be hota hai
Issy be zehan mein rakhna
Zara si bey dheyani mein
Zara si be khayali mein

Inhein zayada satao to
Ye aksar rooth jatay hain...
Khiloney toot jatay hain....!

Kia Baat Hai


Kia Baat Hai Jis Ka Gham Bahut Hai.
Kuch Din Se Ye Aankh Nam Bahut Hai.

Mil Leta Hai Guftago Ki Had Tak.
Itna Hi Tera Karam Bahut Hai.

Ghar Aap Hi Jagmaga Uthai Ga.
Dheleez Pe Ek Qadam Bahut Hai.

Mil Jaye Agr Teri Rafqat.
Mujh Ko To Yehi Janam Bahut Hai.

Kia Shab Se Humen Sawal Karna.
Hona Tera Subh Dam Bahut Hai.

Q Bujhne Lage Charagh Mere.
Ab K To Hawa B Kam Bahut Hai.

Chup Q Tujhe Lag Gai Hai PARVEEN.
Sunte Thay K Tujh Me Raim Bahut Hai.

Har Lamha Teri Yaad Mein


Har Lamha Teri Yaad Mein Guzaar Diya Hum Ne...!!!
Ye Na Samajhna Ke Dil Se Utaar Diya Hum Ne...!!!

Kabhi Aa Kar Dekh Meri Udaas Aankhon Ko...!!!
Jin Ko Tere Lot Aane Ka Intizaar Diya Hum Ne...!!!

Wafa Ke Taaj Mehel Ko Tameer Karte Karte...!!!
Teri Muhabbat Mein Apna Dil Haar Diya Hum Ne...!!!

Lafzon Ke Smandar Mein Doob Gya..
Khud Se Zayada Jab Tujhe Payaar Diya Hum Ne....!!!

Kamray Ko Jo Phoolon Se Saja Doon


Kamray Ko Jo Phoolon Se Saja Doon To Rulaa Doon.
Wo Raat Tujhay Yaad Dila Doon To Rulaa Doon.

Kb Saamna Kr Paaye Ga Tu Meri Nigah Ka.
Chehray Se Terey Zulf Hataa Doon To Rulaa Doon.

Ay Jaatay Huway Shakhs Tera Hosla Kya Hai.
Surkhi C Jo Aankhon Men Barha Doon To Rulaa Doon.

Ashk Bhula Detay Hain Khud Se Kiye Paimaan.
Ik Bar Agar Haath Barhaa Doon To Rulaa Doon.

Peshani Pe Ab Tk Hai Tere Lams Ka Pr Tao.
Ye Shamma Achaanak Jo Bujha Doon To Rulaa Doon.

Ay Dil Mere Dushman, Ay Mere Sang Sifat Dil.
Ehsaas Jo Tujhko Bhi Dila Doon To Rulaa Doon

Wo hussan-e-Mujassam kamal uski aankhain


Wo hussan-e-Mujassam kamal uski aankhain
Sarapa-e-Mohabat jamal uski aankhain

Main jab bhi poochon sawal us se koi
Mujhe roz deti hain tall uski aankhain

Jo baichey to do jahaan de ke le loon
Wo chehra wo zulfain wo gall uski aankhain

Ager koi poochey ke dunia main kia hai
Zamaanaa de ga misaal uski aankhain..

Jab Raat Ki Tanhai


Jab Raat Kee Tanhai Dil Ban K Dharkti Hai
Yaadon K Dareechon Mein Chlman C Sarakti hai

Lubaan Men Chingari Jaise Koi Rakh Jaye
Youn Yaad Tery Shab Barr Seeney mein Sulaggti Hai

Youn Piyar Nahin Chhupta, Palkon Ke Jhukane Se
Aankhon Ke Lifafon Mein Tehreer Chamkti Hia

Khushrang Parindon Ke Lout Aane Ke Din Aaye
Bicharey Hue milte Hian, jb barf pighalti Hia

Shuhrrat Kee Bulandi B Pall Bhar Ka Tamasha Hai
Jis Dall Pe Baithey Ho, wo Toot B Sakti Hai

Us Se Milne Ko Kabhi Hum Jo Machal Jate Hain


Us Se Milney Ko Kabhi Hm Jo Machal Jate Hain
To Khialon Mein Bahot Door Nikal Jate Hain

Gr Muhabbat Mein Sadaqat B Ho Shiddat B
Phir To Ehsas Se Pathar B Pighal Jate Hain

Uss Ki Aankhon Ke Nashey Mein Hoon Jb Se Dooba
Larkhrate Hain Qadam, Sambhal Jate Hain

Bewafa Ka Jb Bhi Mujhe Khiyal Aata Hai
Ashk e Aankhon Se Rukhsar B Pighal Jate Hain

Piar Mein Ek Mousam Hai Baharon Ka Faraz
Log Mousam Ki Tarah Kaise Badal Jate Hain

Iss Janam Mein Ho Tera Saath


Iss Janam Mein Ho Tera Saath Kahan Mumkin Hai
Aor Wafa Ki Koi Soghaat, Kahan Mumkin Hai

Teri Chahat Ka Yaqin Karna Mere Bass Mein Nahi
Aag K Bhais Mein Barsat, Kahan Mumkin Hai

Baat Karney Ka Bahana Bhi Na Milta Ho Jahan
Zaat Mein Gum Ho Koi Zaat, Kahan Mumkin Hai

Subha Dm Chaand Sitaron Ka Fasoon Tham Saa Giya
Aab Wo Kirnon Se Atti Raat, Kahan Mumkin Hai

Ye Bhi Ekk Khawab Se Jaaga Hua Manzar Hi Na Ho
Tere Haathon Mein Mera Hath, Kahan Mumkin Hai

Din, Jagah, Waqat Bataney Ki Bhi Zehmat Ho Janab
Aap Se Sharf e Mullaqat, Kahan Mumkin Hai??

Teri Chokhat Se Palatt Aaye Yahi Soch K Hum
Tu Hamein Dey Koi Khaerat, Kahan Mumkin Hai

Woh Jo Hum Donon Se Gumm Ho Gai Ekk Roz Batool
Aao Dhoondhen Naa Wohi Baat, Kahan Mumkin Hai



Kuch din sy tery saath


Kuch din sy tery saath, koi baat nahi hy..!
Yun lagta hy sadiyoon sy, mulaqat nahi hy..!

Dukh dard sunaao mujhy, har baat bataao..!
Ye dil ki khawahish hy, meri baat nahi hy..!

Jab yaad teri aaye to, aa jaaty hen aansu..!
Men kesy kahoon, aankh men barsaat nahi hy..?

Sookhy huye kuch phool hen, aur ashak hen tazaa..!
Kuch aur mery paas to, saughat nahi hy..!

Waqif hy mery dard sy, sub'ha ka ujalaa..!
La'ilm mery gham sy, meri raat nahi hy..!

Men jis ki muhabbat men, yun be'haal hon.
Wo hanss k ye kehta hy, koi baat nahi hy..

Us bewafa se bhala rishta


Us bewafa se bhala rishta
mita kesy dun.

Wo JAAN hai meri usy
bhola kesy dun.

Apni roh me basa k jise
pyar kya tha,

Sochta hun usy ab dagha
kesy dun.

Kitne khwab sajaye thy
meri in ankhon ne,

Men apna har khwab
bhala jala kesy dun.

Wo roye ga to ansu mere
b niklein ge,

Us ki bewafai ki usy saza
kesy dun.

Wo kehta hai k us ki
khushi ki dua mangon
men,

Par wo kisi or ka ho jaye
usy ye dua kesy dun...

Daaman-e-Zabt Bhigo Dene Ko


Daaman-e-Zabt Bhigo
Dene Ko G Chahta Hai.

Itni Tanhai Hai Ro Dene Ko
G Chahta Hai.

Saans Ki Dor Salamat Hai
Abhi Tak Shayad.

Ab Ye Ehsaas Bhi Kho
Dene Ko G Chahta Hai.

Shakh-e-Gul Jab Bhi Tahi-
Dast Nazar Aati Hai.

Apna Dil Us Main Piro
Dene Ko G Chahta Hai.

Aik Gum'Naam Musafir Ki
Tarha Chupke Se.

Khud Ko Is Bheerr Main
Kho Dene Ko G Chahta Hai.

Rida-e-Khaak K Har Dukh
Se Dila De Gi Nijaat.

Khud Ko Matti Main Samo
Dene Ko G Chahta
Hai..!!

Hukum Tera Hai Tou Takmeel Kiye Dete Hain


Hukum Tera Hai Tou
Takmeel Kiye Dete Hain,

Zindagi Hijr Mein Tehleel
Kiye Dete Hain,

Tu Meri Vasl Ki Khwahish
pe Bigarta Q Hai.

Raasta Hi Tu Hai, chalo
Tabdeel Kiye Dete Hain,

Aaj Sab Ashkon ko
Aankhon k Kinaare pe
Bulao,

Aaj Is Hijr ki Hum
Takmeel Kiye Dete Hain,

Hum Jo Hanste Hoye Ache
Nahi Lagte Tum ko,

Hukm Karo Aankhen Abhi
Jheel Kiye Dete Hain.

Jaan-e-wafa


Hum ko loota hai usi shehar ne Ae Jaan-e-wafa
Jis ki galion mein Mohabbat ka kuch hisab na tha

Woh jo rehte the mere sath hamesha din bhar
Un ke mazhab mein wafaon ka koi baab na tha

Woh jo aankon mein Mohabbat ko liye phirte the
Un ke dil mein thi woh Nafrat ke kuch hisaab na tha

Mein ne jis ko bhi musibat mein maseeha jana
Jo diya us ne bara us say kuch azaab na tha

Mujhe khayal tha ye log mere apne hain
Magr wahan pe to aisa koi riwaj na tha !!

Aankh Mein Ya Kitaab Mein Dekhoon


Aankh Mein Ya Kitaab
Mein Dekhoon,

Tujh Ko Hasrat Thi
Khuwaab Mein Dekhoon,

Kuch Bana Shabnami
Nazaroon Mein,

Ya Tujhe Aftaab Mein
Dekhoon,

Neele Parbat Par Surkh
Kaliyoon Ko,

Main Dehktay Gulaab Mein
Dekhoon,

Ab Main Dekhoon Tujhe
Kahaan Jaana,

Ab Main Raavi Chanaab
Mein Dekhoon,

Dil Ki Dharkan Ye Keh Rahi
Hai,

Khoobiyaan Sab Janaab
Mein Dekhoon,

Likhna Nahin Aata To Meri Jaan


"Likhna Nahin Aata To Meri Jaan Parha kar,,
"H0 Jaye Gi Mushkil Teri Aasaan Parha kar,,

"Parhne ke Liye Tujh ko Agar kuch Na Mile To,
"Chehron pe Likhe Dard ke Unwaan Parha kar

"Laraib Teri Rooh ko Taskeen Mile Gi
"Tu Karb ke Lamhaat Main Quran Parha kar

"Paida Ho Tere Behar ki Moujon Main Talatum
"Tu Hasti-e-Iqbal k Dewaan Parha Kar...!!!

Mohabbat Aesa Sapna Hai


MOHABBAT AESA SAPNA HAI 

Mohabbat Aesa Sapna Hai.......!
Jise Jitna Koi Dekhe, 
Naya Mehsoos Hota Hai........!

Mohabbat Aesa Manzar Hai........!
Jise Tasawvoor Karne Mein, 
Zamaane Beet Jate Hain........!

Mohabbat Aisa Waada Hai........!
Kisi Ke Sath Ho Jaye, 
To Phir Torra Nahi Jata........!

Mohabbat Woh Taaluq Hai........!
Ke! Jis Ke Sath Ho Jaye, 
Us Se Chora Nahi Jata........!

Mohabbat Ek Paheli Hai........!
Ke! Jis Ko Raas Aa Jaye, 
To Phir Us Ki Saheli Hai........!

Mohabbat Woh Kahaani Hai........!
Ke! Jitna Bhi Koi Bhulaaye,
Humesha Yaad Rehti Hai...

Teri tasveer ko dil mein....


sab kuch lut gaya hamara

teray pyar main

teri yaad ko palkoon main

chupa rakha hai

muqadar say miltay hain

bichar kay warna

ajj bhi tera naam dil main

saja rakha hai

najanay koi nahin basta 

teray siva ankh main

aik teri tasveer ko dil main

chupa rakha hai ”

Mujhe Khamosh Rehne Do


Abhi kuch din mujhe 
meri Mohabbat azmane do ,
mujhe khamosh rehne do ,
Suna he Ishq sacha ho to 
khamoshi lahu ban ker
ragon me naach uth’ti he ,
Zra us ki ragon me 
Khamoshi ko jhoom jane do ,
Abhi kuch din mujhe
 meri mohabbat aazmane do ,
Use main kyun btaon 
main ne usko kitna chaha hy ?
Btaaya Jhooth jata he
 k sachi baat ki Khushbu to
khud mehsoos hoti he ,
meri baatain ,
 meri sochian , 
us’se khud jaan jane do ,
Abhi kuch din mujhe
 meri Mohabbat azmane do ……..

Mere Halaat Baqi Hain


Abi Tum Beth Jao Na ! 
Bohat Si Baat Baqi Hai 
Mere Halaat Baqi Hain 
Abi Jazbaat Baqi Hain 

Suno! 
Tum Kyun Statey HHo! 
MujHhe Kitna Rulatey Ho! 
MujHhe Tum Se MoHabbat Hai! 
MujHhe Kyun Aazmatey Ho? 

TumHhi Ko Yad Krtey HHain 
Tumhi Ko Pyar Krtey HHain 
Meri To Zindgi Tum HHo! 
Smajh Tum Kyun Na Patey HHo? 

Meri To HHr Khushi Tum Se 
Meri To Zindgi Tum Se 
Meri Hr Aarzu Tum Se 
Mujhe Tum Kyun Statey Ho?'

Wao

Related Posts with Thumbnails