Kab Thehre Ga Dard Ae Dil


Kab Thehre Ga Dard Ae Dil, Kab Raat Basar Ho Gi
Suntay Thay Woh AayeiN Gay, Suntay Thay Sehar Ho Gi

Kab Jaan Laho Ho Gi, Kab Ashak Gohar Ho Ga
Kis Din Teri Shunwai Ay Deeda-e-tar Ho Gi

Kab Mehkay Gi Fasal-e-gul, Kab Behkay Ga Mehkhana
Kab Subah-e-sukhan Ho Gi, Kab Shaam-e-nazar Ho Gi

Waaiz Hai Na Zahid Hai, Naseh Hai Na Qatil Hai
Ab Shehar MaiN YarooN Ki Kis tarah Basar Ho Gi

Kab Tak Abhi Rah DehkhaiN Aae Qamat-e-jananaaN
Kab hashar MoAeen Hai Tujh Ko Tou Khabar Ho Gi

Zindagi Thehair Jaa


Zindagi Thehair Jaa,
Abhi Aik Morr Baaqi Hai..!

Meri Saansoon Mein Atki Si,
Abhi Aik Door Baaqi Hai..!

Jise Chaha Bohat Mein Ne,
DIL Ki Chah Mein Jaana..!

Unhi Ke Saath Ki Woh Aik, 
Ghadi Anmol Baaqi Hai..!

Meri Aankhoon Mein MOHABBAT Ka Samaa,
Phir Laut Aaye Ga..!

Woh Kehte Hain Tumhaare Sang, 
Khushi Kuch Aur Baaqi Hai..!

Unki Har Baat Ke Andar, 
Chupi Ek Ankahi Dastak..!

Jo Har Pal Mujh Se Kehti Hai, 
Ye Dhadhkan Tum Se Baaqi Hai..!

Hain Kitne Raaste Lekin! 
Ye DIL Jaana Nahi Chahta..!

Ke! CHAHAT Ki Aik Zanjeer, 
Abhi Paaoon Mein Baaqi Hai..!

Kabhi yaad aao tu is tarah


Kabhi yaad aao tu is tarah..........
K dil-O-nazar mein uttar sako......

Sar-e-rahguzar jo milo kabhi........
Na thehar sako, na guzar sako.....

Mera dard phir se ghazal banay..
Kabhi gungunao tu is tarha.....

Meray zakhm phir se gulab hon....
Kabhi muskurao toh is tarah........

Na ujar saken na sanwar saken....
Kabhi dil dukhao tu is tarah........

Na simat saken, na bikhar saken...
Kabhi bhool jao toh is tarah.........

Kisi tor jaan se guzar saken..........
Kabhi yaad aao toh is tarha..........

Zindagi Bhar Wafa Hamin Se Hui


Zindagi bhar wafaa humeiN se huii
Sach hai yaro khataa humeiN se huii

Dil ne har daagh ko rakha mehfooz
Ye zameeN khushnuma humeiN se huii

Hum se pehle zameen-e-shehar-e-wafa
Khaak thi, keemiyaa humeiN se huii

Kaun uThata shab-e-firaaq ke naaz
Yeh bala aashnaa humeiN se huii

Be-gharaz kaun dil gaNwaata hai
Teri Qeemat adaa humeiN se huii

Sitam-e-naarawa tujhi se hua
Tere haq mein dua humeiN se huii

Sa’yi – tajdeed-e-dosti ‘Nasir’
Aaj kya, baarha humeiN se huii

Mujhey Aaram Karney Do


Mujhey Aaram Karney Do, Mujhey Abb Mat Sataao Tum
Thakan Sadiyon Ki Hai Mujh Ko, Mujhey Abb Mat Jagaao Tum

Mairi Khamosh Aankhon Say, Koi Qissa Na Kehna Tum
Mairey Khwaabon Mein Sehra Hain, Mujhey Abb Mat Rulaao Tum

Dukhon Ki Ikk Kahani Thi, Ussi Ka Aakhri Hissa
Bohat Arsey Say Jaari Tha, Ussey Abb Mat Dohraao Tum

Mairey Viraan Kamrey Mein, Teri Tasveer Abb Bhi Hai
Ye Abb Kamrey Ka Hissa Hai, Issey Abb Mat Hataao Tum

Mairey Jaaney Ki Baaton Per, Kabhi Woh Hansta Rehta Tha
Mairey Jaaney Ki Raaton Mein, Ussey Abb Mat Hansaao Tum

Tumhaari Diary Ke Aakhri Auraaq Mein Main Tha
Safhey Yoon To Na Phaarro Tum, Mujhey Yoon Na Mitaao Tum

Kahin Sehra, Kahin Saahil, Kabhi Mitti, Kabhi Paani
Mujhey Jo Cheezein Bakhseen Thi, Ussi Say Ghar Banaao Tum

Wahin Per Hoon, Main Waisa Hoon, Abb Aaey Ho To Ruk Jaana
Thakan Ki Dastaan Apni, Mujhey Abb Mat Sunaao Tum

Bohat Mushkil Say Sambhla Hai, Ikk Arsey Baad Abb 'Bilal'
Lo Abb Ye Jaam Ulta Do, Issey Abb Mat Pilaao Tum !

Kash Aisa Hua Hota


Kash Aisa Hua Hota..!!!
Chaha Tha Maine Tujhe Be Intihaa
Tou Mera Bas Mera Hua Hota..!!!
Abb Jo Hain Ansu Teri Masoom Aankhon mein
Phir Na Hote Ye
Tou Mera Bas Mera Hua Hota..!!!
Nehin Acha Lagta Abb Mujh ko
Tera Bickharna Toot Kar
Tou Ghum Mein Rahe Ye Bi Bardashat Nehin
Janta Hon Koi Nehin Hai Abb Tera
Tujhe Ahsas Hai
Hai Kuch Tou Haraan Bi Apno Ke Raviye Se
Bhrosa Tha Tujhe Kitna,
Kitna Tou Mazboot Thi
Kese Kese Dekhe The Tune Khawab
Magar Khawabon Ko Tootne Ka Waqt Na Laga
Sochta Hon Teri Bheegi Palkon Pe Apna Naam Likha Hota
Kash Aisa Hua Hota…!!!
Chaha Tha Tujhe Maine Be Intihaa
Tou Mera Bas Mera Hua Hota…!!!

Bund Ankhon Se Toote Khawab Ki Kirchen


Band Ankhon Se Toote Khawab Ki Kirchen Bahar Aati Hen
Dil Ke Band Dareechon Se Kuch Sadayein Bahar Aati Hein

Logon Se Chupta Hoon Khilwat Dhoondh Ta Hoon
Tanhai Ke Aalam Me Mere Andar Se Kai Zaaten Bahar Aati Hein

Nam Meri Aankhen Yun Hi To Raha Nahi Karti 
Yaadon Ke Dareechon Se Teri Baatein Bahar Aati Hein

Yaadein Teri Jo Dar-E-Dil Khatka Kar Chali Jaati Hein
Dharkanein Tujhe Dhoondh Ne Saari Seene Se Bahar Aati Hein

Mujhe Apno Ka Gham He Na Geron Ka Shikwa
Mere Jism Se Ye Roohein Kiun Nahi Bahar Aati Hein

Jeene Marne Ke Liye Itna Hi Kaafi He Khurram
Khabrein Uski Khair Ki Kabhi Kabhi Bahar Aati Hein 

Tasveer Teri Dil Mra Behlaa Na Sake Gi.....


Tasveer Tri Dil Mra Behlaa Na Sake Gi
Ye Tri Tarha Mujh se To Sharrma Na Sake Gi,

Maen Baat Karun ga To Ye Khaamosh Rahe Gi,
Seeney Se Lagaa Longa To Ye Kchh Na Kahe Gi,

Uljhii Hui Ratoon Ko Ye Suljhaa Na Sake Gi,
Ye Aankhen Han Thehri Hoi Chanchal Wo Nigaahen,

Ye Haath Han Sehmey Hoe Aur Mast Wo Baahen,
Parchaai To Insan Ke Kaam Aa Na Sake Gi,

In Hontoon Ko KhayaL Maen Kchh De Na Sakun ga,
Is Zulf Ko Maen Hath Mei Bi Ley Na Sakun Ga,

Aaram Wo Kiya De gi Jo Tarrpa Na Sake Gi,
Tasvir Tri Dil Mra Behlaa Na Sake Gi.....

Na Walwalay Wo Rahay Aur Na Wo Zamaana....


Na Walwalay Wo Rahay Aur Na Wo Zamaana Raha
Samaa Hayaat Ka Laikin Sadaa Suhaana Raha

Ghazal Haraam Howi, Husn Per Lagay Pehray
Mera Mizaaj Magar Phir Bhi Shayaraana Raha

Khuda Bhi Maan Liya, Bandagi Bhi Ki Oski
Taaluq Os Se Magar Apna Gaayebaana Raha

Likha Howa Tha Mera Maazi Jis Ke Tinkon Par
Meri Uraan Mein Haayil Wo Aashyaana Raha

Paron Ke Dhair Lagay Hain Wahan Wahan Ab Bhi
Jahaan Jahaan Kisi Panchi Ka Aashyaana Raha

Kaheen Kaheen Koi Raahat, Kaheen Kaheen Koi Zakham
Mere Naseeb Ka Manzar Wohi Puraana Raha

Qateel Tark-e-Maraasim Wo Kar Gaya Phir Bhi
Salook Oska Mere Saath Dostaana Raha.

Dekho Gey Humein Rouz Mgr Baat na Hogi....


Dekho Gey Humein Rouz Mgr Baat na Hogi,
Ek shehr Mein Reh k Bhi Mulaqat na Hogi,

kehna Hy Jo keh Dalo Abhi waqt Hy Bakki
kal Hum tu Hongey, Mgr surt-e-Halat na Hogi,

Jo pochna Hy tumko Abhi poch lo warna
kal shehar Mein phir, Rasm-e-sawalat na Hogi,

Din itney Howy taweel Hijar k logo
Tarpo Gey sar-e-sham Mgr Raat na Hogi,

Ye soch k b Dil tarap uthta Hy "WASI"
Bichrein Gey is tarhn, k kabhi Mulaqat na Hogi...

Kabhi Ruk Gaye Kabhi Chal Diye....


Kabi ruk gye Kbi chal diye
Kbi chalty chalty bhatak gye
:
Yunhi umr sari guzaar di
Yunhi zindgi k sitam sahey
:
Kbi neend me Kbi hosh me
Tu jahan mila Tuje dekh kr
:
Na nazar mili Na zuban hili
Yunhi sar jhuka k guzar gye
:
Kbi zulf pr Kbi chashm pr
Kbi tere haseen wujood pr
:
Jo pasand thy Meri kitab me
Wo shair sary bikhar gye
:
Mje yad hy Kbi aik thy
Mgr aj hm hain juda juda
:
Wo juda hue To sanwr gye
Hum juda hue To bikhar gye
:
Kbi arsh pr Kbi farsh pr
Kbi unky dar Kbi dar badar
:
Gham-e-aashiqi Tera shukriya
Hm kahan kahan sy guzar gAYE.

Bujhe Bujhe Se Ajeeb Din Hain


Bujhy Bujhy Se Ajeeb Din Hain,
Na Khawab Koi Na Khayal Koi,

Na Manzaron Me Koi Kashish Hai,
Na Mosamon Me Jamaal Koi,

Hum Aik Doojay Ko Apni Apni,
Adhoori Ankhon Se Dekhty Hain,

Hamari Barson Ki Chahton Pay,
Utar Raha Hai Zawaal Koi,

Jo Hansna Chahain To Ashk Niklain,
Jo Rona Chahain To Hanstay Jayen,

Hamaray Jazbaat Girvi Rakh Kr,
Bana Raha Hai Misaal Koi,

Bujhe Bujhe Se Ajeeb Din Hain,
Na Khwab Koi, Na Khayal Koi..!! :-l

Shama-e-mazar thi na koi sogwaar


Shama-e-mazar thi na koi sogwaar  tha,
Tum jis pe ro rahe the wo kis ka mazar tha,

Tarpoon ga umer bhar dil-e-marahum ke liye,
Kambakht namoorad larhakpan ka yar tha,

Jadoo hai ya tilism tumhari zuban mein,
Tum jhooth kah rahe the mujhe aitbar tha,

Kya kya humare sajde ki roswaiyan huein.
Naqshe-qadam kisi ka sare rahguzar tha..

Na Kafir Na Ghazi


Shaheed-E-Mohabbat Na Kafir Na Ghazi,
Mohabbat Ki Rasmain Na Turki Na Taazi,

Wo Kuch Aur Shay Hai Mohabbat Nahi Hai,
Sikhati Hai Jo Ghaznavi Ko Ayazi,

Ye Johar Ka Agar Farma Nahi Hai,
To Hain Ilm-O-Hikmat Faqt Sheesha Sazi,

Na Mohtaj-E-Sultan Na Maraoob-E-Sultan,
Mohabbat Hai Azadi-O-Be'niyazi,

Mera Fuqar Behtar Hai Sikandari Se,
Ye Adam Gari Hai Wo Aaina Saazi.....

Chand Manga Na Koi Chand Nagar Manga


Chand Manga Na Koi Chand Nagar Manga Tha
Andhi Nagari K liye Nor-e-Sehar Manga Tha

Phenk Dein Noch K Maali Ne Zubanen Unki
Chand Chirriyon Ne Chehakne Ko Shajar Manga Tha

Pyar Se Hum Ne Banaya tha Sahil Pe Kabhi
Raat Bachon Ne Wohi Rait Ka Ghar Manga Tha

Zard Mousam Ki Hawaon Ne Ussy Gher Liya
Jis Ne Gulshan Mein Baharon Ka Guzar Manga Tha

Kaat Kar Hath Merey Rakh Diye Mere Aagey
Koi Taawan Nahi Ajar-E-Hunar Manga Tha

Na Janey Kis liye WaQt Khafa Hy Mujh Se
Maine Sookhy Hue Pairron Se Samar Manga Tha,

Dil Maseeha Hai


Dil Maseeha Hay Samjhta Hay Tabiyat Uski,
Narm Guftaar Sahi Talkh Hay Aadat Uski,

Tum Zara Pyar Se Pocho K Ye Qisa Kia Hay,
Kyon Bhala Chaand Ne Orrhi Hay Shbahat Uski,

Log Itne Bhi Tere Shehar K Sachay To Nahi,
Sun To Leni Thi Zara Dair Wazahat Uski,

Dil Ye Kehta Hay "Wasi"Loat Chalain Us k Nagar,
Yad Ati Hay Jab Sar-e-Shaam Rafaqat Uski,

Na Raha Karo Mere Sath tum


Na Raha Karo Mere Sath tum!
Main Tanha Tanha Thek Hun!

Mujhe Chahton Se Dar Lagta Hai
Main Nafraton Main Hi Thek Hun

Mujhe Raston Main chhur Do
Mjhe Justju-e-Manzil Nahi

Na Dikaao Mjh Ko Raste
Main Bhatka Hoa Thek Hun

Mere Dostu Mujhe Chhor Do
Naa Suljhao Meri Uljhnain!

Mujhe Adaavten Hi Pasand Hain
Mein Dushmanu Main Hio Thek Hun

Mujhe Khushi Ki Koi Talab Nahi
Mujhe Apne Ghum Bhi Nawaz Do!

Mujhe Ansu Pina Pasand Hain
Main Ansuon Main Hi Thek Hn.

Kuch To Hawa Bhi Sard Thi


Kuch To Hawa Bhi Sard Thi Kuch Tha Tera Khayal Bhi 
Dil Ko Khushi Ke Sath Sath Hota Raha Malal Bhi 

Baat Wo Aadhi Raat Ki Raat Wo Pore Chand Ki 
Chand Bhi Ain Chait Ka Uss Pe Tera Jamal Bhi 

Sab Se Nazar Bacha Ke Wo Mujh Ko Tha Aise Dekhta 
Ek Dafa To Ruk Gai Gardish-e-Mah-o-Saal Bhi 

Dil To Chamak Sake Ga Kya Phir Bhi Taraash Ke Dekh Lo 
Shishaa Garan-e-shahar Ke Hath Ka Ye Kamal Bhi 

Os Ko Na Pa Sake The Jab Dil Ka Ajib Haal Tha 
Ab Jo PalaT Ke Dekhiye Baat Thi Kuch Muhaal Bhi 

Meri Talab Tha Ek ShaKhs Wo Jo Nahin Mila To Phir 
Haath Dua Se YuN Gira Bhool Gaya Sawal Bhi 

Shaam Ki Nasamajh Hawa Puuch Rahi Hai Ek Pata 
Mauj-e-Hawa-e-Ku-e-Yaar Kuch To Mera Khayaal Bhi 

Os Ke Hi Bazoun Main Aur Us Ko Hi Sochte Rahe 
Jism Ki Khwahishon Pe The Ruh Ke Aur Jaal Bhi


MOHABBAT Rooh Ka Zewar


MOHABBAT Rooh Ka Zewar, 
Pehen Le Jo Nikhar Jaaye....... !

Wafa Bhi Ho Agar Shaamil, 
To Bikhra DIL Sanwar Jaaye....... !

Woh Chahat Ka Samandar Hain,
Mere Mehboob Ki Aankhein....... !

Jinhein Dekhein Na Ye Nena, 
To Bin Baadal Baras Jaaye....... !

Woh Khushbu Hai MOHABBAT Ki,
Zara Mehsoos To Kijiye....... !

Ye Dhadhkan Na Machal Jaaye,
Koi Ehsaas Reh Jaaye....... !

Woh The Intizaar Ke Lamhe,
Jinhein Pal Pal Taraste The....... !

Kabhi Chokhat Par Dar Pe Unki,
Ye DIL Na Simat Jaaye....... !

Woh Ulfat Mein Naai Rasmein, 
Mere Mehboob Kar Dijiye....... !

Ke! Jin Ko Zindagi Ka His'sa,
Ye DIL Shumaar Kar Jaaye.....

Gulshan ki bahaaron ne


Gulshan ki bahaaron ne sar-e-aam likha hai
Phir usne gulaabon se mera naam likha hai

Behte hue paani pe yeh lafzon ke sitaare
Shayad mere mehboob ne yeh paigaam likha hai

Yeh dard musalsal mere dil mein rahega
Kuch soch kar usne mera anjaam likha hai

Neendon ne kaha khwab se yeh hath milaa kar
Kya apne muqadar mein kabhi araam likha hai

Jisne kabhi meri janib murr kar nahin dekha
Uss shakhs ke haathon mein mera naam likha hai

RAAHI apni toh har raat guzarti hai safar mein
Aankhon ki zanjeeron pe yeh paigaam likha hai.....

Aaj Is Shehar Mein Kal Nai Shehar Mein...


Aaj iss shehar mein kal naye shehar mein bus isi lehar mein,
Urrtay patoon ke pichay urta raha shoq-e-Awargi,

Iss gali ke buhat kam nazar log thy fitna'ghar log thy,
Zakham khata raha musqurata raha shoq-e-Awargi,

Koi Paigham gull tak na puhancha magar phir bhi sham-o-shehar,
Naz bad chamman ke uthata raha shoq-e-Awargi,

Dushan jan falak ghair hai, yeh zamen koi apna nahi,
Khak saray jahan ki urata raha shoq-e-Awargi...!!!


Pyar Par Bus Tou Nahi Hai Lekin.....


Zindagi Sirf Mohabbat Nahi Kuch Aur Bhi Hai
Zulf-O-Rukhsaar Ki Jannat Nahi Kuch Aur Bhi Hai<

Bhookh Aur Pyaas Ki Maari Hui Is Duniya Mein
Ishq Hi Ek Haqeeqat Nahi Kuch Aur Bhi Hai

Pyaar Par Bas To Nahi Hai Lekin Phir Bhi
Tu Bata De Ki Main Tujhe Pyaar Karoon Ya Na Karoon

Teri Yaad Rehti Hai


Zehn k khayalon mein
Rooh k ujalon mein,

Zindagi ki jheelon mein
Zaat ki faseelon mein,

Ratjagon k daman mein
Khawahishon k aangan mein,

Dil k khushk sehra mein
Chashm-e-tar k darya mein,

Dard k jahan mein bhi
Ashq-e-be zuban mein bhi,

Aur khuch nahin rehta
"Teri Yaad Rehti Hai" 


Kuch Dair Main Tujhse


kuch dair main tujh se kat gayi thi
mehwar se zameen hat gayi thi

Tujh ko bhi na mil saki mukammal
main itni dukhon mein batt gayi thi

Shayad ke humein sanwaar deti
jo shab aa kar palat gayi thi

Rasta tha wohi par bin tumhare
main gard mein kaisi att gayi hoon

Patjhar ki ghari thi aur shajar se
Aik bail ajab lipat gayi thi...

Main ne apne dil ko


Main ne apne dil ko janaan.

Do hison mein baant liya he.

Ak tera.

Aik baqi sari dunya ka.

Phir bhi jane kiyon?

Tera hisa barhta jata hai.....

Wo Beirada Hi Sahi


Wo Beirada Hi Sahi, Titliyon Mein Rehta Hai''
Ke Mera Dil To Meri Muthiyon Mein Rehta Hai.

Mein Apne Hath Se Dil Ka Galaa Daba Dungi''
Mere Khilaaf Yahi Shazishon Mein Rehta Hai.

Bacha Ke Khud Ko Ghuzrna Mahaal Lagta Hai''
Tamam Shehar Mere Raston Mein Rehta Hai.

Meri Kitaab-E-Mohabb ­at Mein Uska Zikar Nahi''
Wo Khush Khayal Ghalat Fehmiyon Mein Rehta Hai....

Sun Li Jo Khuda Ne Wo Dua Tum To Nahi Ho


Sun li jo khuda ne woh dua tum to nahin ho,
Darwaazey pe dastak ki sadaa tum to nahin ho,

Simtti huyi sharmaayi huyi raat ki raani,
Soyi huyi kaliyon ki hayaa tum to nahin ho,

Mehsoos kiya tum ko to geeli hui palkein,
Bheegey huye mausam ki adaa tum to nahin ho,

In ajnabi raahon mein nahin koi bhi mera,
Kis ne mujhe yun apna kaha, tum to nahin ho..

Teri janib agar chale hote


Teri janib agar chale hote
Hum na yon dar-badar hoe hote

Sari duniya hai meri muthi main
Kon ae ga ab tere hote

Aur ab kiou nahin nibhate tum
Itne wade nahin kiye hote

Paa liya me ne sari duniya ko
Koi khawahish nahin tere hote

Us ki ankhon main baar panne ko
Kash hum khawab ban gae hote....

Wao

Related Posts with Thumbnails