Khushiyaan Thin Beshumaar Abhi


Khushiyaan thin beshumaar abhi kal ki baat hai
Chehre pe tha nikhaar abhi kal ki baat hai

Mujhko qafas mein dekh ke hoton pe yeh hansi
Laakhon the ghum gusaar abhi kal ki baat hai

Meri zabaan kaat ke khud bhi malool hain
Karte the chher chhaar abhi kal ki baat hai

Qaichii laga ke unko bhi bewa bana diya
Zulfein thin pech daar abhi kal ki baat hai

Unko wafa ki mil gayee ‘Basit’ sanad magar
Daaman tha daagh daar abhi kal ki baat hai....

Wao

Related Posts with Thumbnails