Farhat Abbas Shah Ghazal


Aik qatra malaal bhi boya nahin gya,
Woh khauf tha ke logon se roya nahi gya,

Yeh sach hai ke teri bhi neendain ujarr gayin,
Tujh se bichar ke hum se bhi soya nahi gya,

Us raat tu bhi pehle sa apna nahi laga,
Us raat khul ke mujhse bhi roya nahi gya,

Daman hai khushk, ankh bhi chup chaap hai bohat,
Larriyon mein aansuyon ko piroya nahi gya,

Alfaaz talkh, baat ka andaaz sard hai,
Pichlaa malaal aaj bhi goya nahi gya,

Ab bhi kahin kahin pe hai kalakh lagi huyi,
Ranjish ka daagh theek se dhoya nahi gya..

Wao

Related Posts with Thumbnails