Dena Hai Tohfa To Jafayen Na Do Mujhe


Dena hai tohfa to Jafayen naa do mujhe
Gin gin ke apne sar kii blayen naa do mujhe,

Barsey gii ye to barhaye gii dil ki pyaas
Ashqon ki garm garm ghatayen naa do mujhe,

Ae mere dost mein to mussafir hun subha kaa
Bekaif, bikhri sham-e-gum kii fizayen naa do mujhe

Nabaz-e-hayat dub chuki ae mere huzoor
Jeena hai ab mohal, duwayen na do mujhe,

Jeenay se jee to bhar hi chukaa hai
Iss jahan mein ab zindagi ki aur duwayen naa do mujhe,

Ujrey huye chaman kaa hun phool main
Isko kucchal ke aur sazayen naa do muhe

Nazron say Giraya Us Ne


Aansuoon ki Tarah Nazron say Giraya Us Ne
Apni khabar Na Mili Kuch Aise khak Mein Milaya Us Ne,

Elzaam Mujh Pe Lagaaya Magar Bewafa khud Tha
Pehle Dewana Banaya Phir Mujhey Thukraya Us Ne,

Usko Mazaa Aata Hai Mujhko Sataane Mein
Mujhe Geeli Lakri ki Tarah Jalaya Us Ne,

Aaya Na Tha Us ko Wadaa Wafaa Karnaa
Logon ko Jhota Apni Wafa ka Qisa Sunaya Us Ne,

Tanhayon K Dard Se khoob Waqif Tha Woh
Pher Bhi Dunya Mein Mujhe TANHA Baanaya Us Ne.

Aaye Chaand Ke Kirno Jao na...


Ae chand ki kirno jao na,
Tum usko chho kar aao na!

Woh kab kab kya kya kerta hai,
Woh jagta hai ya sota hai,

Woh sham ko kesa lagta hai,
Woh raat ko kesa dikhta hai,

Jab soye kesa lagta hai,
Jab jagy kesa dikhta hai,

Tum chupke chupke jao na,
Tum usko chho kar aao na! 

Yaqeen


Jo ye sach hai
Ke tum meri nigahoon mein mohabbat parrh nahin saktin
Meri dharrkan ki lae per naam apna sun nahin saktin

Meri chahat tumhain ik bojh sa mahsus hoti hai

Tou phir tum ko yaqeen kiyon hai?
Ke mein nay aaj tak jo kuch bhi likha hai
Wo sab tum par he likha hai. .

Haye Logon Ki Karam Farmaiyan


Haaye logon ki karam farmaiyaan
Tohmatein, badnaamiyaan, rusvaaiyaan

Zindagi shayed isi kaa naam hai
Duuriyaan, majbuuriyaan, tanhaaiyaan

Kya zamaane mein yun hi kat'ti hai raat
Karvatein, betaabiyaan, angraaiyaan 

Kya yahi hoti hai shaam-e-intizaar
Aahatein, ghabraahaten, parchaaiyaan

Aik paikar mein simat kar reh gayin
Khoobiyaan, zebaaiyaan, raa'naaiyaan

Woh Dekho Chand Nikla Hai


Woh Dekho Chand Nikla Hai
Sitaren Jagmagai Hain

Hamari Muntazir Ankhen
Duain Maangti Ankhen

Tumhe Hi Soochti Ankhen
Tumhe Wapis Bulati Hain

Suno Tum Lout Aao Na
Suno Tum Lout Aao Na

Yeh Dil Jab Bhi Dharakta Hai
Tumhara Naam Leta Hai

Yeh Anso Jab Bhi Behte Hain
Tumhare Dukh Main Behte Hain

Ke Jab Barish Bhi Hoti Hai
TUmhe Hi Yaad Karti Hai

Khushi Koi Jo Aaye Bhi
Tumhare Bin Adhuri Hai

Suno Tum Lout Aao Na
Suno Tum Lout Aao Na.. ♥

Tum Aarzoo Ke Diye Jala Ke


Tum Aarzoo K Diye Jala K
Khuda Se Achi Umeed Rakhna

Khizan K Mosam Ki Rukhsati Pe
Bahar-e-Gul Ki Naveed Rakhna

Wo Tera RUB Hai, Wo Tera Apna
Usi Ko Apna HABIB Rakhna

Usi Se Karna Tu Dil Ki Baaten
Tu Aankh May EK Nami Si Rakhna

Wo Tera RUB Hai, Wo Tera Apna
Usi Se Raaz-o-Niaz Rakhna

Usi Se Gham Ki Kahani Kehna
Ghamon Ko Dil May Nihan Na Rakhna

RAHEEM Hai Wo, KAREEM Hai Wo
Tu RUB Ko Apne Aziz Rakhna

Hai Saans Se Bhi Qareeb Tar Wo
Usi Ko Apne Kareeb Rakhna ♥

Tum Bhi Khafa Ho Loog Bhi Burhum Hein


Tum bhi khafa ho, log bhi bayraham hain doston
Aab ho chala Yaqeen kay buray hum hain doston

Kis koh hamre haal se Nisbat hai kia kahain
Ankhain toh Dushmano ki bhi purnam hain doston

Apne siwa hamre na hone ka ghum kisay
Apni talash mein tu humhi hum hain doston

Kuch aaj shaam hee sey hai Dil bhi buja buja
Kuch shehar kay chirag bhi madhaam hain doston

Kuch bhi sahe Faraz par itna zaroor hai
Duniya mein ayse loG bohat kaam hain doston

Mohabbat Zaat Ke Ander Koi Guum Zaat


Mohabbat Zaat Ke Ander Koi Guum Zaat Hoti Hai……….
Mohabbat Ke Ta’qub Mein Hamesha Ghaat Hoti Hai…….

Mohabbat Mein Khushi Se Mout Ko Ham Orh Laitay Hain
Zara Socho Ke Is Mein Aisi Koi Baat Hoti Hai…..

Mohabbat Shehaid Mei Lipta Howa Ik Zeher Hai Laikin
Mohabbt Jeet Hoti Hai, Mohabbat Maat Hoti Hai…….

Mohabbat Khud Zamana Ho Ke Bhee Hai MosmoN Jaisi
Kubhi Ye Subaah Hoti Hai, Kubhi Ye Raat Hoti Hai…….

Mohabbat Aisi Khushbu Hai Kubhi Yukjaa Nahee Rehti
Kisi Se Door Hoti Hai,Ksi Ke Paas Hoti Hai……….

Mohabbat Jis Ko Haasil Ho Muqaddar Ka Sikander Wo
Mohabbat Rab Ki Jaanib Se HaseeN Sogaat Hoti Hai……

Karz-E-Nigah Yaar Adaa Kar Chukay Hain Hum By Faiz Ahmad Faiz


Qarz-e-Nigah e Yaar Ada Kar Chukay Hain Ham
Sab Kuch Nisaar Rah-e-Wafa Kar Chukay Hain Ham

Kuch Imtahaan e Dast-e-Jafar Kar Chukay Hain Ham
Kuch In Ki Dastras Ka Pata Kar Chukay Hain Ham

Ab Ahtiyaat Ki Koii Soorat Nahi Rahi
Qatil Say Rasm-e-Rah Siwa Kar Chukay Hain Ham

Dekhay Hain Koun Koun , Zarorat Nahi Rahi
Koye-e-Sitam Main Sab Ko Khafa Kar Chukay Hain

Ham Ab Apna Ikhtiyaar Hay Chahay Jaha Chalay
Rehbar Say Apni Rah Juda Kar Chukay Hain Ham

Un Ki Nazar Main , Kahi Peekha Hay Ab Bhi Rang
Jitna Lahoo Tha Sarf-e-Quba Kar Chukay Hain Ham

Kuch Apnay Dil Ki Khon Ka Bhi Shukrana Chahaiye
So Bar Un Ki Khon Ka Gila Kar Chukay Hain Ham.

Muhabbat Soch Ke Karna


Kabhi kuch soch k likhna
Kabhi kuch soch k parhna

Ye na mumkin si koshish hai
Muhabbat soch k karna!

Kisi ka dilruba chehra aur
Us ki dill nasheen ankhein

K jis ko dekh k jeena
Usi k naam pe marna

Ye na mumkin si koshish hai
Muhabbat soch k karna!

Khayalon men bana lena
Kisi ka akks dhere se

Chura k rang sapnon k
Kisi ki ankh men bharna

Ye na mumkin si koshish hai
Muhabbat soch k karna ♥

Tera Husn Ho Mera Ishq Ho


Tera Husn Ho
Mera Ishq Ho
To Phir Husn-o-Ishq Ki Baat Ho

Kabi Main Milon
Kabi Tu Mily
Kabi Hum Milain
Mulaqat Ho

Kabi Tu Ho Chup
Kabi Main Hon Chup
Kabi Dono Hum Chup Chap Hon

Kabi Guftgu
Kabi Tazkry
Koi Zikar Ho
Koi Baat Ho

Kabi Sath Main
Kabi Saath Tu
Kabi ek Doojy Ka Sath Ho

Rahain Muskuraty Pyar Me
Khilain Phol Ban K Bahaar Me

Na Zameen Koi
Na Falak Koi
Na Wajood Ho
Na Hi Zaat Ho

Tera Husn Ho
Mera Ishq Ho
 To phr Husn-o-Ishq Ki Baat Ho ♥

Us Ke Aane Ki Khabar Sunte Hi


Us Ke Aane Ki Khabar Sunte Hi Tayyari Ki
Maine Jee Bhar Ke Gulaabon Ki Kharidari Ki

Halat-e-Hijar Mein Filhaal Sukoon Milney Laga
Nasha-e-Dard Ne Awaz Nahi Bhaari Ki

Warna Ye Logg Mujhe Tum Se Juda Kr Dete
Maine Daanista Mohabbat Mein Adakari Ki

Ishq Mein Mera Bhi Deewangi Maslak Hai
Maine Iss Waaste Majnu Ki Tarafdari Ki

Phool Khiltey Hi Koi Bichhra Hua Yaad Aya
Maine Khushi Ke Mousam Mein Ashkbari Ki

Yahan insaniyat bikti hai


Yahan khuloos bikta hai yahan pyar bikta hai
Yahan dushman ke hathon yaar bikta hai

Yahan insaan ka Qatil insaan milta hai
Yahan oonchey logon ka mizaar bikta hai

Yahan lagte hai bazaron mein sharab ke theiley
Yahan khuda ki khudai ka ikhtiyaar bikta hai

Yahan kha ke bhi sab kisi ke pait nahin bhartey
Yahan insaniyat bikti hai yahan maiyaar bikta hai

Baat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi Tou Na Thee,


Baat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi Tou Na Thee,
Jaisii Ab Hai Teri Mehfil Kabhi Aisii tou Na thee 

Le gaya Chhiin Ke aaj kaun tera sabr-o-qarar,
Beqarai tujhe ai dil kabhi aisii tou na thee

Un kii aankhon ne khuda jaane kia kya jaadu,
Ke tabiyat meri maa_il Kabhi aisi tou na thee

Chashm-e-qaatil merii dushman thii hameshaa lekin,
Jaise ab ho ga_ii qaatil kabhii aisii to na thii

Aks-e-rukh-e-yaar ne kis se hai tujh ko chamakayaa,
Taab mein maah-e-kaamil kabhi aisis tou na thee

Kya sabab hai tu jo bigata hai zafar se har baar,
Khuu teri huur-e-shamaail kabhi aisi tou na thee

Aao Jaanch Lete Hain.....!!!


Aao jaanch lete hen ...

Dard k tarazu per ...

Kis k ghum kahan tak hen ...

Shiddatain kahan tak hen ...

Kuch azeez logon se ...

Puchna to parta hai ...

Aaj kal muhabbat ki Qeematen kahan tak hain ?

Ek shaam chaley aao ...

Haal-e-dil khul kr keh len ...

Kaun jaaney ...

saanson ki Mohlaten kahan tak hain ..!!

Woh Tittli Thi Usay Urr Jana Tha


Woh Tittli Thi usay Urr Jana Tha
Us Ne Mere Hath Mein Kab Aana Tha

Main Dhoondta Raha Usay Diwanon Ki Tara
Us Ki Koi Manzil Na Koi Thikana Tha

Es Gharz Se us Ne Mera Hath Nahi Thama
Kyun K Raasty Mein us Nai Chor Jana Tha

Us Ne Aansoo b Bohat Bahaye Lekin
Baad Mein Pata Chala Ye Sub Bahana Tha

Meri Deewangi Tu Hud Se Guzer Gai Magar
Us K Liye Tu Mahez Ye Dil Lagana Tha

Qasoor Us Ka Nahi Ess Mein Koi
Khata To Apni Thi Mai Hi Zara Dewana Tha..

Ye Ishq Marr Kyun Nahi Jata


Ye ishq marr kyun nahi jata
Har dil se nikal kyun nahi jata

Kitne hi aashiqon ka qatil hai
Ishq soli pe charh kyun nahi jata

Ishq gar muslam hai tou phir
Ye rabb se darr kyun nahi jata

Ishq gar lawaris nahi hai tou phir
Aakhir ye apne ghar kyun nahi jata

Barishon Ka Mousam Hai


Barishon ka mousam hai
Rooh ki fizaoon main
Ghum zada hawain hain
Bay sabab udasi hai
Is ajeeb mousam main
Bay shumar batain hain
Un ginat fasanay hain
Jo bohat khamoshi say
Dil pay hanstay phirtay hain
Aur yea amar_e_ majboori
Sub say kahtay phirtay hain
Aaj mosum bohat acha hai
Aaj hum bohat khush hain

Waqt-E-Dua Main Ek Dua


Waqt-e-dua main ek dua karon,
Main rab se ek eltija karon,
Tu khush rahe,
Tu shaad rahe,
Teray dil ka nagar abaad rahay,
Tu har pal yun hi hansa kare,
Tu phulon ki manind khila kare,
Teri zindagi main koi ghum na ho,
Teri aankh kabhi num na ho,
Tujhey kisi se koi gila na ho,
Koi dukh tujhey mila na ho,
Teri rad kabhi dua na ho,
Tere lab py koi sada na ho,
Tujhey bin mange wo ataa karay,
Teri maaf her ek khata karay….!

Khoab Sary Khial Sary


Khoab sary khial sary,
Haqeeqton ka libada orhy,
TUmhari hasti sanwar jain,
Chand, soraj, ye sary tary,
Chirag jitny bhe jal rhy hain,
Tumhary chehray kay rang dekhain to har jain,
Behti nadya, charhaty darya,
Ye gehra sagar,
Jheel jaharny,
Ye Aabsharain,
Apna jeewan tumhari aankhon pe war jain,

Rung khushbo,
Gulab sary,
Muhabbaton kay nisab sary,
Sb tumhari Balain lay lain,
Nazar tumhari utar jain.

Es Dil Ke Hathon Bohat Majboor Rahey


Barish-e-sang-e- malamat main sharaboor rahey
Harf aaye naa tujh par , tujh say door rahey

Aatish e qalb bhujaney say kahan bhujtee hay
Dil main khawabeedaa agar yaad kay shurur rahey

Natawaan jism o jaan, dunyaa say woh takar laynaa
Hum essee baat pay had darjaa maghroor rahey

Dard barh jaye to khud aap marham hotaa hay
Suna jo hum nay to phir hum bhee zakhm choor rahey

Hansatey rahtey hain sar e bazm, hay aadat apnee
Hum to woh hain kay dukh uthaa kay bhee masroor rahey

Barh gayee had say sharafat to kuchlay jao gay
Yaad har pal tumhain dunya kaa yeh dastoor rahey

Ghazal main haal jo hum apna bayaan kar baithey
Es dil kay hathon bohat majboor rahey....

Kabhi Ae Haqiqat-e-Muntazir


Kabhi Ae Haqiqat-e-Muntazir! Nazar Aa Libas-e-Majaz Mein
Ke Hazar Sajde Tarap Rahe Hain Meri Jabeen-e-Niaz mein

Na Kaheen Jahan Mein Aman Mili, Jo Aman Mili To Kahan Mili
Mere Jurm-e-Khana Kharab Ko Tere Ufuw-e-Banda Nawaz Mein

Jo Mein Sar Basajda Huwa Kabhi To Zameen Se Ane Lagi Sada
Tera Dil To Hai Sanam Ashna, Tujhe Kya Mile Ga Namaz Mein

Main Wohi Hoon Jise Tum Dost Kaha Karte They


Main Wohi Hoon Jise Tum Dost Kaha Karte They
Din Main Soo Baar Mera Naam Liya Karte They

Aaj Kiya Baat Hai Ke Mujh Se Khafa Bethe Ho
Kiya Kisi Aur Ko Dost Bana Bethe Ho?

Faasle Itne To Pehley Na Hua Kartey They
Main Wohi Hoon Jise Tum Dost Kaha Kartey They

Tum Agar Bhool Gaye To Koi Baat Nahi
Zakham To Pehley Be Is Dil Per Laga Kartey They

Mai Wohi Hoon Jise Tum Dost Kaha Kartey They
Din Mai Soo Baar Mera Naan Lya Kartey They

Jazbon Kii khushboo


Jo hum mehsoos kartay hain
Agar tum tak pohonch jaye

To buss itna samajh lena
Ye un jazbon ki khushboo hai

Jinhay hum keh nahi saktay...
Magar tum jo ijazat do...! 

To chand lafzon mein keh daaloon.......
K
Tum bin marr to saktay hain
Tum bin jee nai saktay......♥

Is Dard Kay Baad Koi Dard


Is dard kay baad koi dard, dard nahin lagta
Kay shidat-e-dard ki inteha hoti hai mohabbat
Nahi uthti woh aankhain phir kisi pai
Ke jin aankhon main yeh fanna hoti hai mohabbat
Umar bhar jin ka aazala na kar pai
Bas aik aisi hi khata hoti hai mohabbat
Jo mil jae tou bas phir kya kehna
Warna aik musalsal saza hoti hai mohabbat
Log mujh say har baar yeh hi poochtay hain
Tum nay us main daikha kya
Main har baar yehi kahta hoon
Bewaja hoti hai mohabat…..

November Kis Liye aakhir


Wo darjan bhar maheeno say,
sada mumtaz lagta hay............

November Kis Liye Aakhir..?
Hamesha Khaas Lagta hay..

Bohat sehmi Hui subhain,
Udasi say Bhari shaamain,

Dopehrain royi royi si,
Wo raatain khoi khoi si,

Garm Dabeez hawaon Ka,
Wo Kam roshan ujaalon Ka,

Kabhi guzray hawalon Ka,
Kabhi mushkil swalon ka,

Bichar janay Ki mayusi,
Milan Ki Aas Lgta hay,

November Kis Liye aakhir?
Hamesha Khaas lagta hay..?

Aik Lakeer Terey Naam Ki


Aik lakeer terey naam ki
Kuch udaas kuch khamosh
Kuch bebas see lakeerien merey haath ki?
Dhoondta Rehta hoon aksar in Lakeeron mein
Aik lakeer tere naam ki
Kuch maloom bhi hai
Kuch dil bhi janta hai
Ke in lakeeron main koi lakeer Nahi tere naam ki
Phir bhi naa jane kion dhondta Rehta hoon
Aksar ek lakeer tere naam ki
Aik lakeer terey naam ki....

Tum Aksar Sochtay Ho Gae


Tum aksar sochtay ho gae
Hum tujhy yad nahi kartay
Tumhain hum bhool jatay hain
Magar yeh bhool tumhari Hai
Asal main baat kuch youn hai
Keh Jab Tum Yaad Atay Ho
To kuch bhi yaad nahi rehta
Aur tumhari yaad main kho kar
Batana bhool jatay hain
Humain tum yaad aatay ho
Tum aksar yaad aatay ho

Main Yeh Nahi Kehta....


Main yeh nahi kehta....
Key koi dil main na samaye..
Main yeh nahi kehta...
Key koi Aarzoo na ban paye...
Par.......!
itna zaroor kehna hai
Agar samajh sako...
Key dil main kabhi kisi ko..
Itni jagha na do..
Key dil key liye dharakna hi
Mushkil ho jaye

Main Ne Haq-e-Muhabbat


Main ne haq-e-muhabbat ada kiya
Na kabhi kisi se gila kiya
Mujhey ajab iska sila mila
Muhabbatun ki kitab ka
Har ek warq jala diya
Wo jo aarzu ka chiragh tha
Ussey nafratun ne bujha diya
Mujhey zakhm phir ek naya diya
Mujhey is muhabbat ne kiya diya
Woh jo kehte they khush raho
Woh jo kehte they meri jan ho tum
Har lamha hansa karo
Mujhey aaj unhun ne rula diya
Mera nishan tak mita diya!!!!

Tumhara Khat Mila Jana!!


Tumhara khat mila jana!!
Wo jis mein tum ne poocha hai
Kay aab halaat kaise hain
Mere din raat kaise hain
Mehrbani tumhari hai kay
Tum ne is tarhan mujhe se
Mere halat pooche hain
Mere din raat pooche hain
Tumhein sab kuch bta don ga
Mujhe itna bta do kay
Kabhi sagar kinare per
Kisi machali ko dekha hai
Kay jis ko lehrain pani ki
kinare tak to lati hain
Magar phir chorr jati hain'
Mere halat asey hain
Mere din raat asey hain

Talluq Is Tarah Toora Nahi


Talluq is tarah toora nahi kartay
Ke phir say jorna dushwaar ho jaye
Hayat ik zehar main dobi hoi talwaar ki manind
Mohabbat is tarah chora nahin kartay
Rawadari ka hergiz rasta chora nahin kartay
Mohabbat main sabhi aik dosray ko aazmatay hain
Magar aisa nahin kartay
Keh her omeed her imkaan toot jaye
Kahan tak khinchi ho dory yeh andaza rakhtay hain
Hamesha char deewari main ik darwaza rakhtay hain
Judai mustaqil ho tu zindagi zindaan ho jaye
Tu suno !
Jeenay say moon mora nahi kartay
Mohabbat is tarah chora nahi kartay

Usey Yeh Kon Samjhaye????


Usey yeh kon samjhaye????
Wo dasht-e-khamoshi mein
Ungliyon mein sipiyan pehne
Kisi sookhe samander ki
Adhoori pyas ki batein
Bohat chup chap sunta hai
Bohat khamosh rehta hai
Usey yeh kon samjhaye????
Khushi k aik aansoo se
Samander bhar bhi jate hain
Bohat khamosh rehne se
Taluq mar bhi jate hain...!!!

Wao

Related Posts with Thumbnails