Koi Ghazal Teray Naam Na Ho Jaye......


Koi Ghazal teray Naam na ho jaye,
Aaj likhtay likhtay Sham na ho jaye,

Kar raha hon intzaar tere izhar-e-Mohabbat ka,
Is intzar mai Zindage tamam na ho jaye,

Nahe leta tera naam ‘Sr-e-Aam is dar se,
Kahin tera naam badnam na ho jaye,

Mangta hun jab b Dua to Yaad ata hai,
K Judai meray Pyaar ka anjam na ho jaye,

Sochta hun to Darta hun aksar Tanhai mai,
Us k Dil main kisi aur ka Maqaam na ho jaye

Zamana Jab Rulata Hai Tou Aansoo Aa Hi Jate Hain........


Zamana jab rulata hai tou aansoo aa hi jate hain
Koi apna satata hai tou aansoo aa hi jate hain

Khudaya teri dunya mein koi husan-e-mujasm jab,
Kisi ka dil dukhata hai tou aansoo aa hi jate hain

Main dekhon jab patangay ko wafa ki chah mein akhir,
Yey apni jaan lutata hai tou aansoo aa hi jate hain

Muqadar khud bulatay hain magar dastor-e-ulfat hai,
Koi jab door jata hai tou aansoo aa hi jate hain

Yeh rukte hain magar aksar gamon ki taab na la kar,
Zabt jab toot jata hai tou aansoo aa hi jate hain

Nadeem iss zindagi ki tanha raton mein muje aksar,
Koi jab yaad aata hai tou aansoo aa hi jate hain. . .

Aye Kuch Abr Kuch Sharab Aye.....


Aye kuch abr kuch sharab aye
Us k bad aye jo azab aye


Bam-e-mina se mahtab utre
Dast-e-saqi main aftab aye


Har rag-e-khun main phir charagan ho
Samne phir wo benaqab aye


Umr k har waraq pe dil ko nazar
Teri meher-o-wafa k bab aye


Kar raha tha gam-e-jahan ka hisab
Aaj tum yad behisab aye


Na gai tere gam ki sardari
Dil main yun roz inqalab aye


Jal uthe bazm-e-gair k dar-o-bam
Jab bhi ham khanamankharab aye


Iss tarah apni khamashi gunji
Goya har simt se jawab aye


'Faiz' thi rah sar basar manzil
Ham jahan pahunche kamayab aye...

Rana Nadeem Anjum Poetry


خواباں نوں میں ونڈاں کیویں؟
کھولاں گُجیاں گنڈاں کیویں؟

اپنا بھار نہ چُکیا جاوئے
چُکاں تیریاں پنڈاں کیویں؟

عشق تاں چُپ چُپیتے کیتا۔۔۔
جگ وچ پیاّں ڈنڈاں کیویں؟

رَتّے مونہہ دا اندر کالا ۔۔۔
اپنے ماریے چنڈاں کیویں؟

اک پل باہجوں چین نہ آوئے
پُوری جندڑی ھنڈاں کیویں؟

میں عادی زہر پیالے دا واں
مینوں بھاون کھنڈاں کیویں؟

ندیمؔ جے دل دی مَیل نہ کَڈی
پین دلاں وچ ٹھنڈاں کیویں؟

رانا ندیم انجم


Email: Rana.nadeemanjum@Gmail.com

Main Khayal Houn Kisi Or ka Mujhe.........


main khayal houn kisi or ka mujhe sochta koi or hai,
sare-e-ayina mera aks hai, pas-e-ayena koi or hai,

main kisi k dast-e-talab main houn na kisi ki hurf-e-dua main houn,
main nasseeb houn kisi or ka mujhe mangta koi or hai,

jo wo loot ayen to pouchna nahi dekhna onhain goor se,
jinhain rah main yeh khaber mili k yeh rasta koi or hai,

meri roshni tare khad-o-khal se mukhtalif to nahi mager,
to qareeb aa tujhe dekh loun to wohi hai ya koi or hai,

tujhe dushmanon ki khaber na thi mujhe doston ka pata na tha,
tare dastan koi or thi, mera waqya koi or hai…….

Kya Sochty Rehty Ho Sadaa Raat Gaye Tk.....


Kya sochty rehty ho sadaa raat gaye tk?
Kis qarz ko krty ho adaa raat gaye tk?

Thak haar k aa betha hy dehleez pe teri
Deedar ka Mohsin hy gadaa raat gaye tk,

Ye kon hy? Yousuf sa hasee'n dhondh raha hy
Yaqoob koi mehv-e-Nadaa raat gaye tk.

Aa Toor pe chalty hain abi raat hy baqi,
Shayd hmen mil jaye Khuda raat gaye tk.

Shamma teri aamad ko jalai thi sar-e-sham,
Hoty rahy parwany fidaa raat gaye tak.

Kuch aalam-e-tanhai mein ashkon ne dia sath,
Aankhen rahen sailaab zadaa raat gaye tk.

Mohsin ko shab-e-wasal mila jam ba-mushkil
Ho paye na phir dono Juda raat gaye tk.!

Buhat Se Raaz Hain Humaray......!!


Buhat Se Raaz Hain Humaray Seenay Me,
Magar Din Kam Hain Humaray Jeenay Me,

Humain Dheeray Dheeray Se Kehnay Do,
Humain Apne Dil Me Rehnay Do,

Humari Bujhal Palkain Kehti Hain,
Tumhari Aankhon Ko Takti Rehti Hain,

Hum Sab Kuch Khoona Chahtay Hain,
Bas Srif Tumharay Hona Chahtay Hain,

Ajeeb Khuwahish Me Hum Khoo Jaen,
Tumhari Ghood Me Sar Rakh K Soo Jaen,

Hum Pe Tum Ek Ehsaan To Kar Do,
Ek Shaam Humaray Naam To Kar Do,

Phir Na Lout K Aaen Gey Kabhi,
Or Na Hi Tum Ko Satain Gey Kabhi,

Ye Humara Tum Se 'Wada' Hai,
Ab Tum Keh Do Jo Bhi 'Iraada' Hai,

Father's day Hindi Poems


MAAN Thundi Chaaon Ha
To
BAAP Ghana Darakht,
MAAN K Pairon Taly Jannat Ha
To
BAAP K Pehlu Mein Jannat,


MAAN K Bina Ghar Suna Ha
To
BAAP K Bina Zindagi Viraan,


MAAN Mohabbat Ka Dariya Ha
To
BAAP Shafqat Ka Samandar,


MAAN Aulaad Ki Rafeeq Ha
To
BAAP Aulaad K Leay Shafeeq


MAAN Tohfa-e-Khuda Wandi Ha
To
BAAP Rahmat-e-Khuda Wand


Meri MAAN Mera Ishq Ha
Or
Mera BAAP Mera Janoon
Happy Father’s Day

Mujhe Itna Pyar Na Do........


Mujhe itna pyar na do baba..
Kal jana mujhe naseeb na ho..


Ye jo maatha chuma karte ho..
Kal is pr shikan ajeeb na ho..


Main jab b roti hun baba..
Tm aansu ponchaa krte ho..


Mujhe itni door na chor aana..
Main roun or tm qareeb na ho..


Mere naaz uthatay ho baba..
Mere laad uthatay ho baba..


Meri choti choti khawhish pr..
Tm jaan lutatay ho baba..


Kal aesa ho ik nagri mein..
Main tanha tm ko yaad karun..


Aur ro ro kr faryAad karun..
Aay ALLAH mere baba sa..


Koi pyar jatanay wala ho..
Mere naaz uthane wala ho..


Mere baba mujh se ehad karo..
Mjhe tm chupa kr rakho gey


Happy Father Day

Sahil Ki Rait Per......!!


Sakhiyaan Meri
Khule Samander Beech Khari Hansti Hain
Aur Main Sab se Door
Alag Sahil Per Bethi
Aati Jaati Lehron Ko Ginti Hoon
Ya Phir
Gili Rait Per Tera Naam Likhe Jaati Hoon

Yaad Aana Koi Zaroori Tha ?


Thi Gar Aanay Mein Maslihat Haail
Yaad Aana Koi Zaroori Tha ?

Dekhiye Ho Gayi Ghalat-Fehmi
Muskuraana Koi Zaroori Tha ?

Lijiye Baat Hee Na Yaad Rahi
Gungunaana Koi Zaroori Tha ?

Gungunaa Kar Meri Jawaan Ghazlain
Jhoom Jana Koi Zaroori Tha ?

Mujh Ko Paa Kar Kisi Khayaal Mein Guum
Chhup Ke Aana Koi Zaroori Tha ?

Uff Wo Zulfain, Wo Naaganain, Wo Hansi
Yun Daraana Koi Zaroori Tha ?

Aur Aisay Eham Mazaaq Ke Baad
Rooth Jaana Koi Zaroori Tha ?

Na Kar Daalein Hamein Tabah Aankhein....


Champei Rung Aur Siyah Aankhein
Na Kar Daalein Hamein Tabah Aankhein

Chor Dein Karobaar-e-Dunia Phir
Humko De Dein Agar Pannah Aankhein

Mil Gaien Humse aik Baar Agar
Jaan Lein Gi Khuda Gawah Aankhein

Ik Jhalak Dekhne Pe Dil Ne Kaha
Kiya Banaai Khuda Ne Waah Aankhein !

Ye Jahan Hai Andheir Nazroun Main
Mera Sooraj, Ye Mera Maah Aankhein

Is Taraf Se Nighaah Hat'ti Nahin
Humse Karwati Hain Gunnah Aankhein

Ek Ajeeb Si Leher..........


Ek Ajeeb Si Leher
Jaag Uthi Hai Mann Mein
Leher Kuch Kar Dikhane Ki
Mushkil Se Mushkil Waqt Mein
Aage Barh Jaane Ki


Duniya Ki Batein Kam Sun Kar
Khud ko Bhi Azmane Ki
Kathin Se Kathin Raston Par Bhi,
Akele Chal Jaane Ki.


Jalta Hai Jaise Parwaana Lau Mein
Ussi Shama Ki Tarha Jal Jaane Ki
Aasman Tak Toh Sab Jaate Hain
Par Aasman Ko Zameen Par Laane Ki,


Bujhata Hai Paani Aag Ko,
Par Usi Paani Mein Aag Lagane Ki


Jaag Uthi Hai Mann Mein Ek Leher
Leher Kuch Kar Dikhane Ki…

Kal Uski Chori Tooti


Kal Uski Chori Tooti Tou..
Wo Kuch Afsurda Si Ho Gayi Aur Mujhse Kehne Lagi,
Dekho Meri Choori Toot Kar Haath Per Lag Gayi Hai,
Aur Ab Dard Hota Hai,

Mujhe Maasumyat Pe Uski Hansi Aa Gayi
Aur Main Sochne Laga
Ke Meri Tou Hasti Tooti Hai,
Aur Mujhe Pata Bhi Nahi Chala..

Bara Arsa Hua Ik Din.........!!


Bara Arsa Hua Ik Din,
Bataya Tha Mujhe Uss Ne


Banana To Mujhe Kuch Bhi Nahi Aata


Ager Main Kuch Banati Hoon


Tou Bas Chaye Banati Hoon..


Main Chaye Ki Dewani Hoon
Bohat Achi Banati Hoon
Peo Ge Na ?


Tou Main Iss Baat Pe Yoon Muskurata Rehta Tha


Banana Kuch Nahi Aata?
Bas Ik Chaye Banati Ho ?




Mujhe Chaye Se Uljhan Hai
Nahi Peeta..Nahi Peeta..


Magar Iss Baat Ko Beete Zamana Ho Gaya Logo !
Nahi Maloom Mujh Ko
Wo Kesi Hai..Kahan Par Hai.. ?


Par Ab Chaaye , Barri Kasrat Se Peeta Hoon Main..

Khush Thay Kuch Aisay Teri Rafaaqat Ke Shoq Mein....


khush Thay Kuch Aisey Teri Rafaaqat Ke Shoq Mein
Manzil Ganwa Di Hum Ne Musaafat Ke Shoq Mein

Nafrat Hi Pehrey Daar Mili Har Makaam Par
Jiss Dar Pey Hum Gaey Hain Muhabbat Ke Shoq Mein

Hum Baargah-e-Ishq Mein Maqbool Yoon Huey
Khud Say Bicharr Gaey Teri Qurbat Ke Shoq Mein

Lotey Hain Abb To Saath Hai Ranj-o-Aalam Ki Bheerrh
Nikley Thay Ghar Say Ikk Musarrat Ke Shoq Mein

Apney Chaman Say Raabta Bilkul Nahin Raha
Sehra Noraad Ho Gaey Dolat Ke Shoq Mein

Daaman Mein Hasraton Ke Siwa Kuch Nahin
Aisey Lutey Hain Hum Teri Chahat Ke Shoq Mein....

Wao

Related Posts with Thumbnails