Wo shakhs......!!


Wo guftugu mein un dekha jaal rakhta tha
Wo shakhs lehja barha ba kamal rakhta tha

Hansi labon pe dil mein malaal rakhta tha
Ajeeb shakhs tha sheeshey mein baal rakhta tha

Tera firaaq hamesha azaab e jaan tha magar
Tera wisaal bhi mujh ko nidhaal rakhta tha

Kissi ke chehra e pur noor ka jawab nahin
Andheri raat mein sooraj nikaal rakhta tha

Wo barson baad milla bhi to es tarah se milla
Labon pe chup thi nazar mein sawaal rakhta tha

Bulandion se gira hoon to ye maloom hooa
Urooj apney hi ander zawaal rakhta tha

Chamakney waali har ek cheez ko sona samjha
Kuch es tarah ka wo zoq e jamaal rakhta tha

Tera sunehri tassawur, tera sunehri khyaal
Na janey kyoon meri aankhon ko laal rakhta tha

Mera wehem dabota raha har baar mujhey
Mera yaqeen hamesha uchaal rakhta tha...!!!

Tumharay sheher mai logon muhabat roz bikti hai


Nasihat roz bikti hai Aqeedat roz bikti hai,
Tumharay sheher mai logon muhabat roz bikti hai,

Amir-e-sheher k dar ka abhi muhtaj hai Mazhab,
Abhi Mulla k fatwoon mai Shareyat roz bikti hai,

Hamare khoon ko bhi woh kisi din bech daly ga,
Kharedaron k jhurmat mai Adalat roz bikti hai,

Najanay Lutf kia milta hai in ko roz bikne mai,
tawaef ki tarah logon Qeyadat roz bikti hai,

Kabhi masjid k mimber pr kabhi hujre mai chup chup k,
Mere waaez k lehjay mai Qeyamat roz bikti hai,

Bari laachar hain Saqi jabenain in Gharebon ki,
k Majbori ki Mandi mai Ibadar roz bikti hai...!!!

Qehqahon mein dasht dekhe hain.....


Na janay kitne dard dekhe hain
samandaron mei ashk dekhe hain

chandni rat-jagon mei ghultay
yaadon kay raqqs dekhe hain

gham-e-doran mei lazatein payin
qehqahon mein dasht dekhe hain

mail-jol, na maraasim koee
humne aise bhi rabt dekhe hain

lab khaamosh , magar alfaaz
ankho mein naqsh dekhe hain

aasmani chanchal rungo ke bas
paaniyon mien aks dekhe hain

char-deewari mein rihaai aur
khuli fizaon mei habs dekhe hain....!!!!

Ab zid pe aa gaye ho to.....


Ab zid pe aa gaye ho to ye kaam bhi kero
Khud ko humaray naam say badnaam bhi kero

Ye kaya k in ruton mein bhi qaid-e-ana ki zid
Barpa bahaar mein koi kohraam bhi kero

Aashiq ho ger to sabar k zindaan ko torr do
Ahl-e-jahan ki saazishen naKaam bhi kero

Tark-e-talluq ka maatam bohat hua
Tum thak gaye ho aao kuch aaram bhi kero .

Aadawtain kab tak.....!!


Aadawtain kab tak bharha k rakhay ga.
ye chahtain kab tak chopa k rakhay ga .

Main ghair hon ye kab tak bataay ga khud ko .
Tu Dil ko kab tak samja k rakhay ga.

Mana Aana perasat hai tu bhi jlay ga umer sari
Atish-e-Ishaq se khud ko kab tak bacha k rakhay ga .

Meri nazroon ko na sahi lafzoon ko to samjta ho ga.
Meri chahatoon ko tu kab taak dubaa k rakhay ga.

Ye Aana bhi Ghazab ki chiz hai jala diti hai sab.
Ye payyar Ishq mohabat tera sab kuch jala k rakay ga

Mujhay is aas pay jinay ka saliqa nahi aata..!


Mujhay is aas pay jinay ka saliqa nahi aata
Koi mera hay to phir muj main simat q nahi jata

Dil e nadan ki tasalli ko to hain afsanay bohat
Lekin ye Dil chupkay say sambhal q nahi jata

Hazaron logon nay jhanka meray Dil k jahan main
Janay us k siwa yeh nagar bas q nahi pata

Subh o sham ankhon main basa rakhi hy soorat uski
Mein us k Dil main bas jaon yeh hunar q nahi aata …!!

Boht Udas hai ye Dil....!!!


Boht Udas hai ye Dil Koi paigham hi likh do,
Tum apna Naam mat likho Bhalay gumnam hi likh do..

Mana k apni Kismat me gham-e-tanhai hai lakin,
Tamam Umar na likho Magar ik sham hi likh do,

Chalo hum maan laitay hain Saza k mustahiq hain hum
Koi Inam na likho koi ilzam hi likh do.

Kiya andheron k dukh,kiya ujaalon k dukh


Kiya andheron k dukh,kiya ujaalon k dukh
Jab hara dain muqaddar ki chaalon k dukh

Jin ki aankhein nahin woh na royein kabhi
Jaan jaayein agar aankh waalon k dukh

Meri manzil kahan,humsafar hai kidhar
Maar daalain gay ab in sawaalon k dukh

Tum milay ho tumhari muhabbat nahin
Hijr se barrh gaye hain wisaalon k dukh

Dau ghharri k liye paas baitho agar
Bhool jaayein hum kitnay saalon k dukh

Meri sochon k jaltay huay dasht se
Chheen lay aa k apnay khayyaalon k dukh…!!!

Naqsh yadon ka mitaati hy to ro parti hy.......


Naqsh yadon ka mitaati hy to ro parti hy.
Wo mera khatt jo jalati hy to ro parti hy.

Khoon dikhta hy mery marty hoye sapno ka,
Khuwab ankhon main basati hy to ro parti hy.

Log poochty hen jo gehri udaasi ka sabab,
Baat logon se chupaati hy to ro parti hy.

Yaad karti hy mujhy toot kar us lumhy,
Shaam chehra jo dikhaati hy to ro parti hy.

Woh bary zubt bhary hosly wali larki,
Ghum ko tahreer banati hy to ro parti hy.

Woh hijar thehra, Visaal thehra.......!


Woh hijar thehra, Visaal thehra
Kya aadmi tha kamaal thehra

Afsurdgi ke har ik nagar mein
Woh Kehkahon ki misaal thehra

Woh kis ki hatir guzar geya hai
Sab ki hatir sawaal thehra

Haan us ke lehje ki taazgi se
Jo khawb tha woh khayal thehra

Kahan se layen rafeeq tujh sa
Mohabbat mein zawaal thehra

Tu ne hum ko yeh dukh diya hai
Ke ab tu jeena muhaal thehra

Kamal zabt ka maalik....!!!


kamal zabt ka maalik,
nazar shanas b tha,


bichhar raha tha achanak,
to bad’hawaas b tha..


labon pe khoobsurat tabasum sajae phirta tha,


wo ek shakhs jo shayad boht udaas b tha..


mein jis ki yad ki parchhaeyon mein gum thi,


wo dastaras mein na tha,
aur mere pas b tha..!!

Zakhm Muskurate Hen Ab Bhi.....


Zakhm Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per
Dard Bhool Jate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Shabnami Sitaroon Per Phool Khilne Lagte Hen
Chand Muskurate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Umar Kat Di Lakin Bachpana Nai Jata
Hum Diye Jalate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Teri Yaad Aaye To Neend Jati Rahti Hai
Hum Khushi Manate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Ab Bhi Teri Aahat Per Chand Muskurata Hai
Khwab Gungunate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Tere Hijr Me Hum Per I Aazab Taari hai
Chonk Chonk Jate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Ab Bhi Teri Aahat Per Aass Lout Aati Hai
Ashq Hum Bahate Hen Ab Bhi Teri Aahat Per

Ho Sakey To Karo Khud Mein Kashish Paida,,,,,,


Ho Sakey To Karo Khud Mein Kashish Paida,
Har Kisi Ko Hasrat Se Dekha Nahi Karte,

Har Shakhs Nahi Hota Har Shakhs K Kabil,
Har Kisi Ko Apne Liye Parkha Nahi Karte,

Mujh Ko Paana Hai To Mujh Mein Utar Kar Dekh,
Yun Kinaron Se Samundar Ko Dekha Nahi Karte,

Magror Dunya Kehti Hai To Kehne Do,
Hum Har Kisi Ko Mur Kar Dekha Nahi Karte……!!!

Aankh se aankh milaa, baat banaata kyun hai........



Aankh se aankh milaa, baat banaata kyun hai
Tu agar mujhse khafa hai to chupaata kyun hai

Ghair lagta hai, na apno ki tarah miltaa hai
Tu zamaane kee tarah mujhko sataata kyun hai

Waqt ke saath haalaat badal jaate hain
Ye haqeeqat hai magar mujhko sunaata kyun hai

Aik muddat se jahan qaafile guzre hi nahin
Aisi raahoN pe chiraaghon ko jalaata kyun hai

Udas Shamon Mein Lot Kar Wo........


Udas Shamon Mein Lot Kar Wo Aana Bhool Jata Tha,
Ker K Khafa Mujh Ko Manana Bhool Jata Tha,

Inhi Khaslaton Nay Uski Mujhe Bandam Kar Dia,
Wo Likh Kar Naam Mitana Bhool Jata Tha,

Mat Pooch Muhabbat Mein La Parwahi Uski
Day K Zakhm Wo Marham Lagana Bhool Jata Tha,

KITNA DILNASHEEN HOTA THA USKI YAAD KA MANZAR,
WO JAB BHI YAAD AATA THA ZAMANA BHOOL JATA THA..

Paharon ki masti ka asar acha nahi Hota.


Paharon ki masti ka asar acha nahi Hota.
Shajar sokha hwa Ho to Samar acha nahi Hota

Jo mumkin Ho to rasty sy koi jugno pakar lena
Andheri raat ka tanha safar acha nahi Hota.

Milo kuch is tarah k Dil aapis main mil jayen.
Ta,aruf doston se mukhtisar acha nahi Hota.

Wahin betho jahan saya mile apne darakhton ka.
Kisi k gar k angan ka shajar acha nahi Hota.

Chalo acha hwa dehleez se wapis palat aye.
Jaha apny na basty Hon wo ghar acha nahi hota.

Angrai par angrai leti hai raat........!!!


angrai par angrai leti hai raat judai ki
tum kya samjo tum kya jano baat meri tanhai ki

kaun siyahi ghol raha tha waqt ke behtey darya mein
mein ne ankh jhuki dekhi hai ajj kissi harjai ki

wasl ki raat na janey kyoon israr tha unko jane par
waqt se pehley doob gaye taroon ne bari danai ki

urtey urtey aas ka punchi door ufaq mein doob gaya
rotey rotey baith gayi awaz kisi saudai ki!…………

Awaz Ka Darya Tha Jo Ik Shaks.....!


Gum Sum Howa, Awaz Ka Darya Tha Jo Ik Shaks
Pathar Bhi Nahin Ab Wo Sitara Tha Jo Ik Shaks

Aey Taiz Hawa Koi Khabar Isky Janon Ki
Tanha Safar Shoq Pe Nikla Tha Jo Ik Shaks

Ab Akhri Sutron Me Kahin Naam Hai Uska
Ahbab Ki Fehrist Me Pehla Tha Jo Ik Shaks

Hathon Me Chhupaey Howy Phirta Hai Kae Zakham
Shishay Ke Khilono Se Behta Tha Jo Ik Shaks

Ab Us Ne Bhi Apna Liay Duniya Ke Qarinay
Saey Ki Rafaqat Se Bhi Darta Tha Jo Ik Shaks

Munkar Hai Wohi Ab Meri Pehchan Ka Mohsin
Aksar Mujhy Khat Khon Se Likhta Tha Jo Ik Shaks

Apni Zindagi ki her Shaam Tere Naam kardon


Apni Zindagi ki her Shaam Tere Naam kardon
Teri hi Aankhon ka Jaam Tere Naam kardon

Main Doob jaoon Teri in Jheel si Gehri Aankhon mai
Phir apni Barbadi ka ilzam Tere Naam kar don

Tuu Mujhey Mohabbat ka Agaaz de Sanam
Mai Apne Pyaar ka Anjaam Tere Naam kardon

Ho jiska Zikar Mohabbat ki her kahani mai
Ek aisa Pyaar ka Peghaam Tere Naam kardon

Apne Markaz Se Agar Door Nikal Jao Ge


Apne Markaz Se Agar Door Nikal Jao Ge
Khaak Ho Jao Ge Afsaano Mein Dhal Jao Ge

De Rahe Hain Tumhein Aaj Jo Rafaqat Ka Faraib
In Ki Tareekh Parho Ge To Dehel Jao Ge
...
Apni Matti Pe Chalney Ka Saliqa Seekho
Sang-E-Marmar Pe Chalo Ge To Phisal Jao Ge

Khuwab-Gahon Se Nikaltey Hue Dartey Kyun Ho
Dhoop Itni To Nahi Hai K Pighal Jao Ge

Taiz Qadmon Se Chalo Aur Tasaadum Se Bacho
Bheer Mein Sust Chalo Ge To Kuchal Jao Ge.

Aese toota hai tamannaon ka pindar k bus......!!


aise toota hai tamannaon ka pindar k bus...
Dil ne jheley hain mohabat mai wo Aazaar k bus..

Ik jhamakey mai zamaney mere hathon se gaye!
is qadr taiz hui waqt ki raftar k bus..

tu kbi rakh k hamain dekh to baazar k beech!
is tarh toot k aain ge kharidar k bus..

kal b sadyon ki musafat se paray they dono,
Darmeyan aj b parti hy wo deewar k bus..

ye to ik zid hai k MOHSIN mei shikayat na karun,
wrna shikwey to hain itne mere Yar k bus

Ab ke Hum per Kesa SaaL Para Logo..!!


اب کے ہم پر کیسا سال پڑا لوگو
شہر میں آوازوں کا کال پڑا لوگو

ہر چہرہ دو ٹکڑوں میں تقسیم ہوا
اب کے دلوں میں ایسا بال پڑا لوگو

جب بھی دیارِ خنداں دلاں سے گزرے ہیں
اس سے آگے شہر ملال پڑا لوگو

آئے رت اور جائے رت کی بات نہیں
اب تو عمروں کا جنجال پڑا لوگو

تلخ نوائی کا مجرم تھا صرف فراز
پھر کیوں سارے باغ پہ جال پڑا لوگو

Main sun k us ki sab BATEEN.....!!!


Main sun k us ki sab BATEEN,
Faqat itna kehti hoon,

KHAFA hona
MANA lena

Ye sadiyon sy riwayat hai
MUHABBAT ki alamat hai

Gilay shikway karo mujh sy
tumain yara IJAZAT hai

Magar ik BaaT meri bhi
Zara tum YaaD rakh lena

Kabhi aisa bhi hota hai
Hawain rukh badalti hain

Khizain loat aati hein
Khatain ho hi jati hain

KHATA hona bhi MUMKIN hai
KHAFA hona bhi MUMKIN hai


Hamesha YaaD rakhna tum
Ta-aluq Rooth Jany sy kabhi
TOOTA nahi karty..!!

Manzil-e-gham ki fizaon se lipat k ro lon


manzil-e-gham ki fizaon se lipat k ro lon
tere daman ki hawaon se lipat k roo lon

jaam-e-mai peene se pahle mera ji chahta ha
bikhri zulfon ki ghataon se lipat k ro lon

zard ganchon ki nigahon men nigahen dalon
surkh pholon ki qabaon se lipat kar ro lon

ane wale ter raste men bichaon ankhen
jane wale tere qadmon se lipat k ro lon

apne majboor taqaddus k sahare Sagar
deer-o-kaaaba k khudaon se lipat k ro lon

Meri marzi ka tasawur mere hath ki lakeerein...!!


Meri marzi ka tasawur mere hath ki lakeerein
Enhein kash tum badlte tu kuch aur baat hoti

Ye khule khule se baal enhein lakh tum sanwaro,
Mere hath se sanwarte tou kuch aur baat hoti

Main tera aaeena tha main tera aaeena houn,
Mere samne sanwrte tou kuch aur baat hoti

Abi aankh hi lari thi ke girra dia nazar se,
Yeh jo selsela barhate tou kuch aur baat hoti

Humain apni zindagi ka kuch gham nahi hai lekin,
Tere aastan pe mrte tou kuch aur baat hoti.

Mera Wajood Sirf Meri Mohabbat Se Hai..


Mera Wajood Sirf Meri Mohabbat Se Hai..
Mujhe Ghuroor Bohat Apni Mohabbat Pe Hai..

Ki Hai Tujh Se Mohabbat Mene Bepanah..
Or Meri Zindagi Ka Sukoon Sirf Meri Mohabbat Se Hai..

Mujhe Chahate Honge Or Bhi Log Bohat..
Magar Mujh Ko Mohabbat Sirf Apni Mohabbat Se Hai.

Ye kya har dam kisi ki minnatein karna......!


Ye kya har dam kisi ki minnatein karna,
Kya issi ko kehte ho Mohabbat karna

Jo apni qismat mein hai mile ga wohi,
Phir kis baat pe Rab se shikayten karna,

Ye pagal pan nahi to or kya hai Wasi
Phir Zameen k ho kar aasman se baghawtein karna,

Boht kr chuka hai logo Pyaar ye dil,
Ab koi sikha'ay is ko bhi nafratein karna,

Pehle yaad karna usay, Phir rote rehna,
Na jane kab chhore ga dil ye harkatein karna.

Shola hoon bharakne ki guzaarish nahee karta......


Shola hoon bharakne ki guzaarish nahee karta
Sach munh se nikal jaata hai koshish nahee karta

Girtee huwi deewar ka hamdard hoon lekin
Charte huwe suraj ki parastish nahee karta

Maathay ke paseene ki mehak aye tu dekhein
Woh khoon mere jism mein garidsh nahe karta

Hamdardi-e-Ehbaab se darta hoon 'Saahil'
Mein zakhm to rakhta hoon numaesh nahee karta

Tanhayi se baateN kartay shaam guzari hay......


tanhayi se baateN kartay shaam guzari hay
lamha lamha jeetay martay shaam guzari hay

uss ki be-mehri meN bhi kuch dosh humara hay
tohmat apni zaat peh dhartay shaam guzari hay

wo jaanay kiss ghar aangan ki raunaq bann baitha
jiss ki yaad meN aaheN bhartay shaam guzari hay

doobta sooraj dekh kay dil bhi doobnay lagta hay
hum nay apni jaaN se guzartay shaam guzari hay

phir aayay gi raat, wohi dukh jaag uthay ga phir
Saahil hum nay dartay dartay raat guzari hay

Bichar kar tujh se zinda hoon meri taqdeer tu dekho....!


Bichar kar tujh se zinda hoon meri taqdeer tu dekho
Kabhi aa kar mere halaat ki tasveer tu dekho

Mujhe mehfil mein dekha tu kaha us ne raqeboon se
Mera aashiq, mera paagal, mera dargeer tu dekho

Teri tasveer ke peeche hain jaalay bewafaee ke
Ullat kar tum zara apni, kabhi tasveer tu dekho

De kar pyar ki daulat khareeday khoon ke aansoo
Milli jo ishq mein, zara jageer tu dekho

Likha hai naam Saahil ka shararat hai raqeboon ki
Yeh khat mera nahee janaan, zara tehreer tu dekho

Main Nazar Se Pee Raha Hoon


Main Nazar Se Pee Raha Hoon Ye Samaan Badal Na jaye,
Na Jhukao Tum Nigaahein Kaheen Raat Dhal Na Jaye.

Miray Ashk Bhee Hain Iss Mein Ye Sharaab Ubal Na Jaye,
Miray Jaam Choonay Walay Tera Haath Jal Na Jaye.

Abhee Raat Kuch Hai Baaqee, Na Utha Naqaab Saaqee,
Teray Anay Kee Khushee Mein Mera Dam Nikal Na Jaye.

Mujhe Phonknay Se Pehlay , Mera Dil Nikal Leyna,
Ye Kisee Kee Hai Amaanat, Meray Saath Jal Na Jaye.!!!

Apni tanhai se wehshat nahi hoti mujhko........


Apni tanhai se wehshat nahi hoti mujhko
kya ajab shy hon muhabbat nahi hoti mujh ko...

Ab koi baat be nai baat nahi mere lye
Ab kisi baat pr hyrat nahi hoti mujh ko....

Yaad aati nahi beeti hoi batain dil ko
Yaad krny ki zaroorat nahi hoti mujh ko....

Dil k jazbat se ab koi ta'luk hi nahi
Had to ye ho gai k nafrat be nahi hoti mujh ko

Sakht pehra mere andar me lga rehta hy
Soochny tk ki be ijazat nahi hoti mujh ko

Khwahish-o-wasl kahan ishq kahan batain kahan
Saans lene ki be fursat nahi hoti mujh ko

Ab sulagta nahi yadon me wo miti ka diya
Tum se milny ki b hasrat nahi hoti mujh ko....

Tera Zikar Bhi Karna Chor Diya.........!

Tera Zikar Bhi Karna Chor Diya
Ab Hum Ne Rona Chor Diya

Jub Rona Nahin To Hasna Kiya
Ab Hasna Hasana Chor Diya

Tum Rootha Karte Thay Hum Se
Ab Hum Ne Manaana Chor Diya

Teri Yaad Bohot Aati Thi Humain
Tujhe Yaad Bhi Karna Chor Diya

Ma¡n ßh¡ k¡tn¡ pagal hoon na..


Ma¡n ßh¡ k¡tn¡ pagal hoon na..


$ang hawa k urna chahoon..


T¡tli ban kar nagri nagri..


Gulshan Gulshan ph¡rna chahoon”


Phoolon k sub rang chura kr..


Chunri apn¡
rangna chahon”


Ma¡n ßh¡ k¡tn¡
pagal hoon na!


Chandni shab ko khunak hawa men


Chand nagar ko jana chahoon”


Ambar k ik ik taaray ko..”


Daman me¡n
bhar lena chahon


Bhaag k saray nan’nhy jugno”


Muthi me¡n band karna chahoon,


Ma¡n ßh¡ k¡tn¡
pagal hoon na!


Kaßh¡ kaßh¡ un nazroon k ma¡n


Goongay sapnay parhna chahon


u$$ k¡ sochoon k zeenay per..


Nangy paon ma¡n charhna chahon


Jant¡ hoon na mumk¡n ha¡ ye!


Ph¡r ßh¡ k¡tn¡ pagal hoon ma¡N…

Wo ojhal meri nigahon se kahan rehta hy..!!


Wo ojhal meri nigahon se kahan rehta hy.
Wo ashk ban kar Aankhon se rawaan rehta hy.

Kisi lamhy tanha honay nahi deti uski yadein.
Mere Aangan mein melay ka samaan rehta hy.

Her gharri dil ka daricha khula rakhty hain..
Her gharri us ke aanay ka gumaan rehta hy..

Log kehty hain zakham bhar jatay hain aakhir..
Zakham bhar jatay hain lekin nishaan rehta hy..

Wo milay to itna bata dena usko.
Tujh bin Koi preshaan rehta hai.

Aoo Kabhi Milne Ko Bahana Nahi Acha....!


Aoo Kabhi Milne Ko Bahana Nahi Acha,
Nazron Mein Raho Meri , Zamana Nahi Acha.

Mango Jo Khushi Se To Dil-0-Jan Luta Doon,
Youn Chup K Mere Dil Ko Churana Nahi Acha.

Ham Aaj Bhi Kaayil Hain Usi Baat K Yaro,
Jab Dil Na Milain , Hath Milana Nahi Acha.

Do Din Ki Zindagi Hai Usay Hans K Guzaro,
In Keemti Lamhon Ko Ganwana Nahi Acha.

Qiss kadar anokha hy raabta muhabbat ka.....


Qiss kadar anokha hy raabta muhabbat ka,
Kab na janay ho jaye mojza muhabbat ka...

Apni zaat sy b wo ajnabi sa lagta hy,
Jiss k sath ho jaye haadsa muhabbat ka...

Wo chala hi jata hy jis ny jana hota hy,
Lakh do chahay usko waasta muhabbat ka...

Zindagi mein jeenay ka aasra nahi rehta,
Jab kisi sy cheen jaye hosla muhabbat ka...

Doston sy 'WASI' agar tumhain muhabbat hy,
Doston ko mat dena mashwara muhabbat ka....

Kisi roz sham k waqt........


Kisi roz sham k waqt,


Suraj k aram k waqt,


Mil jaye sath tera,


Hath men le kar hath tera,


Door kahin tanhai men,


Duniya se judai men,


Apne sung bithaon tuje,


Dil ka haal sunao tuje,


Teri izzat ehtram karon,


Tere hath ki lakiron men,


Talash apna naam karon,


Usi waqt irada kren,


Phir milne ka wada kren,


Kisi roz sham k waqt,


Suraj k aram k waqt…

Wao

Related Posts with Thumbnails