Ham Hi Men Thi Na Koi Baat, Yaad Na Tum Ko Aa Sake


Ham Hi Men Thi Na Koi Baat, Yaad Na Tum Ko Aa Sake,
Tum Ne Hamen Bhulaa Diyaa, Ham Na Tumhen Bhulaa Sake,

Tum Hi Na Sun Sake Agar, Qissaa-E-Gham Sunegaa Kaun ,
Kis Ki Zubaan Khulegi Phir, Ham Na Agar Sunaa Sake,

Hosh Men Aa Chuke The Ham Josh Men Aa Chuke The Ham ,
Bazm Ka Rang Dekh Kar Sar Na Magar Uthaa Sake,

Shauq-E-Visaal Hai Yahaan, Lab Pe Savaal Hai Yahaan ,
Kis Ki Majaal Hai Yahaan, Ham Se Nazar Milaa Sake,

Raunaq-E-Bazm Ban Gae Lab Pe Hikaayaten Rahin ,
Dil Men Shikaayaten Rahin Lab Na Magar Hilaa Sake,

Aisaa Bhi Koi Naama-Bar Baat Pe Kaan Dhar Sake ,
Sun Kar Yaqin Kar Sake Jaa Ke Unhen Sunaa Sake,

Ahl-E-Zabaan To Hain Bahut Koi Nahin Hai Ahal-E-Dil ,
Kaun Teri Tarah "Hafeez" Dard Ke Geet Gaa Sake

Ye Kya Muqaam Hai Wo Nazaare Kahaan Gaye


Ye Kya Muqaam Hai Wo Nazaare Kahaan Gaye
Wo Phool Kya Huye Wo Sitaare Kahaan Gaye

Yaaraan-E-Bazm-E-Jurrat-E-Rindaana Kya Hui
Un Mast Ankhariyon K Ishaare Kahaan Gaye

Ek Aur Daur Ka Wo Taqaaza Kidhar Gaya
Umde Huye Wo Hosh Ke Dhaare Kahaan Gaye

Uth Uth Ke Baith Chuki Gard Raah Ki
Yaaro Qaafile Thake Haare Kahaan Gaye

Betaab Tere Dard Se The Chaara-Gar “Hafeez”
Kya Jaaniye Wo Dard K Maare Kahaan Gaye

Bargashta-E-Yazdaan Se Kuch Bhool Hui Hai-


Bargashta-E-Yazdaan Se Kuch Bhool Hui Hai
Bhatke Hue Insaan Se Kuch Bhool Hui Hai

Ta Hadd-E-Nazar Shole Hi Shole Hain Chaman Mein
Phoolon K Nigehbaan Se Kuch Bhool Hui Hai

Jis Ahad Mein Lut Jaye Faqiron Ki Kamaai
Us Ahad Ke Sultan Se Kuch Bhool Hui Hai

Hanste Hain Meri Surat-E-Maftun Pe Shagufe
Mere Dil-E-Naadaan Se Kuch Bhool Hui Hai

Hooron Ki Talab Aur Mai-O-Saghar Se Hai Nafrat
Zaahid Tere Irfaan Se Kuch Bhool Hui Hai

Ye arzu thi tujhe gul ke ru-ba-ru karte


Ye arzu thi tujhe gul ke ru-ba-ru karte
Hum aur bulbul betaab guftufu karte

Payaam bar na muyassir hua, to khoob hua
Zabaan ghair us kya sharah arzoo karte

Meri tarha se meh-o-meher bhi hain awara
Kisi habeeb ki ye bhi hain justuju karte

Jo dekhte teri zanjeer zulf ka aalam
Aseer hone ki azaad arzoo karte

Na pooch aalam bargashta taalai Aatish,
Barasti aag jo baaraa'n ki aarzoo karte

Phir Mujhko Uski Yaad Dila Di BARISH Ne


Phir Mujhko Uski Yaad Dila Di BARISH Ne
Dil Mein Jo Bhool Ki Aag Thi Bhuja Di BARISH Ne

Main Tanha Tha Apne Ghar Main Zamane Se
Magar Mere Ghar Ki Dewar Gira Di BARISH Ne

Uss Ke Zikar Se Ho Gai Meri Ankhen Num
Magr Dosto Yeh Sari Baat Chhupa Di BARISH Ne

Suna Hai Woh Bhi Roye Hain Aaj Bahut
Lagta Hai Unko Bhi Meri Yaad Dila Di BARISH Ne

Woh Bewafa Huwe To Phir Kya Huwa"DOST"
Aaj Mere Sath Ro Kar Wafa Nibha Di BARISH Ne

Ek aarzoo hai puri parwardigar kare - Wasi Shah


Ek aarzoo hai puri parwardigar kare,
Men dair se jaon wo mra intzar kre.

Apne hathon se sanwarun zlfein uski,
Wo shrma kr mhabat ka iqrar kre.

Lipat jay mjhse aalm-e-madhoshi men,
Or josh-o-janun men mhabat ka izhar kre.

Ho shab-e-wisal aesi ya RAB!,
K bheegi zulfon se mujhe bedaar kre.

Jab use chor k jana chahun Wasi,
Wo roke or ik raat ka israr kre,

“Qasam khuda ki main kisi or ka ho nhi sakta”,
Ye wada-e-wafa wo bar bar kre.”

Dulhan si sajke aana chaahun mein


Dulhan si sajke aana chaahun mein
Teri aankhon mein kajal banke rahugi mein

Teri aankhon mein chamak dekhna chaahun mein
Churiyan khanke jab jab teri yaadon mein sajaon bindiya mein

Meri payal kanke teri paas chali aaongi mein
Tumari mehekte khusboo mein raangon ki duniya sajaon mein

Raaton ke khilte gulab ko tumare labon se sajaon mein
Aapne aankhon mein agar ashq nikale teri tasveer banao mein

Teri Umeed Tera Intezaar Jab Se Hai


Teri Umeed Tera Intezaar Jab Se Hai,
Na Shab Ko Dinse Shikayat Na Dinko Shab Se Hai,

Kisika Dard Ho Karte Hai Tere Naam RaQam,
Gila Hai Jo Bhi Kisi Se Teri Sabab Se Hai,

Hua Hai Jab Se Dil-E-Naasabur BeQabu,
Kalam Tujhse Nazar Ko Badi Adab Se Hai,

Agar Sharar Hai To Bhadke Jo Phool Hai To Khile,
Tarah Tarah Ki Talab Tere Rang-E-Lab Se Hai,

Kahan Gaye Shab-E-FurQat Ke Jaagne Wale,
Sitara-E-Seher Hum-Kalaam Kab Se Hai...

Dard ager admi hota


Dard ager admi hota
To gareeban se pakartay.. or kehtay

Is tarha se rehtay hain..
Be chain Dillon ke andar ?

Is tarha se kartay hain Beemaron se ?

Dill main rehna hai tokuch theek se rehna seekho..

Ham tumhain sehtay hain,
kuch tum bhi to sehna seekho

Ik zara si khushi A jay to jal jatay ho

Shamma ki man-nind pigal jatay ho
Dard ger admi hota to hi kehtay.

Log Kehte Hain Main Sharabi Hoon


Log Kehte Hain Main Sharabi Hoon
Tumne Bhi Shayad Yahi Soch Liya

Kisi Pe Husn Ka, Guroor, Jawani Ka Nasha
Kisi Ke Dil Pe Mohabbat Ki Rawani Ka Nasha

Kisi Ko Dekh Ke Saanso Se Ubharta Hai Nasha
Bina Piye Bhi Kahi Hadh Se Guzarta Hai Nasha

Nashe Mein Kaun Nahi Hai Mujhe Batao Zara
Kise Hai Hosh Mere Saamne To Lao Zara

Nasha Hai Sab Pe Magar Rang Nashe Ka Hai Juda
Khili Khili Hui Subah Pe Hai Shabnam Ka Nasha

Hawa Pe Khushboo Ka, Hai Badal Pe Rimjhim Ka Nasha
Kahin Suroor Hai Khushiyon Ka, Kahin Gham Ka Nasha

Nasha Sharab Mein Hota To Naachti Botal
Maikade Jhoomte, Paimanon Mein Hoti Halchal

Nasha Sharab Mein Hota To Naachti Botal
Nashe Mein Kaun Nahi Hai Mujhe Batao Zara

Us ne jab jab mujhy Dil se pukara Mohsin


Us ne jab jab mujhy Dil se pukara Mohsin
Main ne tab tab ye bataya ke tumara Mohsin,

Log sadion ki khataon pe b khush basty hain
Hum ko Lamhon ki wafaon ne Ujara Mohsin,

Ho gaya jab ye Yaqeen ke ab Woh nahi aye ga
Aansuon aur Gham ne dia Dil ko sahara Mohsin,

Wo tha jab Paas to Jeene ko b Dil karta tha
Ab to Pal-bhar b nahi hota guzara Mohsin,

Us ko pana to MUQADAR ki Lakeeron mein nahi
Us ka khona b karain kaise Gawaara Mohsin

Mere Be-rabt Khayalat me Kia rakha Hai @


Mere Be-rabt Khayalat me Kia rakha Hai
Main To Pagal Hon Meri Baat me Kia rakha Hai

Baandh rakha Hai Teri Yaad Ne Maazi Se Mujhe
Warna Guzray Huway lamhaat me Kia rakha Hai

Meri Takmeel Teri Zaat Se Hi Mumkin Hai
Tu Alag Ho To Meri Zaat Me Kia rakha Hai

Yeh Shab-o-roz Tere Dum Se Hi Tabinda Hain
Warna in Gardash-e-Halaat me Kia rakha Hai

UMAR BHAR Sath Nibhao To Koi Baat Banay,,
Chand lamhon Ki Mulaqat me Kia rakha Hai...?

Vo Baaten Teri Vo Fasaane Tere


Vo Baaten Teri Vo Fasaane Tere
Shagufta Shagufta Bahaane Tere

Bas Ek Zakhm Nazzaaraa Hissa Meraa
Bahaaren Teri Aashiyaane Tere

Bas Ek Daagh-E-Sajdaa Meri Kaayenaat
Jabeenen Teri Aastaane Tere

Zameer-E-Sadaf Men Kiran Ka Muqaam
Anokhe Anokhe Thikaane Tere

Faqeeron Ka Jamghat Ghadi Do Ghadi
Sharaaben Teri Baada-Khaane Tere

Bahaar-O-Khizaan Kam-Nigaahon Ke Vaham
Bure Yaa Bhale Sab Zamaane Tere

"Adam" Bhi Hai Teraa Hikaayat-Kada
Kahaan Tak Gaye Hain Fasaane Tere

Apni Zulfon Ko Sitaaron Ke Havaale Kar Do


Apni Zulfon Ko Sitaaron Ke Havaale Kar Do
Shahr-E-Gul Baada-Gusaaron Ke Havaale Kar Do

Talkhi-E-Hosh Ho Yaa Masti-E-Idraak-E-Junoon
Aaj Har Cheez Bahaaron Ke Havaale Kar Do

Mujh Ko Yaaro Na Karo Rahnumaaon Ke Supurd
Mujh Ko Tum Rahguzaaron Ke Havaale Kar Do

Jaagne Vaalon Ka Toofaan Se Kar Do Rishta
Sone Vaalon Ko Kinaaron Ke Havaale Kar Do

Meri Taubaa Kaa Bajaa Hai Yahi Ejaaz "Adam"
Mera Saaghar Mere Yaaron Ke Havaale Kar Do

Kaun Kahataa Hai Ke Maut Aai To Mar Jaunga


Kaun Kahataa Hai Ke Maut Aai To Mar Jaunga
Main To Dariya Hun Samandar Mein Utar Jaungaa

Tera Dar Chhor Ke Main Aur Kidhar Jaungaa
Ghar Mein Ghir Jaunga Sahara Mein Bikhar Jaungaa

Tere Pahaloo Se Jo Uthoon Gaa To Mushkil Ye Hai
Sirf Ik Shakhs Ko Paaunga Jidhar Jaaungaa

Ab Tere Shahar Mein Aaunga Musaafir Ki Tarah
Saayaa-E-Abr Ki Maanind Guzar Jaaungaa

Teraa Paimaan-E-Vafaa Raah Ki Deevaar Banaa
Varna Socha Tha Ke Jab Chahunga Mar Jaaungaa

Chaara-Saazon Se Alag Hai Meraa Mayaar Ke Main
Zakhm Khaaunga To Kuch Aur Sanvar Jaaungaa

Ab To Khurshid Ko Dube Hue Sadiyan Guzarin
Ab Use Dhudhne Main Taa-Ba-Sahar Jaaungaa

Zindagi Shamma Ki Manind Jalaata Hun `Nadeem`
Bujh To Jaaunga Magar Subah To Kar Jaaungaa

Larkiyaan Bewafaa nahi hoti.


Larkiyaan Bewafaa nahi hoti...!
Wo to majborioon mein lipti hain
Apne shiddat bhare khyalon mein,
Apne ander chhupi ek aurat mein..
Wo hamesha hi darti rehti hain
Na to jeeti hain na to marti hain....
Larkiyaan bewafaa nahi hoti :( Per Hamesha...
hi darti rehti hain...
Apne reeti or rawajoon se Ane wale naye azaboon se,
Zarurat mein khile ghulaboon se...
Pyaar kerti hain or chhupati hain,
Larkiyaan Bewafaa nahi hoti....
Kyuon ki majborioon mein lipti hain,
aur har lamha darti rehti hain,
Apne pyaar se apne saye se,
Apney rishton se dil ki dharkan se,
Apni khowahish se apni kushiyon se ♥

Har sham teri yaad mein jalta huwa dekhun


Har sham teri yaad mein jalta huwa dekhun
Kab tak dil betab machalta huwa dekhun

Anchal ki tarhan tan say lipat jaun tery
Or khud ko teri zat mein dhalta huwa dekhun

Nahin Hai Teri Misal Jaana...


Nahin Hai Teri Misal Jaana...!!!!!


Dabi Dabi Si Wo Muskarahat
Labon Pay Apnay Saja Saja K,


Wo Naram Lehjay Main Baat Karna
Ada Say Nazrain Jhuka Jhuka K,


Wo Aankh Teri Shararti Si
Wo Zulf Mathay Pay Nachti Si,


Nazar Hatay Na Ek Pal Bhi
Main Thak Gya Hun Hata Hata K,


Wo Teray Hathon Ki Ungliyon Ko
Milla Kay Zulfon Main Kho Sa Jana,


Haya Ko Chehray Pay Phir Sajana
Phool Chehra Khila Khila K,


Wo Hath Hooroun Kay Ghar Hon Jaisay
Wo Paon Pariyoun Kay Par Hon Jaisay,


Nahin Hai Teri Misal Jaana,
Main Thak Gya Hon Bata Bata K...!


♥•Ù •●♥ PoetryGhar.com ♥●•Ù ♥

Ab Jo Rothy to Kabhi Manana nhi Ja ker..


'Ab Jo Rothy to
Kabhi Manana nhi Ja ker


Seh Lein gy Dukh Usay Sunana nhi Ja ker


Lout Aye ga Zror
agr Wo Mera hua


Aaj se Teh huwa
Khud BuLana nhi Ja kr


Usy Chaha hy
Usy Chahty rahen gy


Us k DiL mein hy Kya
Aazmana nhi Ja ker


MiLay to Bersa dein gy
Hum Pyar Us pay


Nhi to Haal-e-Dil b Btana nhi Ja ker.'

Ajeeb shaks hai pani kay ghaR main rahta hai


Woh aqs bun kar meri chashm-e-tar maiN rahta hai
Ajeeb shaks hai pani kay ghaR main rahta hai

Wohi to meri shab-e-gham ka ek peyambaR hai
Woh ek sitara jo chashm-e-sehar maiN rahta hai

Jo meray hontoo-n pay aye to gunguna lon ussay
woh shair bun kar bayaz-e-nazar maiN rahta hai

Guzarta waqt mera gham gusar kya hoga
Ye khud taqob-e-sham-o-sehaR main rahta hai

Mera hi roop hai tu ghoR say agaR dekhay
Bagola sa jo teri rahguzar maiN rahta hai

Eik Shamma Jali Rafta Rafta......


Eik Shamma Jali Rafta Rafta Eik Khawab Loot Gaya Dheere Dheere
Sheesha Na Sahi Pathar Bhi Na Tha Dil Toot Gaya Dheere Dheere

Barson Main Marasim Bante Hain Lamhon Main Kya Tootain Gey
Tu Mujh Say Bicharna Chahe To Deewaar Utha Dheere Dheere

Woh Haath Paraye Ho Bhi Chooke Ab Door Ka Rishta Hai Akhtar
Aati Hai Mere Veerane Main Khushboo-E-Hina Dheere Dheere

Mehandi Se Saje Haath


Kabhi mehandi se saja lo tum apne haathon ko,
Us sajawat ke kisi kone mein hamara naam bhi likh do,
Yeh naam sirf hum dono ko hi nazar aaye,
Kuch is tarah se hum dono ka tum naam likh do.


Teri mehandi se saje haathon ko mein apne haathon mein le loonga,
Tere haathon ki mehandi ki khushboo ko apne dil mein qaid kar loonga,
Dhoond loonga mein tere haathon mein chupi hum dono ka naam,
Leke tere haathon ko apne haathon mein use mein choom loonga.


Jab loonga tere haathon ko apne haathon mein,
Tere chudiyon ki kankanahat goonjegi geet banker,
Jab mein choomoonga tere honthon mein jaanam,
Tere siskiyan nayee sur banke goonjegi.


Tere saanson ki garmi jab milegi saanson se meri,
Tab wahan par nayee ek sargam banegi,
Jab milegi badan mere tere badan se oh jaanam,
Mohabbat hamari bas rangeen banegi.

Amjad magar woh shakhs mujhay bhoolta nahin


Kehnay ko us say mera koi waasta nahin
Amjad magar woh shakhs mujhay bhoolta nahin

darta hoon aankh kholoon to manzar badal naa jayey
main jaag to raha hoon magar jaagta nahin

aashaftagi say uski usay beywafa naa jaan
aadat ki baat or hay dil ka bura nahin

tanha udaas chaand ko samjho naa beykhabar
hur baat sun raha hay magar bolta nahin

khamosh ratjagoun ka dhuwaan tha chahaar soo
nikla kub aaftaab mujhay to pata nahin

amjad woh aankhain jheel see gehri to hain magar
un main koi bhi aks meray naam ka nahin!!

Woh Kabhi Ik Sheir Tau Mera Suna Deti Mujeh


Subh Ki Pehli Kiran Yoon Tau Jaga Deti Mujeh
Band Khirki Se Magar Kese Sada Deti Mujeh

Mein Teri Yaadon Mein Khoya Muntazir Hota Tera
Koi Khushboo Teri Amad Ka Pata Deti Mujeh

Sheher Se Urr Ker Bhi Tere Pass Aa Sakta Tha Mein
Gar Tera Pagiham Gaon Ki Hawa Deti Mujeh

Malgajay Kaghaz,kitabein,phool Patay Shairi
Zindagi Ke Pass Kia Tha Jo Sawa Deti Mujeh

Mere Lafzon Mein Ghina Ka Zaika Mojood Tha
Woh Kabhi Ik Sheir Tau Mera Suna Deti Mujeh

Uska Ghar Safdar Kahin Anghoor Ki Beilon Mein Tha
Zindagi Ki Dhoop Mein Yeh Tau Bata Deti Mujeh

Mera tumse aesa rishta hai



Mera tumse aesa rishta hai
Khawb ka jo tabeer se hai,
Sheeshe ka jo tasveer se hai,
Sachayi ka jo zameer se hai,
Qaidi ka jo zanjeer se hai,
Samundar ka jo mahi-geer se hai,
Ranjhey ka jo heer se hai,

Mera tumse aesa rishta hai,
Chaand ka jo raat se hai,
Saawan ka jo barsat se hai,
Dil ka jo barsaat se hai,
Dil ka jo jazbaat se hai,
Mausam ka jo soghaat se hai,
Jeet ka jo maat se hai,
Takdeer ka jo halaat se hai,

Mera tumse aesa rishta hai
Pyar ka jo iqraar se hai,
Dukh ka jo izhaar se hai,
Sharaab ka jo khumaar se hai,
Nafrat ka jo pyaar se hai,
Jeet ka jo haar se hai,
Til ka jo rukhsaar se hai,

Mera tumse aesa rishta hai
Kaantey ka jo phool se hai,
Insaan ka jo bhool se hai,
Raah ka jo dhool se hai,
Dua ka jo kubool se hai,
Ilm ka jo husool se hai,
Kitaab ka jo Rasool se hai,

Mera tumse aesa rishta hai
Bahaar ka jo chaman se hai,
Nigaah ka jo hussan se hai,
Pardesi ka jo watan se hai,
Justuju ka jo lagan se hai,
Choli ka jo daaman se hai,
Yadon ka jo saawan se hai,

Mera tumse aesa rishta hai
Dard ka jo ehsaas se hai,
Sehraa ka jo pyaas se hai,
Ghareeb ka jo aas se hai,
Dard ka jo paas se hai,
Jism ka jo libaas se hai,
Gham ka jo Waqaas se hai,

Mera tumse aesa rishta hai,
Mera tumse aesa rishta hai…

Mein yeh baat dunya walon ko batana chahta hoon


Shaam se pehle ik diya jalana chahta hoon,
Main aaj apni mohabbat ko aazmana chahta hoon,

Yeh anaa-parast log hain andar se tootay huye,
Mein yeh baat dunya walon ko batana chahta hoon,

Teri zaat ki mehroomiyan, Tere man ki yeh udaasiyan,
Mujhe moka to de, mein inhe mitaana chahta hoon,

Tere hath mein mere rehber, Tere naksh-e-paa meri manzil ke,
Tujhe mein chilchilati dhoop mein aanchal banana chahta hon,

Cheen lo saharey mujhse, apne paraaye sarey mujhse,
Bas do hosla mujhe, mein khud ko manwaana chahta hoon,

Poocha jo yaaron ne muskurahat ka sabab to kehne laga Waqas,
Mein hansi ke pardey mein dard apna chupana chahta hoon..

Ho sake tou yeh ghaur tum bhi karo


Rang o khushbu ke darmeyan mein hai
Kon sa shakhs mere dheyan mein hai

Kal bhi tha nasha-e-khudi us ko
Aaj bhi dil usi gumaan mein hai

Ho sake tou yeh ghaur tum bhi karo
Koi tanha bharey jahaan mein hai

Tujh pe hai dhoop chaaon ka mausam
Tere shayar bhi imtihaan mein hai

Khawb hain phool hain woh ankhen hain
Ik tasalssal sa dastaan mein hai

Haadsa jo na ho saka hai abhi
Gardish e wakt ki amaan mein hai

Mein nibhaon ga sarey ehad zeya
Jab talak meri jaan, jaan mein hai

Ye kisaka tasavur hai, ye kisaka fasana hai,


Ye kisaka tasavur hai, ye kisaka fasana hai,
Jo ashk hai aankhon mein tasbih ka dana hai,

Aankhon mein nami si hai chup-chup se vo baithe hain,
Nazuk si nigaahon mein naazuk sa fasana hai,

Ye ishq nahin aasaan itana to samajh lije,
Ek aag kaa dariyaa hai aur doob ke jana hai,

Yaa vo the khafa ham se ya ham the khafa unse,
kal un ka zamana tha aaj apana zamana hai...

Koyee had nahi hai kamaal ki


Koyee had nahi hai kamaal ki
Koyee had nahi hai jamaal ki

Wahi qurb O door ki manzileN
Wahi sham khaab O khyaal ki

Na mujhe hi uska pata koyee
Na use khabar mere haal ki

Ye jawaab meri sada ka hai
K sada hai uske sawaal ki

Wo qayamateN jo guzar gayeeN
ThiN amanaten kayee saal ki

Ye namaaz E asr ka waqt hai
Ye ghari hai din k zawaal ki

Hai MONIR subh E safar nayee
Gayee baat shab k malaal ki..

Dil main uska naam likhaya to bewafa hui


Dil main uska naam likhaya to bewafa hui
Jab tanhai ko apnaya to bewafa hui

Bhulana chahti thi to aur yaad ata tha
Gham ko shairi main sajaya to bewafa hui

Aag se khailne ka shauq tha usse
Maine aik kagaz jalaya to bewafa hui

Uska aks chupaya ashqoon ke peeche
Lekin duniya ko hansaya to bewafa hui

Pukarti rahi akhri dam tak us zalim ko
Maut ko seene se lagaya to bewafa hui

Jo Chaley Tou Jaan Se Guzar Gaye Lyrics- Poetry


Tujhe Kya Khabar Mere Haal Ki


Mere Dard Mere Malaal Ki


Yeh Mere Khayal Ka Silsila


Kisi Yaad Se Hai Milaa Hua


Usse Dekhna Usse Sochna


Meri Zindgi Ka Hai Faisla


Yeh Usi Ki Palkon Ke Saaye Hein


Meri Rooh Mein jo Utar Gaye


Yeh janoon-e- manzil-ee ishq hai


Jo Chale Tou Jaan Se Guzar Gaye


Mujhay is Muqaam Pay Chorna


Hai yeh Bewafi Ki inteha


Yeh Kafs ho jaisay Khuli Fiza


Yehi Sukh ka sans mein loon sada


Jinhain teri deed ki piyas thi


wo katoray nainoon say bhar gaye


Yeh janoon-e-- manzil-ee ishq hai


jo chlay to jaan say guzar gayee

Mujh Say Itnay “Qareeb” ho Jao ….!


Mujh Say Itnay “Qareeb” ho Jao ….!
Udaas Shab Ki “Saleeb” ho Jao ….!

Meri Baanhon Ko Sonp Do Sab Kuch….!
Meri Khatir “Ghareeb” Ho Jao….!

Mujh Mein Utro Meray Lahu Ki Tarhan….!
Meri Rooh Kay “Raqeeb” Ho Jao….!

Tum Jo Chu Lo Toh Dard Ghat Jaye….!
Aao Meray “Tabeeb” Ho Jao….!

Kuch Na Bolo Magar Kaho Sab Kuch….!
Aaj Aisay “Khateeb” Ho Jao….!

Tere samne royen kese…


Dil mein hum aik hi jazbe ko samoyen kese,
Ab tujhe paa ke yeh uljhan hai ke khoyen kese,

Zehen chalni jo kiya hai, To yeh majboori hai,
Jitne kaante hain, woh talwon mein piroyen kese,

Hum ne maana ke bohat der hai hashar aney tak,
Chaar janib teri aahat ho to soyen kese,

Kitni hasrat thi, Tujhe pass bitha ker rote,
Ab yeh yeh mushkil hai, Tere samne royen kese…

Saadgi Mein Bhi, Kamaal Lagte Ho,


Saadgi Mein Bhi, Kamaal Lagte Ho,
Tum Mera Kitna, Khayaal Rakhte Ho,

Laboon Par Aik Hi, Sawaal Hai Zaahir,
Kaho Na Hum Se, Kitna Pyaar Karte Ho,

Tumhaare Bin Zindagi To, Zindagi Hi Nahi,
Dil Mein Jagah Itni, Khaas Rakhte Ho,

Lagta Nahi Ye Dil, Ab Tum Bin,
Jaana Qayamat Si, Misaal Rakhte Ho…

Wao

Related Posts with Thumbnails