Roodad-e-qafas yaad, Na andaz-e-fughan yaad


Roodad-e-qafas yaad, na andaz-e-fughan yaad
Jo beet gai, beet gai, ab wo kahan yaad

Tum bhool gaye hum ko to kaya is main ta’ujab
Iss daur main karta hai kisay, kaun kahan yaad

Kafi thi tabahi ke liye gardish-e-dauran
Tum aisay main kiyun aa gaye ho jaan-e-jahan yaad

Apnay se raqabat ka ye alam he ke tauba
Hum bhool gaye khud ko, wo aaye hain jahan yaad

Maazi ke dareechay se kabhi jhank ke dekho
Shayed tumhain aa jaye mera naam-o-nishan yaad

Wao

Related Posts with Thumbnails