Pal mein doori ho jati hai


Pal mein doori ho jati hai 
Zaat adhori ho jati hai 

Ankhoon mein neend aati nahi
Raat poori ho jati hai 

Pehlay tou hoti hai chahat 
Phir majboori ho jati hai 

Tanhai jab bool pare tou 
Baat zaroori ho jati hai 

Kuch logoon ki lamha bar mein 
Khuwahish poori ho jati hai 

Had se pyar guzar jae tou 
Aksar doori ho jati hai

Jitna aaya hai tere baad nazar Baarish Mein


Jitna Aaya Hai Tere Baad Nazar Baarish Mein 
Itna Sunsaan Na Tha Pehlay Nagar Baarish Mein 

Dhul Gaya Lamhon Mein Saalon Ka Parra Gard-o-Ghubaar 
Ho Gaye Aur Bhee Sar-Sabz Shajar Baarish Mein 

Tujh Ko Maloom Nahi Royi Howi Aankh Ka Gham 
Kar Ke Dekho Tou Kisi Shaam Safar Baarish Mein 

Kam Tou Pehlay Bhi Nahi Tha Magar Ay Bichray Howay 
Barh Gaya Aur Tere Gham Ka Asar Baarish Mein 

Har Taraf Ek Udaasi Si Utar Aati Hai
Kisi Zindaan Mein Dhal Jaata Hai Ghar Baarish Mein

Ay Alamnaak Ghatao Ose Jaa Kar Kehna
Takta Rehta Hai Koi Jaanib-e-Dar Baarish Mein

Is Qadar Rasmi Hai Wo Shakhs Ke Bas Holay Se
Pooch Leta Hai Janaab Aaj Kidher Baarish Mein

Muhje to lot ana tha magar awaz to dety..


Muhje to lot ana tha magar awaz to dety.. 
Na itni door jana tha magar awaz to dety..

Tumhe shayad khabar na thi mujhe tum jan se pyary ho.. 
Agrchay aazmana tha magar awaz to dety.. 

Tmhara dil behlta tha meri bekar baton se.
Ye qissa to purana tha magar awaz to dety..

Gilay shikway hazaron thy magar dil men "muhabbat" thi 
"Muhabbat"ko bachana tha magar awaz to dety....

Agar Yehi Muhabbat Hai Jana


Libas Tan Se Utaar Dena, 
Kisi Ko Bahon K Haar Dena,
Phir Us K Jazbon Ko Maar Dena, 
AGAR YEHI MUHABBAT HAI JANA ? 
TO MUAF KARNA MUJHE NAHI HAI..... 

Gunah Karne Ka Soch Lena, 
Haseen Pariyan Daboch Lena, 
Phir Uski Ankhen Hi Noch Lena,
AGAR YEHI MUHABBAT HAI JANA ? 
TO MUAF KARNA MUJHE NAHI HAI..... 

Kisi Ko Lafzon K Jaal Dena, 
Kisi Ko Jazbon Ki Dhaal Dena, 
Phir Uski IZZAT Uchhal Dena,
AGAR YEHI MUHABBAT HAI JANA ?
TO MUAF KARNA MUJHE NAHI HAI..... 

Andaer Nagri Main Chalty Jana, 
Haseen Kaliyan Masalty Jana, 
Aur Apni Fitrat Pe Muskrana,
AGAR YEHI MUHABBAT HAI JANA ?
TO MUAF KARNA MUJHE NAHI HAI..... 

Sajja Raha Hai Har EK Diwana, 
Khyal-e-husan-o -Jamal Jana, 
Khyal Kia Hain Hawas Ka Tana, 
AGAR YEHI MUHABBAT HAI JANA ? 
TO MUAF KARNA MUJHE NAHI HAi....

Maana Teri Nazar Mein.


Maana teri nazar me, tera pyaar hum nahi, 
Kaise kahein ke, tere talabgaar hum nahi,

Khud ko jala ke, khaak kar daala, mita daala, 
Lo ab tumhari raah mein, diwaar hum nahi,

Jisko sanwaara humne, tamannao ke khoon se,
Gulshan mein us bahaar ke, haqdaar hum nahi, 

Dhokha diya hai khud ko, mohabbat ke naam se,
Kaise kahein ke, tere gunahgaar hum nahi...

Zakhmi hain bohat paon, Aur musafat bhi bohat hai..


Zakhmi Hain Bohat Paon, Aur Musafat Bhi Bohat Hai. 
Manzil Se Magar Hum Ko Aqeedat b Bohat Hai.

Ye Shehr-e-Wafa Laakh Haseen Shehr Hai Lekin,
Is Shehir Me Dukh Dard Ki kasrat b Bohat Hai.

Ye Dil Hai Ke Uska Hi Talabgaar Hai Ab Tak, 
Is Deep Ko Aandhi Se Muhabbat b Bohat Hai.

Kuch Zulam kiye, Gardish-e-Ayaam Ne Hum Par,
Kuch Hum Pe Muqadar Ki Enayat b Bohat Hai. 

Is Tark-e-Rafaqat ka Sabab Hum b Hain Lekin, 
Kuch Is Me Zamane ki Siyasat Bhi Bohat Hai...

Meri rooh jesay kuchal gya


Meri rooh jesay kuchal gya, 
koi shaks aisy badal gya, 

ye kis ka harf-e- dua raha, 
k main girty girty sanbhal gya, 

teri yaad jab aany lagi, 
mera dard jesy behal gya, 

meri qismaton ka qaafla, 
kisi aur janib nikal gya, 

tumhain dekhty hain bysabab, 
koi khawab mera machal gya, 

mera patharon sa garoor tha,
magar tery aqgy pighal gya...

Aankh se aankh mila baat banata kyun hai


Aankh se aankh milaa baat banaataa kyuuN hai 
Tu agar mujhase Khafaa hai to chhupaataa kyuuN hai 

Gair lagataa hai na apanon kii tarah milataa hai tu 
Zamaane kii tarah mujhako sataataa kyuuN hai

Waqt ke saath haalaat badal jaate hain
Ye haqiiqat hai magar mujhako sunaataa kyuuN hai 

Ek muddat se jahaan kaafile guzare hii nahiin
Aisii raahon pe charaaGon ko jalaataa kyuuN hai

Yeh Chirag Bay Nazar Hai


Yeh Chirag Bay Nazar Hai Yeh Sitaara Bay Zaban Hai 
Abhi Tujh Say Milta Julta Koi Dosra Kahan Hai

Kabhi Kho K Tujhko Pana Kabhi Pakay Tujhko Khona 
Yeh Janam Janam Ka Rishta Tere Mere Darmiyaan Hai

Mere Sath Chalnay Walay Tujhe Kia Mila Safar Main 
Wohi Dukh Bhari Zameen Wohi Gam Ka Aasmaa Hai 

Main Isi Gumaan Main Bari Mutmain Rahi Hoon 
Tera Jism Bay Tageer Mera Pyar Jawidaan Hai 

Inhie Raaston Nay Jin Per Kabhi Tum Mere Sath Thay 
Mujhay Rook Rook Ker Pocha Tera Hamsafr Kahan Hai

Teri yadain aa jati hain


Chahat ka ek metha metha dard jaganay shaam dhalay
Teri yadain aa jati hain mujh ko rulanay shaam dhalay

Teri zulfain in kandhoon per tera chehra hathoon main
Main ne bhi daikhay hain kitnay khaab suhanay shaam dhalay

Her din hum say wadaa kr k younhi ager tarpaoo gay
Ek din younhi ho jain gay hum bhi deewanay shaam dhalay

Din k ujaloon main to manaloon lakh jatn say behla loon
Lakin dil ka pagal panchi aik na manay shaam dhalay

Teri yadain aa jati hain mujh ko rulanay shaam dhalay
Chahat ka ek metha metha dard jaganay shaam dhalay

Tu Is Qadar Mujhe Apne Kareeb Lagta Hai


Tu Is Qadar Mujhe Apne Kareeb Lagta Hai
Tujhe Alag Sa Jo Sochun Ajeeb Lagta Hai

Hadood-E-Zaat Se Bahar Nikal ke Dekh Zara
Na Koi Gair, Na Koi Raqeeb Lagta Hai

Jise Na Husn Se Matlab Na Ishq Se Sarokar
Wo Shakhs Mujhko Bahut Badnaseeb Lagta Hai

Ye Dosti, Ye Marasim, Ye Chahatein Ye Khaloos
Kabhi Kabhi Ye Sab Kuch Ajeeb Lagta Hai

Ufaq Pe Door Chamakta Hua Koi Taara
Mujhe Charag-E-Dayaar-E-Habeeb Lagta Hai

Na Jaane Kab Koi Tufaan Aayega Yaaron
Buland Mauj Se Saahil Qareeb Lagta Hai

Mohabbat ki aseeri se rehayi mangtay rehna



Mohabbat ki aseeri se rehayi mangtay rehna
Buhut asaan nahiin hota judai mangtay rehna

Zara sa ishq kar lena zara si aankh bhar lena
Phir us kay baab main saari khudai maangtay rehna

Kabhi mehroom honton per dua ka hurf rakh dena
Kabhi wehshat main uski narsai mangtay rehna

Wafaon kay tasalsal se mohabbat ruth jaati hai
Kahaani main zara si bewafai mangtay rehna

Ajab hai wehshat-e-jaan bhi kay adat ho gayi dil ki
Sukoot-e-sham-e-ghum se hum navai mangtay rehna

Kabhi bachay ka nanhe haath per titli kay per rakhna
Kabhi phir us kay rangon say rehai mangtay rehna

(Noshi Gillani)

Kuch khuwab thay meri ankhon mai


“Kuch Khwab The Meri Ankhon Mein

Tujhe Pa Lene Ki Chahat Thi…….!

Chand Lafzoon Mein Hi Kehti Hu

Mujhe Tum Se Bahut Mohabbat Thi

Per Tum Kya Jano Chahat Ko……!

Tumhe Ho Jati To poochti mai

Dil Jab Jab Toot Ke Rota Hai……… !

Kya Dard Tumhe Bhi Hota hai

Ye Khwaab Haqeeqat Ho Jaye

Kisi Apne Jaise Sang-dil Se…….!

“Tujhe Kash Mohbbat Ho Jaye” ♥

Huzoor Aap ka bhi aihteRaam karta chalooN


Huzoor Aap ka bhi aihteRaam karta chalooN
Edhar se ghuzra tha soocha salam karta chalooN

Nigah-o-Dil ki yahi akheri tamanna hay
Tumhari Zulf kay sa’ay main shaam karta chalooN

Unhain yeh zid, keh mujhay daikh kar kisi ko na daikh
Mera yeh shooq keh sub say kalaam karta chalooN

Yeh meray khwabooN ki Duniya nahin sahi laykin
Ab aa gaya hoon to dau din qayaam karta chalooN

Roodad-e-qafas yaad, Na andaz-e-fughan yaad


Roodad-e-qafas yaad, na andaz-e-fughan yaad
Jo beet gai, beet gai, ab wo kahan yaad

Tum bhool gaye hum ko to kaya is main ta’ujab
Iss daur main karta hai kisay, kaun kahan yaad

Kafi thi tabahi ke liye gardish-e-dauran
Tum aisay main kiyun aa gaye ho jaan-e-jahan yaad

Apnay se raqabat ka ye alam he ke tauba
Hum bhool gaye khud ko, wo aaye hain jahan yaad

Maazi ke dareechay se kabhi jhank ke dekho
Shayed tumhain aa jaye mera naam-o-nishan yaad

Woh Chand Jaisi Ladki


Voh chaand jaisi ladki is dil pe chhaa rahi hai
Aankhon ke raaste se is dil mein aa rahi hai

Alhad si bholi bhaali maasoom yeh sharaarat
Badli nahin hai ab tak bachpan ki uski aadat

Tadpa rahi hai yaadein, ho jaaoon na na ho jaaoon
Ho jaaoon na main paagal

Aa jaaye saamne voh, yeh jaan jaa rahi hai
Voh chaand jaisi ladki is dil pe chhaa rahi hai

Mera chaand baadalon mein kyoon jaake kho gaya hai
Ab door is kadar voh kyoon mujhse ho gaya hai

Kyoon jee raha hoon tanha yeh yaad bhi nahin hai
Bas itna yaad hai ke voh yaad aa rahi hai

Voh chaand jaisi ladki is dil pe chhaa rahi hai
Aankhon ke raaste se is dil mein aa rahi hai

Na Jaanay Kon Say Jazbay Ki Yun Taskeen Karta Hun


Na Jaanay Kon Say Jazbay Ki Yun Taskeen Karta Hun,
Bazahir To Tumharay Khat Jalaa Kar Kuch Nahen Milta.

Faqat Tum Hi Say Karta Hun Main Saari Raaz Ki Baaten,
Har Aik Ko Daastan-E-DiL Sunaa Kar Kuch Nahen Milta.

Amal Ki Sokhti-Rag Main Zaraa Sa Khoon Shamil Kar,
Meray Humdum Faqat Baaten Banaa Kar Kuch Nahen Milta.

Usay Main Piyar Karta Hun To Mujh-Ko Chain Aata Hai,
Wo Kehti Hai Usay Mujh-Ko Sataa Kar Kuch Nahen Milta.

Mujhe Aksar Sitaaron Say Yehi Aawaaz Aati Hai,
Kisi Kay Hijjr Main Neenden Ganwa Kar Kuch Nahen Milta.

Jigar Ho Jaye-Ga Chalni Ye Aankhen Khoon Royen-Gi..!
Be-Faiz Logon Say Nibha Kar Kuch Nahen Milta...!~

Sham-e-Gum Kuch US Nigah e Naaz Ki Batain Karoo


Sham-e-Gum Kuch US Nigah e Naaz Ki Batain Karoo
Bekhudi Barhati Chali Hai Raz Kee Batain Karoo

Ye Sakoot e Naaz Ye DiL Kee Ragon Ka Tootna
Kahmoshi Main Kuch Shikast e Saaz Kee Batain Karoo

Nikahat e Zulf e Pareshan Dastan e Sham e Gum
Subah Hone Tak Isi Andaz Kee Baten Karoo

Har Rug e Dil Vajd Main Atii rahe Dukhati Rahi
Yoon Hi Us Ke Ja o Beja Naz Ki Batain Karo

Kuch Kafas Ki Tiliyon Sa Chan Raha Ha Noor Sa
Kuch Fiza Kuch Hasrat e Parwaz Ki Batain Karo

Jiske Furqat Ne Palat Di Ishq Ki Kaya Firaq
Aaj Usi Essa Nafas Damasaz Ki Batain Karo

Taskeen ko hum na roen jo zauq-e-nazar mile


Taskeen ko hum na roen jo zauq-e-nazar mile,
Huraan-e-Khuld mein terii suurat magar mile !!

Apnii galii mein mujh ko na kar dafn baad-e-qatl,
Mere pate se Khalq ko kyon teraa ghar mile !!

Saakii garii kii sharm karo aaj varnaa ham,
Har shab piyaa hii karate hain mai jis qadar mile !!

Tujh se to kuchh kalaam nahiin lekin ae nadiim,
Meraa salaam kahiiyo agar naamaabar mile !!

Tum ko bhii ham dikhaaye ke majanuun ne kyaa kiyaa,
Fursat kashaakash-e-Gam-e-pinhaan se gar mile !!

Laazim nahiin ke Khijr kii ham pairavii karen,
Maanaa ke ek buzurg humein humsafar mile !!

Ae saakanaan-e-kuchaa-e-dildaar dekhanaa,
Tum ko kahiin jo Ghalib-e-Aashuftaa sar mile

Tarap Rahi Hai Her ik Tamanna


Tarap rahi hai her ik tamanna na tum se miltay na aisa hota,
Bujhi bujhi si hai dil ki dunya na tum se miltay na aisa hota,

Hum aisi mehfil mei kesay jayen?jahan k manzer hamen jalayen,
Ager hai jalna,jalen gy tanha na tum se miltay na aisa hota,

Na chain aye na maut aye,jee rahay hain na mer rahay hain,
Kahan tha pehlay ye haal apna na tum se miltay na aisa hota

Shafaq kI jheel Mein Jab


Shafaq ki jheel men jab sang-e-aftaab giray,
Humare ghar pe siyah raat ka azab giray,

Kahin to gardish-e-ayyam thak k saans bhi le,
Kabhi to khaima-e-aflaak ki tanaab giray,

Kisi k raaygan ashkon ka kuchh hisaab to kr,
Falak se youn to sitare bhi be-hisaab giray,

Kahin to silsla-e-intezar khatam bhi ho,
Kisi tarah to ye deewar-e-iztiraab giray,

Ghazal ke roop main wo roobaru jo ho Mohsin,
Labon se lafz urrain haath se kitaab giray….!

Bajuz apnay lafzon kay khazanay kholta kab tha


Bajuz apnay lafzon kay,khazanay kholta kab tha?
woh aankhen sochti kab theen woh chehra bolta kab tha?

usay khud ko ganwanay ka hunar bakhsha kis rut nay?
woh apna aks gehray paaniyon men gholta kab tha..!

mein darta hoon yeh fasl hijr ki sazish na ho warna
woh apnay qeemti aansu hawa men rolta kab tha?

yaqeenan phoot'ti hain mastiyan us ki adaaon say
wagarna rubaru us kay zamana dolta kab tha?

ghalt fehmi kay saaey darmayan bichhtay gaey mohsin
mein us kay saamnay her baat pehlay tolta kab tha?

Mujhe Tum se Mohabbat hai.


Mera har lafz kehta hai Mujhe Tum se Mohabbat hai.
Meri har Saans kehti hai Mujhe Tum se Mohabbat hai.

Main jab dekh k Tum ko Naye Duniya basati hon.

Ya jab bhi khobsorat khuwobon main Apnay pal betati hon.

Mera har khuwab kehta hai Mujhe Tum se Mohabbat hai.

Yeh sach hai main kabhi Tum se kuch keh nahi paye.

Tum se izhar-e-Muhabbat kabhi kar nahi paye.

Mere Hum-Dum

Meri Muskan kehti hai Mujhe Tum se Mohabbat hai.

Iss Dard Ki Dunya Se Guzar Kyun Nahi Jaate


Iss dard ki dunya se guzar kyun nahi jaate
Yeh log bhi kya log hain marr kyun nahi jaate

Hai koun zaamane mein mera poochne waala,
Nadaan hai jo kehte hain keh ghar kyun nahi jaate

Sholey hain tau kyun inn ko bharkte nahi dekha,
Hain khaak tau raahon mein bikhar kyun nahi jaate

Aansoo bhi hain aankhon mein duayein bhi hain labb per,
Bigrey huwe halaat sanwar kyun nahi jaate.

Saans lena bhi kaisi aadat hai


Saans lena bhi kaisi aadat hai
Jiye jana bhi kya rawayat hai

Koi aahat nahi badan mein kahin
Koi saya nahi hai aankhon mein

Paaon be his hain chalte jaate hain
Ik safar hai jo behta rehta hai

Kitne barson se kitni sadiyon se
Saans lete hain jeete rehte hain.

Aik Anjaan ko Main Jaan-e-Tamanna Samjhon


Aik Anjaan ko Main Jaan-e-Tamanna Samjhon
Sab Kahen Ghair Hai Par Main Usse Apna Samjhon

Lab Na khul Paayen Agar Woh Ho Muqabil Mere
Yeh Uss Ke Hussnn Ka Chota Sa Karishma Samjhon

Ik Pal Ko Bhi Uss Ke Pyaar Ki Baarish Joh Ruke
Main Samandar ko Bhi So Saal Ka Pyasa Samjhon

Faayda Koi Nahin Uss Ke Bina Mehfil Mein
Raunak-e-Bazm Kisi Ko Joh Uss Ke Ilaawa Samjhon

Uss Ke Chehre Ne Mujhe Daal Diya Hai Mushkil Mein
Main Usse Chaand Saa,Yaah Chaand Ko Uss Sa Samjhon

Najane Phir Bhi Kyun....!!


Na Sada'en Badlti Hain,
Na Wafa'en Badlti Hain,

Kuch Logon Ki Bas Ada'en Badlti Hain,
Toot Jata Hai Bana Banaya Aashyana Ik Pal Main,

Jab Mosmon Ki Tarah Hawa'en Badalti Hain,
Apna Sab Kuch De Dete Hain Hum Chahat Me,

Najane Phir Bhi Q Logon Ki Nigah'en Badlti Hain.....

Muddat Se Mera Dil Hai Ke Aabad Nahi Hai


Muddat Se Mera Dil Hai Ke Aabad Nahi Hai
Honton Par Mere Aaj Bhi Faryaad Nahi Hai

Rehta Hai khayaalon Main Merey Aik Hi Chehra
Bas Iss Ke Siwa Kuch Bhi Mujhay Yaad Nahi Hai

Dekha Hai Ujarte Howay Kitnay Hee Gharon Ko
Hai Kon Jo Is Ishq Main Barbaad Nahi Hai

Aik Laher Si Uth’ti Hai Aaj Bhi Dil Main Meray
Iss Laher Ke Uthnay Ka Sabab Yaad Nahi Hai

Chup Na Rehtay Bayaan Ho Jaatay


Chup Na Rehtay Bayaan Ho Jaatay
Tujh Se Gar Badgumaan Ho Jaatay

Zabt-e-Gham Ne Bachaa Lia Warna
Hum Koi Daastaan Ho Jaatay

TU Ne Dekha Nahee Palat Ke Hamain
Warna Hum Meherbaan Ho Jaatay

Tere Qissay Mein Hum Bhala Khud Se
Kis Lye Badgumaan Ho Jaatay

Tere Dil Ki Zameen Hee Na Mili
Warna Hum Aasmaan Ho Jaatay

Be Sabab Youn Hi Sar-E-Sham Nikal Aaty Hain,


Be'Sabab Youn Hi Sar-E-Sham Nikal Aaty Hain,
Hum Bulaen To Unhien Kaam Nikal Aaty Hain,

Koi Hamein Shoq To Nahi Hai Aawargi Ka,
Hum to Unki Galiyon Mein Un Se Honay Hamkalaam Nikal Aaty Hain,

UnKi Jafaon Ke Zakham Khatay Rahey Hain Kuch Is Tarah,
Ke Raat Ka Andhera Charhtay Hi Dard Tamam Nikal Aaty Hain,

Kya Btaun In Hussan Walon Ki Tumhien ,

Hum Bulaen To Parda,

Warna! Sar-E-Aam Nikal Aaty Hain...!!

Ik Shaair B Hun, Musawir B Hun, Fankar B Hun...


Ik Shaair B Hun, Musawir B Hun, Fankar B Hun,
Agar Hun Nazuk sa Koi Phol To Talwar B Hun.

Mene Boi Hai Har Ik Mor Pe Nafrat Lekin,
Main Muhabbat k Gulistan Ka Kharidar B Hun.

Ho Agar yar Ghalat To Men usay Rokta Hun,
Haq Pe Dushman Ho To Dushman Ka Tarafdar B Hun.

Jurm Har Shakhs Se Be-lose Muhabbat Hy Agar,
Phir To Ye Sach Hai K Men 1 Khata Kar B Hun.

Men Wo Ghafil Hun Jisay Umar Ka Ehsas Nhi,
ik ik Pal Ki Khabr Rakhta Hun Bedar B Hun.

Itna Aazad, K Aakash Ko Chu Sakta Hun,
Aik Choti si Tamanna Men Giraftar B hun.

Mera andaz-e-tabiat bhi kuch nirala hy,
Bewafa b hun bht or wafadar b hun..

Gham-e-Doran Ko Sada Mujh Se Shikayat Hi Rahi


Gham-e-Doran ko sada mujh se shikayat hi rahi,
Mere Aalfaaz main dhalti teri soorat hi rahi,

Zehen kehta tha teri shakl bhula kar rakh dun,
Par mere dil ko sada mujh se baghawat hi rahi,

Dushman-e-jan bhi mujhe jan se mehboob raha,
Teri ulfat ki mere dil pe hakomat hi rahi,

Yun to jo chaha zamane me mila mujh ko
Phir bhi aa dekh mujhe teri zaorat hi rahi....

Waqt-E-RuKhsat Kaheen Taaray Kaheen Jugnu Aaye


Waqt-E-RuKhsat kaheen taaray kaheen jugnu aaye
Haar pehnanay mujhe phool say baazu aaye

Bas gayi hai meray ehsaas mein yeh kaisi mahek
koi Khushbuu main lagaaoon teri Khushbu aaye

Main nay din raat Khuda say yeh dua maangi thi
Koi aahat na ho dar pay meray aur tu aaye

Us ki baatein kay gul-o-laala pay shabnam barsay
Sab ko apnaanay ka us shouKh ko jaadu aaye

In dinon aap ka aalam bhi ajab aalam hai
ShouKh khaaya hua jaisay koi aahu aaye

Us nay chu kar mujhe patthar say phir insaan kiya
Muddaton baad meri aankh mein aansoo aaye

Wohi Raaton Ki Bedaari Hai Ab Tak


Wohi Raaton Ki Bedaari Hai Ab Tak,
Tamanna Ka Safar Jaari Hai Ab Tak,

Khayal-e-Zabt Aur Tark-e-Talluq,
Yehi Pathar Bohat Bhari Hai Ab Tak,

Akeli Chandni Raaton Main Dil Ko,
Sulag Uthney Ki Beemari Hai Ab Tak,


Abhi Pichley Dinon Jo Ham Pe Guzri,
Usi Rut Ka Nasha Taari Hai Ab Tak,

Main Hijrat Kar Tou Loon Chaman Se “Mohsin”
Par Parindon Se Meri Yaari Hai Ab Tak.......!!

Wao

Related Posts with Thumbnails