Tere Galay Mein Jo Baahon Ko Daal Rakhte Hain


Tere Galay Mein Jo Baahon Ko Daal Rakhte Hain
Tujhe Mana'ane Ka Kaisa Kamaal Rakhte Hain

Tujhe Khabar Hai Tujhe Sochne Ki Khatir Hum
Bahut Se Kaam Muqaddar Pe Taal Rakhte Hain

Koi Bhi Faisla Hum Soch Kar Nahi Karte
Tumhare Naam Ka Sikka Uchhal Rakthe Hain

Tumhare Baad Yeh Aadat Si Ho Gayi Apni
Bikharte Sookhte Patte Sambhal Rakhte Hain,

Khushi Si Milti Hai Khudko Aziyatein De Kar,
So Jaan Bujh Ke Dil Ko Nidhaal Rakhte Hain,

Kabhi Kabhi Wo Mujhe Hans Ke Dekh Laitey Hain
Kabhi Kabhi Mera Behad Khayal Rakhte Hain

Pukarta Hoon To Janay Kahan Say Aatay Hain


Pukarta hoon to janay kahan say aatay hain
woh haath mujh ko bachanay kahan say aatay hain

umeed kaisay jazeeray talash karti hai
samandron mein thikanay kahan say aatay hain

zameen apnay khazanay lutati rehti hai
magar zameen mein khazanay kahan say aatay hain

sukhan mein kis tarah aatay hain aks khwahish kay
nazar mein aaina khanay kahan say aatay hain

kahan say aatay hain shakhon peh Barg-o-Gul
shajar ko ranng bananay kahan say aatay hain

Nishan Tak Na Milain Gae Meri Wafa K Usay


Nishan Tak Na Milain ge Meri Wafa K Usay,
K Maine Rah Badl Di Hay Aazma K Usay!

Kabhi Na Harf Koi Uski Sadgi Ka Khula,
Warq Warq Parha Main ne Dil Laga K Usay!

Jo Sab Ka Haal Hua Tha Wo Mera Haal Hua,
Bani Na Baat Koi Bat Bhi Suna K Usay!

Mujhy Yaqeen Hai Wo Laut Kar Bhi Ayega,
Magr Udaas Hun Ab Raasta Dikha K Usay

Wo Log Hi Qadmon Se Zamin Cheen Rahay Hain


Wo log hi qadmon se zamin cheen rahay hain
Jo log mere qad k barabar nahi aatay

Ik Tum, k Tumhare liye Main bhe,Meri jan bhe
Ik Main, k Mujhe TUM bhe muyassar nahi aatay

Jis shaan se lotay hain ganwa kar Dil-o-Jan hum,
Is tor to Haaray hue Lashkar nahi aatay

Koi to khabar lay mere dushman-e-jaan ki,
Kuch din se mere sehan main pathar nahi atay

Dil bhi koi aasaib ki nagri hai ke MOHSIN
Jo is se nikal jatay hain, murr kar nahi aatay

Guzishta Saal July Main


Tumhain Yaad Hay Jaana ?

Guzishta Saal July Main
Isi Tarha Ka Mousam Tha

Jab Tum Ne Kaha Tha Mujhse
Chalo Hum Naam Badalte Hain

Koi Ache Se Farzi Naam Rakho
Tum Apne Aur Mere

Haan !! Us Waqt Tumahri Baat
Main Ne Un Suni Kar Di Thi

Magar Jab Se Lagi Hay Thoker
To Hain Kuch Naam Zehan Main Aye

Aaj Isi July Main

Wo Farzi Naam Rakhe Hain..

Mera Naam Aaj Se “Tanha”
Aur
Tumhra Naam "Mousam" Hai

Ke Tanha, Ana Parast Tehra !!
Aur Mousam, Bewafa Jaana..

Mohabbat Na Rahe Tou Phir


Mohabbat Na Rahe Tou Phir Raha Kuch Bhi Nahi Kerta
k Itni Taiz Aandhi Main Bachaa Kuch Bhi Nahi Kerta

Wo Mujh Ko yaad Rakhna Ab Gawara Hi Nahi Kerta
Main Jis Ko Yaad Rakhne K Siwa Kuch Bhi Nahi Kerta

Kaha Tha Tujh Se Nadaan k Zulm Ki Taiz Baarish Main
Siwaye Kachy Makano'n k Gira Kuch Bhi Nahi Kerta

Din Saliqe Se Ugaa Raat Thikaane Se Rahi


Din Saliqe Se Ugaa Raat Thikaane Se Rahi
Dosti Apni Bhi kuch Roz zamaane Se Rahi,

Chand Lamhon ko Hi Banati Hain Musavir Aankhen
zindagi Roz To Tasveer Banane Se Rahi,

Is Andhere Mein To Thokar Hi Ujaala Degi
Raat Jangal Mein koi Shama Jalaane Se Rahi,

Faasla Chaand Bana Deta Hai Har Patthar ko
Door ki Roshni Nazdeek To Aane Se Rahi,

Shaher Mein Sab ko kahaan Milti Hai Rone ki Fursat
Apni Ezzat Bhi Yahaan Hansane-Hansaan e Se Rahi.

Raat Din Hijar Ki Wehshat


Raat Din Hijar Ki Wehshat Bhi Nahi Rakhni Hai,
Kisi Se Ab Itni Muhabbat Bhi Nahi Rakhni Hai,
.
Jis Ka Ji Chahay Humein Torr K Tukray Karday,
Is Qadar Narm Tabiyaat Bhi Nahi Rakhni Hai,
.
Ek Do Saal K Rishton Se Humein Kya Haasil,
Ek Do Pal Ki Rafaqat Bhi Nahi Rakhni Hai,
.
Jinse Bicharen To Sambhalny Me Zamany Lag Jaen,
Aise Logon Se Muraw?wat Bhi Nahi Rakhni Hai,
.
Kiya Ajab Haal Hai Chahat K Talabgaron Ka,
Shoq Biknay Ka Hai Qeemat Bhi Nahi Rakhni Hai??!!!!

Ye Rang-e-Gul Bhi Hai Or Bahar Bhi Hai


Ye Rang-e-Gul Bhi Hai Or Bahar Bhi Hai
Zubaan Chalti Hui Taalwar Bhi Hai

Ajab Hai Bolti Aankhon Ki Masti
Jahan Inkar Bhi Hai Iqrar Bhi Hai

Ye Raah-e-Ishq Hai Chalna Sambhal Kr
Bohat Aasan Bhi Hai Dushwar Bhi Hai

Ajab Do Rang Hai Insan Ki Fitrat
Gila Hai Jis Se Us Se Payar Bhi Hai......!

Manzil-e-Gham Ki Fizaon Se Lipat Ke Ro Lon


Manzil-e-gham ki fizaon se lipat k ro lon
Tere daman ki hawaon se lipat k roo lon

Jaam-e-mai peene se pahle mera ji chahta ha
Bikhri zulfon ki ghataon se lipat k ro lon

Zard ganchon ki nigahon men nigahen dalon
Surkh pholon ki qabaon se lipat kar ro lon

Ane wale ter raste men bichaon ankhen
Jane wale tere qadmon se lipat k ro lon

Apne majboor taqaddus k sahare
Deer-o-kaaaba k khudaon se lipat k ro lon

Falak Pe Chand Ke Haale Bhi Sog Karte Hain


Falak pe Chaand ke haale bhi sog kerte hain
Jo too nahi toh ujaale bhi sog kerte hain

Nagar nagar mein woh bikhre hain zulum ke manzar
Hamari rooh ke chhalay bhi sog kerte hain

Usay kaho sitam mein woh kuch kami kerde
Ke zulum torne waale bhi sog kerte hain

Tum apne dukh pe akele nahi ho afsurda
Tumhare chahne waale bhi sog kerte hain

Aaj Youn Mosam Ne Di Jashan-e-Mohabbat ki Khaber.


Aaj youn mosam ne di jashan-e-mohabbat ki khaber
Phoot phoot k ronay lagay hain, main mohabbat aur tum

Hum ne joon hi ker liya mehsoos manzil hai qareeb
Raastay khonay lagay hain, main mohabbat aur tum

Chaand ki kirnon ne hum ko iss terha bosa diya
Devta hone lagay hain, main mohabbat aur tum

Aaj phir mehroomiyon ki daastanain oarh ker
Khuwab main sonay lagay hain, main mohabbat aur tum

Kho gae awaz bhi , andaaz bhi , alfaaz bhi
Khamoshi dhoondne lagay hain, main mohabbat aur tum

Sarapa Teri Yaad Mein Jal Chuka Houn


Sarapa teri yaad mein jal chuka hoon,
Sar-e-shaam shamma jalatay jalatay.

Sabab kya hai main roo para hoon,
Bhari mehfil ko hansatay hansatay.

Mita na tera naam dil mit gaya hai,
Tera naam dil say mitatay mitatay.

Humein chhor kar chaly ghair ke sung,
Wo hathon ki mehandi dikhatay dikhatay.

Agar ho sakay to bhula dena mujhko,
Humein keh gaya wo yoon jatay jatay.

Muhabbat ko panay main arsa laga hai,
Zamany lagain gay bhulatay bhulatay.

Aray Daikh “ANJUM” mai khud jal gaya hoon,
Angaaron say un ko bachatay bachatay

Neend Aankhon Mein Musallat Nahi Honey Deta...


Neend Aankhon Main Musallat Nahi Hone Deta,
Wo Mera Khwaab Mukammal Nahi Hone Deta,

Aankh Ke Sheesh-Mehal Se Wo Kisi Bhi Lamhe,
Apni Tasveer Ko Ojhal Nahi Hone Deta,

Raabta Bhi Nahi Rakhta Hai Sar-e-Wasl Koi,
Or Ta'lluq Bhi Muattal Nahi Hone Deta,

Wo Jo Aik Sheher Hai Pani Ke Kinaare,
Apne Atraaf Main Dal-Dal Nahi Hone Deta,

Dil To Kahta Hai Use Lout Ke Aana Hai Yahan Hi,
Ye Dilasa Hi To Hai Jo Mujhe Pagal Nahi Hone Deta...

Zameen Pe Chand Uterta Dikhai Deta Hai


Zameen pe chand uterta dikhai deta hai
Tera khayal bhi tujh sa dikhai deta hay

Jo sath le kar chala tha hazaar hungamey
Wo shakhs aaj akela dikhai deta hai

Hawa chali to andeheron ki aag taiz hoi
Her aik khuwab pighalta dikhai deta hai

Bare ajeeb hain ye dard-o-ghum ke rishte bhi
Ke jisko dekhiye apna dikhaai deta hai

Badalte jate hain alfaaz soortein apni
Chalo to ye bhi tamaasha dikhai deta hai

Diyaar-e-shoq ho ya dasht-e-baikraan jaami
Kahan kahan koi tanha dikhaai deta hai

Zawal-e-shab main Sitaroon Ne Sath Chor Diya...


Zawal-e-shab main
sitaroon ne sath chhorr diya,


“saba chali to chiragoon ne
sath chhorr diya,


“mila jo mouqa mujhe un se
baat krne ka,


“Mere naseeb k lafzon ne
sath chhorr diya,


“woh ‘roo ba roo’ thi magar
uss ko dekhte kaise,


“Woh rang’o noor thi
Aankhon ne sath chhorr diya……

Ek Yehi Roshni Imkaan Mei Hai


Ek Yehi Roshni Imkaan Mei Hai
Tuu Abhi Tak Dil-e-Veeran Mei Hai

Shor Barpa Hay Teri Yaadon Ka
Ronaq-e-Hijar Bayabaan Mei Hai

Pyaar Aur Zindagi Se Lagta Hai
Koi Zinda Dil-e-Be-Jaan Mei Hai

Aaj Bhi Terey Badan Ki Khushbuu
Terey Bhejay Howay Guldaan Mei Hai

Zindagi Bhi Hay Meri Aankhon Mei
Mout Bhee Deeda-e-Hayraan Mei Hai

Dil Abhi Niklaa Nahi Seenay Se
Ek Qaidi Abhi Zindaan Mei Hai...

Shaam-e-Gham Jab Bikhar Gayi Hogi ….


Shaam-e-Gham Jab Bikhar Gayi Hogi ….
Jaane Kis Kis Ke Ghar Gayi Hogi …..

Chandni Ek Shab Ki MehmaaN thi…..
Subah Hote Hi Mar Gayi Hogi……

Dair Tak Wo Khafa Raha Hai Mujh se….
Door Tak Ye Khabar Gayi Hogi……

Ik Darya Ke Rukh Badalte Hi….
Ik Nadi Phir Utar Gayi Hogi……

Jis Taraf Wo SafaR Pe Nikla Tha…..
Saari RonaQ udhar Gayi Hogi…..

Meri YaadoN Ki Dhoop Chaaon Mein….
uski Soorat Nikhar Gayi Hogi…..

Ya Ta’luq Na Nibh Saka Us se….
Ya TAbiyat Hi Bhar Gayi Hogi…..!

Wafaon Ka Sila Denge Tere Shehar Ke Log


Tujhse milne ki saza denge tere shehar ke log
Ye wafaon ka sila denge tere shehar ke log

Kya khabar thee tere milne pe qayamat hogi
Mujhko deewaana bana denge tere shehar ke log

Teri nazaron se giraane ke liye jaan-e-haya
Mujhko mujrim bhi bana denge tere shehar ke log

Kehke deewana mujhe maar rahe hain patthar
Aur kya iske siwa denge tere shehar ke log

Toota Zaroor Hoga Bicharnay K Baad Wo


Toota Zaroor Hoga Bicharnay K Baad Wo
Tarpa Zaroor Hoga Bicharnay K Baad Wo

Kehta Nahi Kisi Say Magar Jantay Hain Hum
Roya Zaroor Hoga Bicharnay K Baad Wo

Phaila K Apnay Gird Tasaweer Aur Khatoot
Bikhra Zaroor Hoga Bicharnay K Baad Woh

Raat K Andheron Main Tanhion K Beech
Jaga Zaroor Hoga Bicharnay K Baad Wo

Dehleez Per Puranay Zamano Ka Muntazir
Betha Zaroor Hoga Bicharnay K Baad Wo

Uthtey Qadam Humari Taraf Ruktay Howay
Uljha Zaroor Hoga Bicharnay K Bad Wo

Her Zakham Ka Ilaaj Maseehaai Main Nahi
Samjha Zaror Hoga Bicharnay K Baad Wo

Jab Samajh Paya Nahin Hoon......!!


Jab Samajh Paya Nahin Hoon Baat Ki Tafseel Main
Kis Tarha Se Phir Karoon Ga Hukm Ki Tameel Main

Janta Hoon Meri Rahon Main Kayi Sehra Bhi Hain
Ker Nahin Sakta Hoon Lekin Raasta Tabdeel Main

Rafta Rafta Ab Kahani Aa Gyi Uss Mor Per
Sochta Hoon De Hi Daloon Phir Nayi Tashkeel Main

Maa Siva Tere Koi Aankhon Main Jachta Hi Nahin
Dhoondh Ker Laun Kahan Se Ab Teri Tamseel Main

Ye Koi Qissa Kahani Hai Na Afsana Koi
Likh Raha Aansoo'on Se Pyar Ki Amjeel Main

Gardish.e.Halaat Hon, Ya Ke Hawa.e.Gham Chale
Umer Bhar Bujhne Na Doon Ga Yaad Ki Qandeel Main

Khud Ko Arshad Gard Se Kab Tak Bachaun Main Bhala
Khaak Hoon, Ho Jaoon Ga Iss Khaak Main Tehleel Main

Meri Har Dua......


Ye manzilen ye raaste,
Meri har dua tere waaste,


Ye sakoon or ye Qaraar b,
meri dosti tere waaste,


Kabi gham na tere Qareeb ho,
Tujhe har khushi naseeb ho,


Meri ilteja tere waaste,
Meri har dua tere waaste,
Meri har dua tere waaste,

Khawab Bikhre Hain Suhaane Kiya Kiya


Khawab Bikhre Hain Suhaane Kiya Kiya
Lutt Gaye Apne Khazaane Kiya Kiya,

Sirf Ek Tark-e-Taluq Kay Liye
Tune Dhoonde Hain Bahaane Kiya Kiya,

Murr Kay Dekha Hi Tha Maazi Ki Taraf
Aa Mile Yaar Puraane Kiya Kiya,

Aaj Dekhi Hai Jo Tasveer Teri
Yaad Aaya Hai Na Jaane Kiya Kiya,

Shukriya Aye Gham-e-Ahbaab Ki Raat
Hum Pe Guzre Hain Zamaane Kiya Kiya,

Kis Se Kehiye Kay Teri Chahat Mein
Hum Ne Soche Thay Fasaane Kiya Kiya,

Raat Sehraa Ki Ridaa Par "Mohsin"
Harf Likhe Thay Hawaa Ne Kiya Kiya.

Ub Jo Bikhery To Bikherny Ki Shikayat Kesi?


Ub jo bikhery to bikherny ki shikayat kesi?
khushk patton ki hawaon se rifaqat kesi?

me ne her dor me bus us se mohbat ki he
jurm sangeen hy ab is me riayat kesi?

ik patta bhi agr shaakh se juda hota hy
kia kahon dil pe guzarti hy qyamat kesi?

zindagi tujhko to lamhoon ka safar kehty thy
raah me aa gai sadiyoun ki musafat kesi?

hawa k dosh pe rekhy huy chiragh thy hum
jo bujh gaye to hawaon se shikayat kesi???

Mohabbat Khawab Hoti Hai


M0habat "Khawab" h0ti Hai.
Bari "Betaab" h0ti Hai.


j0 k0i po0ch Bethy t0.
m0habbat "Raaz" h0ti Hai.


Machalti see Umang0n ka.
Suhana Sath h0ti Hai.


j0 k0i Dh0ndna Chahy.
t0 Ye "Nayab" h0ti Hai.


m0habat Pho0l Hai Shayad.
Gham0n ki Dho0l Hay Shayad.


Chamakti Raat Hai Shayad.
kisi ki Yad Hay Shayad.


m0habat Pur Sako0n Bhi Hai.
Mgar Betab h0ti Hai.


Agar Mil Na Skey t0 Phir.
"Ado0ra Khwaab" h0ti Hai...

Dukh Ki Taskeen.....!!


Dukh ki taskeen risaley to nahi kar saktey
Ye fasane, ye maqaley to nahi kar saktey

Roshni chahiye lekin issi ik skauk mai ham
Ghar ko sholon k hawaley to nahi kar saktey

Noor ki rah mai deewar utthane waley
Qaid suraj k ujaley to nahi kar saktey

Raig-e-sehra hi sunaye gi safar ki roodad
Guftugu paon k chhaley to nahi kar saktey

Kaise aashiq hain k khush hain teri ruswai par
Yoon kabhi chahney waley to nahi kar saktey

Bad ghuman ham se hain kutch laug to majboor hain ham
Saaf har zehn k jaley to nahi kar saktey?!!!

Wao

Related Posts with Thumbnails