Zamana Jab Rulata Hai Tou Aansoo Aa Hi Jate Hain........


Zamana jab rulata hai tou aansoo aa hi jate hain
Koi apna satata hai tou aansoo aa hi jate hain

Khudaya teri dunya mein koi husan-e-mujasm jab,
Kisi ka dil dukhata hai tou aansoo aa hi jate hain

Main dekhon jab patangay ko wafa ki chah mein akhir,
Yey apni jaan lutata hai tou aansoo aa hi jate hain

Muqadar khud bulatay hain magar dastor-e-ulfat hai,
Koi jab door jata hai tou aansoo aa hi jate hain

Yeh rukte hain magar aksar gamon ki taab na la kar,
Zabt jab toot jata hai tou aansoo aa hi jate hain

Nadeem iss zindagi ki tanha raton mein muje aksar,
Koi jab yaad aata hai tou aansoo aa hi jate hain. . .

Wao

Related Posts with Thumbnails