Sochon pe gham ki shaal hai | Saeed Wasiq Ghazal


Sochon pe gham ki shaal ha, tum kion chalay gaye?
Her simt aik jaal hai, tum kion chalay gaye?

Sab pochtay hain tark-e-marasim ke waqiyat!
Kis ko mera khiyal hai? tum kion chalay gaye?

Taza tamaam zakham baharon ne ker diye!
Her phool ka sawal hai, tum kion chalay gaye?

Hasna to khair apna muqadar na tha kabhi!
Rona bhi ab mohal hai, tum kion chalay gaye?

Tum ne to jatay jatay mulakaat tak na ki!
Ab tak yehi malaal hai, tum kion chalay gaye?

Is hijar ne to chean liye hain apny hawaas!
Paglon sa apna haal hai, tum kion chalay gaye?

Wasiq main kis tarha se uthaon dukhoon ke bojh?
Sara badan nidhaal hai, tum kion chalay gaye?

Kuch yadgar-e-shahar-e-sitamgar hi le chalen


Kuch yadgar-e-shahar-e-sitamgar hi le chalen
Aye hain is gali mein to pathar hi le chalen

Yun kis tarah katega kari dhup ka safar
Sar par khayal-e-yar ki chadar hi le chalen

Ranj-e-safar ki koi nishani to pas ho
Rhori si khak-e-kucha-e-dilbar hi le chalen

Ye keh ke cherti hai humain dilgiraftagi
Ghabra gaye hain aap to bahar hi le chalen

Is shahar-e-becharag mein jaye gi tu kahan
Aa ae shab-e-firaq tujhe ghar hi le chalen....

Kahin aah banke lab pe tera naam aa na jaaye


Kahin aah banke lab pe tera naam aa na jaaye
Tujhe bewafa kahun main woh maqaam aa na jaaye

Zara zulf ko sambhalo, mera dil dhadak raha hai
Koi aur tair-e-dil tah-e-daam aa na jaaye

Jissay sun ke toot jaaye mera aarzoo bhara dil
Teri anjuman se mujhko woh payaam aa na jaaye

Woh jo manzilon pe lakar kisi humsafar ko lootein
Inhi rehzano mein tera kahin naam aa na jaaye

Iss fikar mein hain gultaan yeh nizam-e-zar ke bunday
Jo tamam zindagi hai woh nizam aa na jaaye

Yeh mah-o-najoom hans lein mere aansuon pe jalib
Mera mehtaab jab tak lab-e-baam aa na jaaye…

Gham Ki Baarish Ne Bhi Tere NaQsh Ko Dhoya Nahi


Gham ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahi
Tune mujh ko kho diya, main ne tujhe khoya nahi

Nind ka halka gulabi sa khumar ankhon mein tha
Yun laga jaise wo shab ko der tak soya nahi

Har taraf diwar-o-dar aur un mein ankhon ke hujum
Keh saky jo dil ki halat wo lab-e-goya nahi

Jurm adam ne kiya aur nasl-e-adam ko saza
Kat'ta hun zindagi bhar main ne jo boya nahi

Janta hun ek aise shakhs ko main bhi 'Munir'
Gham se pathar ho gya lekin kabhi roya nahin...!!!

Taj Mahal | Sahir Ludhiyanawi


Taj tere liye ek mazhare ulfat hi sahi
Tujhko iss waadiy-e-rangiiN se aqeedat hi sahi
Mere mahboob kahiN aur mila kar mujhse

Bazm-e-shaahi meiN ghareeboN ka guzar kya maani?
Sabt jis raah pa hoN satwat-e-shahi ke nishaaN
Uss pe ulfat bhari roohoN ka safar kya maani?
Meri mahboob pasey pardaey tash'hir-e-wafa
Tu ne satwat ke nishaanoN ko tO deikha hota
Murda shaahoN ke maqabir se bahalney waali
Apne taariik makanoN ko tO deikha hota
Anginat logoN ne duniya meiN mohabbat ki hai
Kaun kahta hai ke saadiq na thEy jazbe unke
Lekin unke liye tash'heer ka saamaan nahiN

KyuN ke woh logg bhi apni hi tarah muflis thEy
Yeh emaraat-o-maqaabir, ye faseeleiN ye hesaar
MutlaqulHukm shahanshahoN ki azmat ke sutooN
Daaman-e-dahr pe us rang ki gulkaari haiN
Jis meiN shaamil hai tere aur mere ajdaad ka khooN

Meri mahboob unheiN bhi tO mohabbat hogi
Jin ki raanaai ne bakhshi hai isey shakl-e-jameel
Unke pyaroN ke maqabir rahe be naam-o-namood
Aaj tak unpa jalaai na kisi ne qandeel
Ye chamanzaar, ye Jamna ka kanara, ye mahal
Ye munaqqash dar-o-deewaar, ye mehraab, ye taaq
Ek shahanshah ne daulat ka sahara le kar
Humm ghariboN ki mohabbat ka uRhaya hai mazaaq
Mere mahboob kahiN aur mila kar mujhse...!!!

Fakhra batool urdu poetry


KAHA US NE ZAMANA DARD HAI AUR TUM DAWA JAISE
LAGA"TUM SE MOHABBAT HAI"MUJE US NE KAHA JAISE

TALAB KI US NE JAB MUJ SE MOHABBAT KI WAZAHAT TO
BATAYA,DASHAT K HONTON PER BAARISH KI DUA JAISE 

SUNO KYOUN DIL KI BASTI KI TARAF SE SHOR UTHTA HAI?
BATAYA,HAADSA EHSAS K GHAR MAIN HOWA JAISE

KAHO AE GUL KABHI KHUSHBU KA TUM NE AKS DEKHA HAI?
KAHA,QOS-E-QAZA K SARE RUNGON KI SADA JAISE


SUNO KHAWAISH KI LEHRON PER SANBHLNA KYOUN HOWA MUSHKIL?
BATAYA,PANIOUN PER KHAWAB KI RAKHI BINA JAISE

BAHALA TUM ROOH KI IN KIRCHIYOUN MAIN DHONDTE HO KYA?
KAHA,YE ITNI ROSHAN HAIN K SURAJ HAI DIYA JAISE

SUNO AANKHON HI AANKHON KA BIYAN KAISA LAGA TUM KO?
LAGA PHOOLON SE SARGHOSHI SI KERTI HAI SABA JAISE

Raisham Zulfon,Neelam ankhon wale achy lagty hain,,,,,


Resham zulfon, neelam ankhon walay achay lagtay hain
Main shair hoon mujh ko ujlay chehray achay lagtay hain

Tum khud socho, aadhi raat ko thanday chaand ki chaoon mein
Tanha raahon per hum donon kitnay achay lagtay hain!

Aakhir,aakhir sachay qoul bhi chubhtay hain dil walon ko
Pehlay pehlay pyar ke jhootay waday achay lagtay hain

Jab say wo perdes gaya hai shehar ki ronaq rooth gai
Ab tou apnay ghar ke bund dareechay achay lagtay hain

Kaali raat mein jagmag kertay taaray koun bujhata hai?
Is dulhan ko ye mouti ye gehnay, achay lagtay hain

Kal us roothay roothay yaar ko dekha to mehsoos hua
Mohsin ujlay jisam pe mailay kapray achay lagtay hain..!!!

Bashir Badar Hindi Poetry


Wo apnay ghar chala gya afsos mat karo
Itna hi us ka sath tha afsos mat karo

Insan apnay aap mein majboor hay bohat
Koi nahi hay bewafa afsos mat karo

Iss baar tum ko aanay mein kuch dair ho gaee
Thak haar kay wo so gya afsos mat karo

Dunya mein aur chahnay walay bhi hein bohat
Jo hona tha so ho gya afsos mat karo

Is zindagi kay mujh pay kaee qarz hein magar
Mein jald lot aoon ga afsos mat karo

Ye dekho phir se aa gaein phoolon pay titliyan
Ik roz wo bhi aae ga afsos mat karo

Wo tum se aaj door hay kal paas aae ga
Phir se khuda milaiga afsos mat karo

Bekar gee pay bojh liye phir rahay ho tum
Dil hay tumhara phool sa afsos mat karo..!!

Obaidullah Aleem Ghazal


Tere pyar mein ruswa hokar jaen kahan diwane log,
Jane kya kya puch rahe hain ye jane pehchane log,

Jaise tumhein hum ne chaha tha kaun bhala yun chahe ga,
Mana aur bahut ayen gae tum se pyar jatane log.

Kaise dukhon ke mausam aye kaisi aag lagi yaro,
Ab saharaon se latey hain phulon ke nazrane log.

Kal matam beqimat hoga aaj inki tauqir karo,
Dekho khoon-e-jigar se kya kya likhte hain afasane log.

Jante hain ye ishq musalsal rog hai aah-o-zari ka,
Phir bhi us ke kuche mein jate hain umar gawane log..!!!

Dukhon Ki Shidatain | Aitbar Sajid Poetry


Dukhon Ki Shidatain Zakhom Ki Gehrai Mujhe De Do..
Maseeha Tum Sahi, Izn-E-Maseehai Mujhe De Do..

Tum Apni Zaat Mein Khud Anjuman Ho Tum Ko Kya Ghum Hai,
Mein Tanha Hoon Yeh Bazm-E-Zouq-E-Tanhai Mujhe De Do..

Tum Apne Dil Ke Darwaze Mukaffal Shouq Se Ker Lo,
Bas Apni Zaat Se Izn-E-Shanasai Mujhe De Do..

Tumhare Bad Her Manzar Mujhe Be-Rung Lagta Hai,
Yeh Ankhein Cheen Lo, Yeh Apni Beenai Mujhe De Do..

Mein Sansoon Mein Samo Loon Ga Tumhari Her Amanat Ko,
Yeh Wehshat Naak Sannatay Yeh Tanhai Mujhe De Do..

Mere Shohrat Tumhare Kaam Aa Jaye To Hazir Hai,
Tumhein Duniya Ne Bakhshi Hai Jo Tanhai Mujhe De Do..

Mein Shayar Hoon, Mere BeKaif, BeTaseer Lafzon Ko,
Amar Kardo, Tum Apne Ghum Ki Ranai Mujhe De Do..

Qarya-e-Jaan mein koi phool khilaaney aaye


Qarya-e-jaan mein koi phool khelaaney aaye
Woh mere dil pe naya zakhm lagaaney aaye

Mere weeraan dareecho mein bhi khushboo jaagey
Woh mere ghar ke dar-o-baam sajaaney aaye

Uss se ek bar to roothon mein osee ki maanind
Aur meri tarah se woh mujh ko manaaney aaye

Iisii koochey mein kayee oske shinaasa bhi to hain
Woh kisi aur se milney ke bahaaney aaye

Ab na poochongi mein khoey huey khuwabo ka pata
Woh agar aaye to kuch bhi na bataaney aaye

Zabt ki shehr pinaahon ki, mere maalik! khair
Ghum ka saylaab agar mujh ko bahaaney aaye..!!

Chiragh-e-toor jalao bada andhera hai


Charaghe toor jalao, bara andhera hai
Zara niqab uthao, bara andhera hai

Wo jin ke hote hain khursheed aastinoon mein
Unhe kahin se bulao, bara andhera hai

Mujhe tumhari nigahoon pe etmad nahi
Mere qareeb na aao, bara andhera hai

Faraz arash se toota howa koi taara
Kahi se dhoond ke lao, bara andhera hai

Abhi to subha ke mathe ke rang kala hai
Abhi faraib na khao, bara andhera hai

Jisay zuban-e-khurd mein sharab kehte hain
Woh roshni si pilao, bara andhera hai

Baseertoon pe ujaloon ka khauf tari hai
Mujhe yaqeen dilao, bara andhera hai...!!

Ahad-e-Wafa Karo Uss Se....


Kaha tha kis ne ke ahad-e-wafa karo uss se
Jo yoon kiya hai to phir kyun gila karo uss se

Naseeb phir koi taqreeb-e-qarb ho ke na ho
Jo dil mein hon wohi baatein kiya karo uss se

Ye ahl-e-baz tunak hausala sahi phir bhi
Zara fasana-e-dil ibtida karo uss se

Yeh kya ke tum hi gham-e-hijr ke fasaney kaho
Kabhi to uss ke bahaney suna karo uss se

Faraz tark-e-ta’alluq to khair kiya hoga
Yehi bahut hai k kam kam mila karo uss se

Mana wadi-e-ishq mein --Noshi Gillani


Mana wadi-e-ishq mein paoon andha rakhna parta hai
Lekin ghar ko janay wala rasta rakhna parta hai.

Tanhai wo zehar bhuji talwar hai jiski dehshat se
Ba'az oqat tou dushman ko be zinda rakhna parta hai.

Jabr ki jitni unchi chaho, tum deewar utha laina
Lekin is deewar mein ik darwaza rakhna parta hai.

Hijr ka darya aan para hai beech tou koi baat nahi
Ishq main saathi thora sa tou hosla rakhna parta hai.

Bekhabari shamain hon tou phir anjaan musafir ko
Sehra mein be simton ka andaza rakhna parta hai..!!!

Udaas tehreer parh ke meri


Udaas tehreer parh ke meri, mere sanam musura na dena,
Ye aakhri khat main likh raha hoon, khayal karna jala na dena,

Guzar rahi hai tumhari kesy? bichhar ke hum se, rula ke hum ko,
Haqeeqaton ko zarur likhna, anaa ki khatir chhupa na dena,

Koi jo poochhe kidher gaya wo? jo teri mehfil ka tha sahara,
Jo furqaton ka sabab bany thy, kisi bashar ko bata na dena,

Main mar bhi jaaon to muskurana, ehsaas-e-gham ki na chot khana,
Jo qurb-e-gham se nighayen bheegen to, rukh se aanchal hata na dena,

Lahu se tehreer kar raha hoon main apni sari kahani “MOHSIN”
Jo phaar bhi do to paas rakhna, hawa main tukre uraa na dena,,,,!!!

Ghazal of Fatima Hassan


Yadoon ke sab rang urha kar tanha hoon
Apni basti se door aa kar tanha hoon

Koi nahin hai mere jaisa charon taraf
Apne gird ik bheerh saja kar tanha hoon

Jitne laug hain utni he aawazain hain
Lehjon ka toofan uthha kar tanha hoon

Roshniyon ke aadi kese jane gae
Aankhon mein do deep jala kar tanha hoon

Jis manzar se guzri thi main uske saath
Aaj usi manzar mein aa kar tanha hoon

Apne aap ko kho deney ki khahish main
Uss ka bhi ik naam bhula kar tanha hoon
--------------------------------------------------

Hansi chupa bhi gya nazar mila bhi gya | Munir Niazi


Hansi chupa bhi gaya aur nazar mila bhi gaya
Yeh Ik jhalak ka tamasha jigar jala bhi gaya

Utha, tu jaa bhi chuka tha, ajeeb mehmaan tha
Sadaein dey ke mujhey neend se jaga bhi gaya

Ghazab hua jo andherey mein jal uthi bijli
Badan kisi ka tilismaat kuch dikha bhi gaya

Na aaya koi lab baam, shaam dhalney lagi
Wufoor-e-shoq se aankhon mein khoon aa bhi gaya

Hawa thi, gehri ghata thi, hina ki khushboo thi
Yeh eik raat ka kissa lahoo rula bhi gaya

Chalo Muneer chalein, ub yahan rahein bhi tu kyun
Woh sang dil tu yahan se kahin chala bhi gaya...!!

Saleem Kausar Ghazal


Ye wasaal hai ke firaaq hai dil-e-mubtilaa ko pata rahe
Jo ye phool hai to khila rahe, jo ye zakhm hai to hara rahe

Tere intezaar ke silsile me meyaane dastak door kahin
Ye aas hai to bandhi rahe,ye chiraagh hai to jala rahe

Yun hi bhoole bhatke jo agaye hain idhar to itni hawa na de
Ki ghubaar koe malamataan koi waqeyaa to chhupa rahe

Kisi chashme waada ki lehar hai,bada dil girafta shehar hai
So hawa-e-mehrame dostaan tere silsilon ka pata rahe

Ye saraaye subha ke saath hi mujhe chhodni hai ghazale shabb
Teri chashm-e-ramzo kinaar hai,koi khwab hai to saja rahe..!!!

Yeh Pichle Ishq Ki Batein Hain by Mohsin Naqvi


Yeh pichle ishq ki baatein hain

Jab aankh mein khawab damak’te the
Jab dil mein dagh chamk’te the

Jab pelkain sheher k rastoon mein
Ashkoon ka noor lutati theen

Jab san’sain ujle chehroon ki
Tun-mun mein phool sajaati theen

Jab chand ki rim jhim kirnoon se
Soochon mein bhanwar perr jaate the

Jab eik tala’tum rehta tha
Apne be-ant khayaloon mein

Her ehad nibhane ki qasmain
Khut khoon se likhne ki rasmain

Jub aam theen dil waloon mein
Ab apni ujrri aankhon mein

Jitni roshan si raatein hain
Is umer ki sab sooghatein hain

Woh pichli umer thi beet gayi
Woh umer bitaye saal hoe

Ab apni deed k raastoon mein
Kuch rang hai guzre lamhoon ka

Kuch ashkoon ki baratien hain
Kuch bhoole basre chehre hain

Kuch yadoon ki barsatein hain
Yeh pichle ishq ki batein hain

Shehzad Ahmed Poetry | Mumkin Ho Aap Se


Mumkin Ho Aap Se To Bhula Dijiye Mujhe,
Patthar Pe Hoon Lakeer, Mita Dijiye Mujhe,

Har Roz Mujhse Taza Shikayat Hai Aapko,
Main Kya Hoon Ek Baar Bata Dijiye Mujhe,

Mere Siwa Bhi Hai Koi Mozoo-E-Guftugu,
Apna Bhi Koi Rang Dikha Dijiye Mujhe,

Main Kya Hoon, Kis Jagah Hoon, Mujhe Kuch Khabar Nahi,
Hain Aap Kitne Door Zara Sada Dijiye Mujhe,

Ke Maine Apne Zakham Ki Tash'heer Jaa Baja,
Main Maanta Hoon Jurm, Saza Dijiye Mujhe,

Kayam To Ho Sake Koi Rishta Maujon Ke Sath,
Gehre Samundaron Mein Baha Dijiye Mujhe,

Shab Bhar Kiran Kiran Ko Tarasne Se Fayda,
Hai Tairgii To Aag Laga Dijiye Mujhe,

Jalte Dinon Mein Khud Paas-E-Deewar Baith Kar,
Saaye Ki Justuju Mein Laga Dijiye Mujhe,

Shehzad Yun To Shola-E-Jaan Sard Ho Chuka,
Lekin Sulag Uthun To Hawa Dijiye Mujhe...

Ayub Khawar Ghazals | Guzar Okaat


Guzar okaat nai ho pati
Din se ab raat nai ho pati

Sari duniya mein bas aek tum he se
Ab molaqat nai ho pati

Jo darhkti hai mere dil mein kahi
Aek wo he fayad nai ho pati

Jama karta hun sar-e-chashm bohat
Phir bi barsat nai ho pati

Lakh mazmon lab-e-aezhar pe hain
Aur mana jat nai ho pati

Soch soch ke thak chuki hun
Khatam ye raat nai huti

Ab Ke Tajdeed-E-Wafa Ka Nahi Imkan Jana


Ab ke tajdeed-e-wafa ka nahi imkaan janaan
Yaad kya tuje ko dilaein tera peman janaan

Younhi mosam ki ada dekh ke yaad aya hai
Kis kadar jald badal jaate hein insaan janaan

Zindagi teri aata thi so tere naam ki hai
Hum ne jaise bhi basar ki tera ehsaan janaan

Dil yeh kehta hai ke shaid ho fasurda too bhi
Dil ki kya baat karein dil to hai nadaan janaan

Awal Awal ki muhabaat ke nashe yaad to ker
Be piye bhi tera chehra tha gulistaan janaan

Aakhir Aakhir too yeh aalam hai ab hosh nahi
Rag-e-Meena sulag uthi ke rag-e-Jan janaan

Mudatoon se yahi aalam na tawaqa na umeed
Dil pukare hi chala jata hai janaan janaan

Hum bhi kya saada the hum ne bhi samajh rakha tha
Gam-e-Doraan se juda hai gham-e-janan janaan

Ab ke kuch aise saji mefil-e-yaraan janaan
Sar be zanwan hai koi sir bigrebaan janaan

Har koi apni hi awaaz se kaanp uthta hai
Har koi apne hi saai se harasaan janaan

Jis ko dekho wohi zanjeer bapaa lagta hai
Shaher ka Shaher huwa dakhil-e-Zandaan janaan

Ab tera zikr bhi shaid hi ghazal mein aai
Aor se aor Huwe dard ke anwaan janaan

Hum ke roothi hoi rut ko bhi mana lete the
Hum ne dekha hi na tha mosam-e-hijraan janaan

Hosh aaya to sabhi khawab the reza reza
Jaise urte huwe aoraaq-e-preshan janaan

Mohabbat ho Gae tum se | Saeed Wasiq Poetry



Hamare deeda-e-ter ko mohabbat ho gayi tum se
Kisi gehre samnder ko mohabbat ho gayi tum se

Bhale wo chandni shab ho ya fasal-e-Gul ki rangeeni
Mere her ek manzar ko mohabbat ho gayi tum se

Kisi lamhe agar tum ko mohabbat ho gayi muj se
Samj lena muqaddar ko mohabbat ho gayi tum se

Jo sirf aur sirf apni zaat se hi payar kerta tha
Suno ik aise pathar ko mohabbat ho gayi tum se

Nahi jati tumhare qurb ki khushbu nahi jati
Mere ujre hoye ghar ko mohabbat ho gayi tum se

Meri aankhon ki janib dekh ker tum jan sakti ho
Ke ik gehre samander ko mohabbat ho gayi tum se

Kisi surat be ab ye ashak tham sakte nahi wasiq
Meri aankhon ke sagar ko mohabbat ho gayi tum se

Mohabbat ki aik nazam by Amjad islam amjad


Ager Kabhi Meri Yaad Aey.....
Tou Chand Raatoon Ki Narm Dilgeer Roshni Mein..!!
Kisi Sitaray Ko Daikh Lena...!!
Ager Who Nakhel-e-Falak Say Urr Ker Tumharay Qadmoon May Aa Giray Tou..!!
Ye Jaan Leena, Wo Ista-ar Tha Mere Dil Ka...!!,
Ager Na Aey.......!!
Mager Ye Mumkin Hi Kis Terha Hay K Tum Kisi Per Nigah Dalo...!!!

Tou Uski Dewaar-e-Jaan Na Tooty..!!!
Wo Apni Hasti Na Bhool Jaey!!!

Ager Kabhi Meri Yaad Aey ......
Gureez Kerti Hawa Pey Hath Rakhna.....
Main Khushboo’n May Tumhay Milon Ga....

Mujhy Gulabon Ki Pattiyoon May Talaash Kerna......!!!
Main Oos Qatr'on Kay Aain'on May Tumhy Miloon Ga..!!!
Ager Sitaroon May, Oos Qatroon May, Khushboo’n Main, Na Pao Mujh Ko...!!
Tou Apny Qadmoon May Daikh Lena..!!
Main Gard Hoti Musaftoon May Tumhay Miloon Ga...!!!

Kahin Pey Roshen Charag Daikho Tou Jaan Lena..!!
K Her Patangay K Sath Main Bhi Bikher Chukaa Hun...!!
Tum Apny HathOon Say In Patangoon Ki Khak Darya May Daal Dena..!!
Main Khak Bun Ker Sumander'on May Safer Karon Ga..!!
Kisi Na Daikhy Howey Jazeer'on Pey Ruk K Tum Ko Sada'ain Doun Ga...!!
Sumander'on K Safer Pey Nikloo Tou Us Jazeeray Per Bhi Uterna....!!!!

Main usay waqif-e-ulfaat na karoon


Sochta hoon ke bohot sadaa'o masoom hai woh
Main abhi us ko shanasaa-e-muhabbat na karoon
Rooh ko us ki aseer-e-gham'e ulfaat na karoon
Us ko ruswa na karoon, waqif-e-musibat na karoon

Sochta hon ke abhi ranj se azaad hai woh
Waqif-e-dard nahi, khoogar'e alaam nahi
Sehr-e-ayish main us ki aseer shaam nahi
Zindagi us ke liye zehr bhara jaam nahi!

Sochta hoon ke muhabbat hai jawani ki khizaaN
Us ne dekha nahi dunya main baharoon ke siwa
Nikhaat-o-noor se labreez nazaroon ke siwa
SabzaaH zaroon ke siwaa aur sitaroon ke siwa !

Sochta hoon ke gham-e-dil na sunaoon us ko
Samnay us ke kabhi raaz ko uryaan na karoon
Khalish-e-dil se usay dast'o gereebaN na karoon
Uskay jazbaat ko main shula-e-bad' amaaN na karoon!

Sochta hoon ke jala de gi muhabbat us ko
Woh muhabbat ki bhala taab kahaan layei gi
Khud to woh aatish-e-jazbat main jal jayegi
Aur dunya ko us ke anjaam pe tarpaeye gi

Sochta hoon ke bohot sadaa-o-masoom hai woh
Main usay waqif-e-ulfaat na karoon!

Khubsurat Mor


Chalo ik baar phir say ajnabi bun jaaiN hum dono
Na main tum say koi umeed rakhooN dil navazi ki
Na tum meri taraf daikho ghalat andaaz nazroN say
Na meray dil ki dhaRkan laRkhaRa'ay meri baatoN say
Na zahir ho tumhari kashmakash ka raaz nazroN say

TumhaiN bhi koi uljhan rokti hai paish qadmi say
Mujhay bhi log kehtay haiN, yeh jalvay paraa'ay haiN

Meray humraah bhi rusvaaiyaaN haiN meray maazi ki
Tumharay saath bhi guzri hui raatoN kay saa'ay haiN

Ta'aruf rog ho ja'ay to iska bholna behtar
Ta'aluq bojh bun ja'ay to iska toRna achha
Wo afsaanay jissay anjam tak laana na ho mumkin
Issay ik khoobsurat moR day ker choRna achha

Chalo ik baar phir say ajnabi bun jaaiN hum dono

Aakhri baar milo


Akhri baar milo Aisa ke jalty huay dil
Rakh ho jaen Koi aur takaza na karain
Chak-e-wada na silly Zakham-e-tamanna na silly
Sans hamwar rahay Shamma ki lo tak na hilay
Batain bus itni ke lamhy unhain aa kr gin jaen
Aankh uthaye koi umeed Tou ankhain cheen jaen

Us mulakat ka iss bar koi waham nahi
Jis se ik aur mulakat ki surat niklay
Ab na hijan-o-jaton ka na hikayat ka waqt
Ab na tajdeede wafa ka Na sikayat ka waqt

Lut gae shehar-e-hawadis mein matae ilfaz
Ab jo kehna hai tou kaisy koi noha kaheiya
Aaj tk tum sa rag-o-jan ke kae rishtay thy
Kal sa jo ho ga usy kon sa rishta kaheiya

Phir na dehkein gae kabhi araz-o-rukhsar milo
Matami hain dam-e-rukhsat dar-o-dewar milo

Phir na hum hon gae
Na iqrar na inkar milo

AKHRI BAR MILO
AKHRI BAR MILO

Sehra Main Bhi Khushbo-e-Saba


Sehra mein Bhi khushbo-e-saba Mang Raha Hy
Dewana Barray shouq se kia Mang Raha Hy?

Aa Dekh Mere Zehan ki Aawara Mizaaji
Zalim Tere Aanchal ki Hawa Mang Raha Hy

Mahtaab ki kirnon se sulgta Howa chehra
Khowabon mein Bhi Andaz-e-Haya Mang Raha Hy

Insaaf ki Zanjeer ko chherro Na Abhi se 
Deewana Abhi Izan-e-sada Mang Raha Hy

"Mohsin" Mera wajdaan Bhi, Naam-e-kaf-e-Dildaar
Har Zakhm se kuch Rang-e-Hina Mang Raha Hy...

Muhabbat Ka Dhuwan AankhoN mein


Muhabbat Ka Dhuwan AankhoN mein Pani Chor Jata Hai,
Kisi Rastay Se Gham Guzaray Nishani Chor Jata Hai,

Humari Guftugu Se Bhi Woh Qael Nahi Hota,
Aur Apni Khamoshi K Bhi Maani Chor Jata Hai,

Bharosa Jis Pe Ho Us say Tawaqqo Koi Mat Rakhna,
Yehi Ek Saibaan Be-Saaibaani Chor Jata Hai,

Bichar Kar Bhi Hum Aise Shakhs Se Bichrra Nahi Kartay,
Jo Ek Fiqra Aada Kar K Kahani Chor Jata Hai,

SAHIL Mout Bhi Kam Khubsurat Toh Nahi Hogi,
Jo Isko Dekhta Hai Zindgani Chorr Jata Hai......!!!!

Mera Sochna Teri Zaat Tak


Mera Sochna Teri Zaat Tak
Meri Guftago Teri Baat Tak

Na Tum Milo Jo Kabhi Mujhay
Mera Dhoondna Tujhay Paar Tak

Mane Apna Sab Kuch Ganwa Diya
Teri Nafraton Se Pyaar Tak

Kabhi Fursatain Jo Milain To Aa
Meri Zindagi Ke Hesaar Tak

Mane Jana Ke Main Kuch Nahe
Tere Pahlay Se Tere Baad Tak....!♥

Wao

Related Posts with Thumbnails