Kuch Na Kehna Mere Kandhe Pe Jhuka Kar Sar Ko


Tum Jo Hastey Ho To Phoolon Ki aada Lagte Ho
Aur Chaltey Ho to Ek Baad-e-Saba Lagte Ho

Kuch Na Kehna Mere Kandhe Pe Jhuka Kar Sar Ko
Kitne Masoom Ho Tasveer-e-Wafa Lagte Ho

Baat Karte Ho To Saaghar Se Khanak Jaate Ho
Leher Ka Geet Ho Koyal Ki Sada Lagte Ho

Kis Taraf Jao ge Zulfon K ye Badal Ley Kar
Aaj Machli Hui Saawan Ki Ghata Lagte Ho

Tum Jisey Dekh Lo Peeney Ki Zarorat Kya Hai?
Zindagi Bhar Jo Rahe Aisa Nasha Lagte Ho

Main Ne Mehsoos Kia Tum Se jo Baatein Kar k
Tum Zamane Main Zamane Se Judaa Lagte Ho

Mujhy Jeeny K Liye Teri Hi ZAAT Chahiye


"Mujhe Khamosh Raahon Main Tera Saath Chahiye

Tanha Hy Mera Haath Tera Haath Chahiye

Mujh Ko Mere Muqadar Per Itna Yaqeen To Hy
Tujhko Bhi Mere Lafz Meri Baat Chahiye
...
Main Khud Apni Shairy Ko Kiya Acha Kahun
Mujh Ko Teri Ta'reef, Teri Daad Chahiye

Ehsas-E-Muhabat Tere Hi Wastey Hai

''Lekin''

Junoon-E-Ishq Ko Teri Har Soughat Chahiye
Tu Mujh Ko Paany Ki Khwahish Rakhta Hai Shayad..!

''Lekin''

Mujhy Jeeny K Liye Teri Hi ZAAT Chahiye"..!

Chalo aao Mohabbat ki


Chalo aao Mohabbat ki Nae Bunyaad Rakhty hain
Khud Paaband Rehty Hain Usay Aazad Rakhty hain

Humary Khoon Mei Rab Ne Yehi Taseer Rakhi hy
Buraai Bhool Jaty Hain Achai Yaad Rakhty hain

Mohabbt Mei Kahin Humse Gustakhi na Ho jaye
Hum Apna har Qadam us k Qadam k Baad Rakhty hain

KoI WafA KaR kE RoyE


KoI KhUshiyO Ki ChAh MaiN RoyE.
Koi DukHon Ki PanaH SE RoyE.

AjEeb SilsiLa Hai IsHq AuR MohaBBat KA.
Koi WaFa kE LiyE RoyE AuR KoI WafA KaR kE RoyE

Na Chair Qissa E Ulfat Bari Lambi Kahani Hai..

Na Chair Qissa E Ulfat Bari Lambi Kahani Hai..
Mein Zindagi Se Nahi Hara Kisi Ki Bat Mani Hai..

Badi Lambi Kahani Hai, Tuhmhey Leikin Sunani Hai
Tera Ghum Jaan Leva Par Teri Yadeein Suhani Hain

Ghamoon Ko Chor Hum Deitey,Sakoon Ko Tham Hi Leitey
Ghamoon Sey Kya Karein Leikin, Bari Yari Purani Hai

Zameen Ko Cheera Chahey, Hawa Ko Thamna Chahey
Badi Pagal Sahi Leikin, Yahi Yaro Jawani Hai

Ae Gham Tu Door Hi Rehna, Samandar Ansoon Ka Hai
Baha Le Jaye Na Tujh Ko, Ye Lehri Bhi Dewani Hain


Kaaghaz, Qalam Aur Main


Kaaghaz, Qalam Aur Main
Jab Bhi Aik Saath Hote Hein
Kuch Aisa Kaam Kerte Hein
Main Apni Rooh Ke Goshon Se
Lafz Talaash Kerti Hoon…
Qalam Unn Sabhi Lafzon Ko Bikhair Deta Hai…
Aur Kaaghaz Unhen Samait Leta Hai…
Bas Yahi Kaam Kerte Hein,,
Sabhi Ache Lafz Chunn Ker
Tumhara Naam Likhte Hein….

December ki akhri sham


December ki akhri sham


Usy kehna....!


December ja reha hay


Or December ki aakhri shaam hay


Aur December k guzartay hi


Baras ik aur maazi ki fiza mein doob jaye gaa


Usy kehna, December k guzarnay say zara pehly


Muhabat ki kahani ko koi takmeel day jana


Usy kehna, December ka maheena jaisy hi guzray ga


Umeeden doob jayen gee


Wo sapnay toot jayen gay


Usy kehna, December k guzarnay say zara pehly
Mohabat ko koi tabeer dai jaye


Usy kehna, Muqadar ko hamaray doob jany say
bacha lena..!!!

December mein tanha khadi


December mein tanha khadi
apne aap mein gum,
Kuch beete lamhe dhuund rahi hoon
Haa main tumhein yaad kar rahi hoon

Is maah mai ek aas mei hoon
Main tumahri raho mei
Ke le lo shayad mujhe tum apni baho mei

Dinn beet'te jaa rahee haii..or yeh bheega
December ko khatam hote dekh rahii hoon..
issi intezaar mein ke tum laut aaao,
aur tumko khud mein dhoond rahii hoon

hai akhri guzarish tumse
mohabbat ko ruswaiyo se bachana
duniya ki fikr chord is mahe December
mai meri jaan tum laut aana tum laut aana

Teri nigaah ke jadu bikharte jate hain


Teri nigaah ke jadu bikharte jate hain
Jo zakhm dil ko miley woh bharte jate hain

Tere bagher woh din bhi guzar gaye akhir
Tere bagher yeh din bhi guzarte jate hain

Liye chalo mujhe darya-e-shauk ki maujo
Ke hamsafar tou mere paar utarte jate hain

Tamaam umar jahan hanste khelte guzaari
Ab us gali mein bhi hum darte darte jate hain

Mein khawhishon ke gharonde banaye jata hoon
Woh mehntain meri barbaad kiye jate hain

Kisi shaam mujhe toot k bikharta dekho,


Kisi shaam mujhe toot k bikharta dekho,
Meri raho me zehar-e-judai ko utarta dekho,

kis kis ada se unhe manga hai rab se...
aao kabhi mujhe "sajde" me sisakta dekho...!!!

Mein bhi tere jesa hoon

Apni dhun mein rehta hoon
Mein bhi tere jesa hoon

Oo pichli rut ke sathi
Mein bhi tere jesa hoon

Teri gali mein sara din
Dukh ke kankar chunta hoon

Mera diya jalaye kon
Mein tera khali kamra hoon

Tu jeevan ki bhari gali
Mein jungle ka tanha rasta hoon

Aati rut mujhe roye gi
Jaati rut ka jhonka hoon



Tujhey Kho Na Du'n

Pichley Baras Tha Khuff Tujhey Kho Na Du'n Kahi'n......

Ab K Baras Dua Hey Tera Samna Na Ho...!!!

Ye Mera Wahem ek Din...


"Ye Mera Wahem ek Din Mujhe Dabo De Ga

Tera Aks Nazar Aata Hai Sumandar Ki Hawaon Mein...!!!"

Ruka hua hai ajab


"Ruka hua hai ajab Dhoop chhaa'on ka Mausum,,,

guzar raha hai koi dil sey... Baadalon ki tarah"...!!

Kuch apne lub o lehje ko tabdeel wo karta


Kuch apne lub o lehje ko tabdeel wo karta
Phir hum se bayan ranj ki tafseel wo karta

Yak tarfa takazay to nibae nhai jate
Kuch apne faraaiz ki bhi tameel wo karta,

Ilzamm lagata wo bare sho se par,
Kch apne kiye wadoon ki takmeel wo karta,

Kuch us ko bi ehsas to hota tanhai ka,
Kuch khuwab mere khud me tabdeel wo karta..

Wo Rooth Jata Hai Aksar Shikwa Kiye Bagair

Wo Rooth Jata Hai Aksar Shikwa Kiye Bagair,,
Hum B To Seh Jate Hain Shikayat Kiye Bagair,

Hum Sochty Rahe Muhabbat Be-Los Hoti Hai,
Ye Yun Hi Ho Jati Hai Enayat Kiye Bagair, , ,

Tu Kitna Nadan Hai Sanam Itna To Soch Le,
Jannat Kab Milti Hai Ebadat Kiye Bagair, , , ,,

Kasoor Un Ka Nahi Kasoor To Humara Hai, , ,,
Humne B Muhabbat Ki Unki Ejazat Liye Bagair!

So Baar Chaman Mehka


So Baar Chaman Mehka So Baar Bahaar Aayi,
Dunya Ki Wahi Ronaq, Dil Ki Wahi Tanhaai, , ,

Ye Raat Ki Khamoshi, Ye Aalam-E-Tanhai, ,,
Phir Dard Utha Dil Mein, Phr Teri Yaad Aayi!

Wo Shakhs Mery Dard Se Anjaan Sa Q Hai?

Kehty Hain Usy Shehr K Sub Log Maseeha,
Wo Shakhs Mery Dard Se Anjaan Sa Q Hai?

Be- adal He Hoti Rhi Yahan Pyar Ke Takseem,
Is Mulk Me Pyar Ka Fukdaan Sa Q Hai?

Izhaar K Bawajood B Wo Mujhko Muyasar Nhi To Phir,
Seenay Me Us Se Pyar Ka Toofan Sa Q Hai?

Jo Hum Se Koi Ta'alluk He Nhi Rakhna Chahta,
Us Shakhs K Lout Aanay Ka Imkaan Sa Q Hai?

Mitti Ka Bana Hai To Ghul Q Nhi Jata?
Pathar Ka Agar Hai To Phir Insaan Sa Q Hai...?

Aik jesi hoti hain ye choriyan or

Aik jesi hoti hain ye choriyan or larkiyan
hasti hain khanakti hain ye choriyan or larkiyan

nazuk intaha ki k ik zara c thes par
toot kar bikharti hain ye choriyan or larkiyan

zindagi ki dharkano ko ik ridam sa deeti hain
zeest ko sajati hain ye chooriyan or larkiyan

apne dukh ko apne andar rakh k bhol jati hain
bahir se chamkti hain ye chooriyan or larkiyan

aik jesii hoti hain ye ............ larkiyan


Kbhi Na Hathon Se Hath Choote KhayaL Rakhna

Kbhi Na Hathon Se Hath Choote KhayaL Rakhna!
Kabhi Na Chahat Ka Maan Toote KhayaL Rakhna!

BachAa K Rakhna Mohabat Ko Sazishon Se!
Wafa Ki DoLat Jafa Na Loote KhayaL Rakhna!

Jo Ho Mohabat To ranjishon Se Guraez Karna!
Kisi Ka Nazuk Sa DiL Na Toote KhayaL Rakhna.

Apne Haathon Se Yun Chehre Ko Chhupaate Kyun Ho

Apne Haathon Se Yun Chehre Ko Chhupaate Kyun Ho,
Mujh Se Sharmaate Ho Tou Saamne Aatay Kyun Ho...

Tum Kabhi Meri Tarah Kar Bhi Lo Iqraar e Wafaa,
Pyar Karte Ho Tou Phir Pyar Chhupaate Kyun Ho...

In Se Vaabasta Hai Jab Mera Muqaddar Phir....!!!
Mere Shaanon Se Yeh Zulf Hataatay Kyun Ho......!!

Roz Mar Mar Ke Mujhe Jeenay Ko Kehte Kyun Ho,
Milne Aatay Ho Tou Phir Laut Ke Jaatay Kyun Ho...

Apne Haathon Se Yun Chehre Ko Chhupaate Kyun Ho,
Mujh Se Sharamate Ho Tou Saamne Aatay Kyun Ho...

P♥ETRYGHAR.COm

Bas Ek Choti Si Haan Kr Do,

Bas Ek Choti Si Haan Kr Do,
Hamare Naam Is Tarha Sara Jahan Kr Do!

Wo Mohabbtain Jo Tumare Dil Mein Hain,
Un ko Zuban Pr Lao 0r Bayan Kr Do!

Aaj Bas Ap Kaho 0r Kehty Hi Jao,
Hum Bas Sune Aisa Be-Zuban Kr Do!

Hoi Purani Dastan Heer Ranjha Ki,
Tarikh Mohabbat Ki Phir Se Jawan Kr Do,

Aa-Jao Ke Aisa Toot Kr Chahon Tumhe,
Hmari Mohabat Ko Mohabbat Ka Nishan Kr Do!

Apne Dil Me Is Tarha Chupa Lo MujKo,
Rahon Humesha Is me aisa Mera Makan kar Do!

Tasawwur Me Ek Tasver Purani Wahi Rahi..

Tasawwur Me Ek Tasver Purani Wahi Rahi..
Sara Aalam Badal Gaya Meri Kahani Wahi Rahi..

Barso Pehle Thi Jin Ko Paane Ki Tamanna...
Muddato Baad bhi Aarzu--Zindgani Wahi Rahi..

Yun To Hazaro Gham Khaye Hain Hamne Magar..
Is Bebas Dil Per Unki Nishani Wahi Rahi..

Wo Kabhi Candni Raat Me Ki Thi Dil Ke Baatain..
Mere Hisse Me Sham Suhani Wahi Rahi..

Ye Qismat Ka Kaisa Raha Tamasha Hum Se...

Ke Ek Lamba Arsa Guzra Magar Hairani Wahi Rahi.


Dost jaisi kabhi dushman kee tarah lagti hai

Dost jaisi kabhi dushman kee tarah lagti hai
Zindagi bhee kisi uljhan kee tarah lagti hai

Tere aankhon main udaasi hai mere ghar kee tarah
Tere halat mairay aangan kee tarah lagti hai

Aik lamhay main marey mann ko bhego dete hai
Uss ke her baat hee Sawan kee tarah lagti hai

Tu bhee chahat ke taqazoon se nahin waqif hai
Tairi Uljhan Mairi Uljhan Kee Tarah Lagti Hai

Koi to ho aisa jo sirf MERA ho

Koi to ho aisa jo sirf MERA ho
Baton me uski khushbu ho
dil me uska basera ho
chahe to chahat MERI mange to muhabbat MERI
wo chand ki chandni ho to chand sirf MERA ho
wo din ki roshni ho to sooraj sirf MERA ho
wo phoolon ki khushbu ho to ehsas sirf MERA ho
wo raat ka ujala ho tochiragh sirf MERA ho
wo ishq or muhabbat ho to dil sirf MERA ho
wo pani ka cheenta ho todarya sirf MERA ho

wo qismat ki lakeer ho to
*HATH SIRF MERA HO*

Kaun Aayega Yahan Koi Na Aaya Hoga

Kaun Aayega Yahan Koi Na Aaya Hoga
Meraa Darawaza Hawaon Ne Hilaayaa Hoga

Dil-E-Naadan Na Dhadak, E Dil-E-Naadan Na Dhadak
Koi Khat Leke Padosi Ke Ghar Aayaa Hogaa

Gul Se Lipati Hui Titalii Ko Girakar Dekho
Aandhiyon Tum Ne Drakhton Ko Giraaya Hogaa

Parades Main Mat Yaad Karo Apana Makan
Ab Ke Baarish Main Use Tod Giraya Hoga...

Suna hai Koi kaanch toota hai


Suna hai
Tumharey haathon se chhot kar
Koi kaanch toota hai
Kirchi kirchi wo kaanch
Bhikra pada hai rah may
Tehro
Ruko zara
Mat chhoona un kirchiyun ko
Ungliyan nazuk hain
Lahu lahu ho jayen gi

Suno jaanan
Kaanch ke tukron ko
Samaitney ke waastey
Meray haath le jao tum

Ye T0 Dil Tha Dewana K Tum Par Aa Gya


Ye T0 Dil Tha Dewana K Tum Par Aa Gya

Warna Hm Qeemti Pathron Ko Bhi Uthaya Nahi Karte

Ye Mana K Tum Haseen Ho Magar Ye Bhi Sun Lo

Hm Haseen Logon Se Dil LaGya Nahi Karte

Jis Se Karte Hain Pyar Bus Ek Hi Baar Karte Hain

Baar Baar Hum Bhi Kisi Ko Sataya Nahi Karte

Tum Tu Apne Ho Tum Se Kya Parda

Warna Hum Raaz-E-Dil Kisi Ko Bataya Nahi Karte

Tum Keh Do Tu Tumhare Liye Jaan Bhi Hazir

Warna Hum Zindagi Dao Per Lagaya Nahi Kartey...!

♥ PoetryGhar.Com ♥

Tujh bin adhuri hoon mein


Tujh bin adhuri hoon mein
Tere sang puri hoon mein
Karti hoon tera shukriya..............

Ek Beti Ki Faryaad





Ek Beti Ki Faryaad:


Mai Beti Ban K Aai Hu Maa Bap K Jeevan Mai
Basera Hoga Kal Mera Kisi Aur K Aangan Mai


Kyu Ye Reet Us RAB Ne Banai Hogi
Kehte Hain Aaj Nahi Tou Kal Beti Parai Hogi


De K Janam Pal-pos K Bara Kya
Aur Inhi Hathon Se Humey Vida Kya


Kyu Rishta Hamara Itna Ajeeb Hota Hai
Kya Yehi Hum Betiyon Ka Naseeb Hota Hai


Dedicated to all Daughters...!!!.......PoetryGhar.Com

Tapti Zameen Pe Aansu'on Ke


Tapti Zameen Pe Aansu'on Ke, Pyaar Ki Soorat Hoti Hein ,,
Chaahaton Ki Moorat Hoti Hein...
Baitiyaan Khoobsurat Hoti Hein.....
Dil Ke Zakhm Mitaane Ko
Aangan Mein Utri Boondon Ki Tarah Hoti Hein...
Baitiyaan Phoolon Ki Tarah Hoti Hein.....
Na'meherbaan Dhoop Mein Saaya Deti
Naram Hatheliyon Ki Tarah Hoti Hein...
Baitiyaan Titliyon Ki Tarah Hoti Hein.....
Chirhiyon Ki Tarah Hoti Hein...
Tanhaa Udaas Safar Mein Rang Bharti
Ridaa'on Jaisi Hoti Hein...
Baitiyaan Chhaa'on Jaisi Hoti Hein.....
Kabhi Bula Saken, Kabhi Chhupa Saken ,,
Baitiyaan An'kahi Sadaa'on Jaisi Hoti Hein.....
Kabhi Jhuka Saken, Kabhi Mita Saken ,,
Baitiyaan Anaa'on Jaisi Hoti Hein.....
Kabhi Hansa Saken, Kabhi Rula Saken ,,
Kabhi Sanwaar Saken, Kabhi Ujaarh Saken ,,
Baitiyaan Tou Taabeer Maangti Duaa'on Jaisi Hoti Hein.....
Hadd Se Meherban, Bayaan Se Achhi ,,
Baitiyaan Wafaa'on Jaisi Hoti Hein........

Main Mohabbat Hun Mohabbat Karke Dekh


Main Mohabbat Hun Mohabbat Karke Dekh
Main Mohabbat Na Dun To Kehnaa

Main Muskurahat Hun Mujhe Hansa Kerr Dekh
Na Sajun Tere Honton Per To Kehna

Main Khushbu Hun Mujhe Mehsus Karke Dekh
Na Mehkun Teri Zindagi Main To Kehnaa

Main Dil Hun Mujhe Sun Kerr Dekh
Na Dharkun Tere Dil Main To Kehnaa

Main Phul Hun Mujhe Lagaa Kerr Dekh
Na Mehkun Din Raat To Kehnaa

Main Mohabbat Hun Mujhe Apna Karke Dekh
Na Banu Main Teri To Kehnaa....

Nazar Uttha Ke Woh


Nazar Uttha Ke Woh Apni Adaa Pe Sharmaaye,,
Khuda Kare Yeh Manzar Yahien Theher Jaaye....... ♥

Bichhra hay jo aik baar

bichhra hay jo aik baar tou miltay nahi dekha
is zakham ko hum nay kabhi siltay nahi dekha


ik baar jisay chaat gai dhoop ki khawish
phir shakh pay us phool ko khiltay nahi dekha


yak lakht gira hay tou jarain tak nikal aai
jis pair ko aandhi main bhi hiltay nahi dekha


kanton main ghiray phool ko choat aaigi lakin
tatli kay paron ko kabhi chubtay nahi dekha


kis tarah meri rooh hari kargaya aakhri
wo zahar jissay jism main khiltay nahi dekha...


Jo Bol Zubaanon Nikal Gya,

Jo Bol Zubaanon Nikal Gya,
Oh Teer Kamaanon Nikal Gya ..


Main Dil Wich Ohnuun Labhnaan Waan
Oh Dooor Asmaanon Nikal Gya ..


Khawaaban Na Tak, Ehnaan Badlay,
Yousaf Kan'aanon Nikal Gya ..


Hamdard Kinaaray Bann Gaye Ne,
Jad Main Tuufaanon Nikal Gya ..


Main Ghar Di Agg Lukaaonda Saan,
Dhoon Roshan-daanon Nikal Gya ..


Ohnuun Meriyan Gallan Yaad Rahiyan,
Per Main Pehchaanon Nikal Gya ..


Kaashir Tun Hun Kih Puchday O,
Jad Dard Bayaanon Nikal Gya .. !!


Wao

Related Posts with Thumbnails