Kash Aisa Hua Hota..!!!



Kash Aisa Hua Hota..!!!
Chaha Tha Maine Tujhe Be Intihaa
Tou Mera Bas Mera Hua Hota..!!!
Abb Jo Hain Ansu Teri Masoom Aankhon mein
Phir Na Hote Ye
Tou Mera Bas Mera Hua Hota..!!!
Nehin Acha Lagta Abb Mujh ko
Tera Bickharna Toot Kar
Tou Ghum Mein Rahe Ye Bi Bardashat Nehin
Janta Hon Koi Nehin Hai Abb Tera
Tujhe Ahsas Hai
Hai Kuch Tou Haraan Bi Apno Ke Raviye Se
Bhrosa Tha Tujhe Kitna,
Kitna Tou Mazboot Thi
Kese Kese Dekhe The Tune Khawab
Magar Khawabon Ko Tootne Ka Waqt Na Laga
Sochta Hon Teri Bheegi Palkon Pe Apna Naam Likha Hota
Kash Aisa Hua Hota...!!!
Chaha Tha Tujhe Maine Be Intihaa
Tou Mera Bas Mera Hua Hota...!!!

SAB KUCH TU TERE PASS HAI...


SAB KUCH TU TERE PASS HAI...
Tu phir kiyon dil udass hai?....
Hai piyar bhi tere liye....
Khayal bhi tere liye....
Ye dil bhi tere pass hai....
Tu phir kiyon dil udass hai?...
Main sochta hoon bas tujhe...
Main dekhta hoon bas tujhe...
Jab mujh pe etebaar hai...
Tu phir kiyon dil udass hai?...
Hai zindagi tere liye Ye dil, khushi tere liye...
Ye sab jo tere pass hai...
Tu phir kiyon dil udaas hai?...
Too neend main, tu khwab main...
Too mere dasht-o-aab main...
Har pal too mere saath hai...
Tu phir kiyon dil udass hai?...
Har simt hain gul khile houe....
Hain dost bhi mile houe...
Har simt piyar hi piyar hai...
Tu phir kiyon dil udass hai?...
Ye dil, khushi or etebaar...
Ye dost, khwab or ye piyar...
Sab kuch tu tere pass hai...
Tu phir kiyon dil udass hai?

Abhi is Taraf na Nigah ker main Gazal ki Palkain sanwar loon


Abhi is Taraf na Nigah ker main Gazal ki Palkain sanwar loon
Mera lafz lafz hai Aeinah Tujhey Aeineu Main Utar-Loon

Main Tamam din ka thaka Hoowa tu Tamam shab ka jaga howa
Zara theher ja isi moor per tere saath sham guzar loon

Ager Aasman ki Numa-e-Shoon main Mujhay bhi izan-e-kayam ho
To main motioun ki dukan say tayri baleeyan tere haar loon

Kahain or bant day Shohratain kahain or Bakhsh day Izatain
Mere paas hai mera Aaenah main kabhi na Gard-do-Ghubar loon

Kai Ajnabi teri rah main mere pass say yun guzar gaey
Jinhain daikh ker yeh tarap huee tera naam ley ke Pookar loon

Har Haal Men Raha Jo Tera Asra Muje


Har Haal Men Raha Jo Tera Asra Muje
Mayus Kar Saka Na Hajom-e-Bala muje

Har NaghMe Ne Unhi Ki Talab Ka Dia Piyam
Har Saaz Ne Sunai Unhi Ki Sada Muje

Har Baat Men Unhe Khushi Ka Raha Khial
Har Kaam Se Ghraz Ha Unhi Ki Raza Muje

Rehta Hon Gharq Unke Taswor Main Roz-o-Shab
Masti Ka Par Gia Hia Khch Aisa Maza Muje

Us Ba-Nishan Se Milnay Ki Hasrat Hoi Omeed
Aab-e-Baqa Se Barh Kar Hai Zehar-e-Fana Muje

Pyar ki raah main aisay bhi


Pyar ki raah main aisay bhi maqaam aatay hain
sirf aansu jahan insaan k kaam atay hain

unki aankhon se rakhay kya koi umeed e karam
pyas mitt jaye to gardish main wo jaam aatay hain

zindagi ban k wo chaltay hain me'ri saans k sath
un ko aisay bhi kai tarz e kharaam aatay hain

hum na chahain to kabhi shaam k saye na dhalain
hum tadptay hain to subhoon k salam aatay hain

qowwat e dast e talab ka nahin jin ko idraak
teray dar se wohi be neel maraam aatay hain

munh chupa letay hain gham hazrat e nasaih ki tarha
jab bhi maikhany main rindaan e karaam aatay hain

hum pe ho jain na kuch aur bhi ratain bhari
yaad akser wo hamain ab sir e shaam aatay hain

chin gaye hum se jo halaat ki rahoon main Qateel!
un haseenon k hamain ab bhi payaam aatay hain.

Kyaa kah gaii kisii kii nazar


kyaa kah gaii kisii kii nazar kuchh na puuchhiye
kyaa kuchh huaa hai dil pe asar kuchh na puuchhiye

vo dekhanaa kisii kaa kunakhiyo.n se baar baar
vo baar baar us kaa asar kuchh na puuchhiye

ro ro ke is tarah se kaTii raat kyaa kahe.n
mar mar ke kaise kii hai sahar kuchh na puuchhiye

"Akhtar" dayaar-e-husn me.n pahunchen to hain mar ke ham
kyuuN kar huaa hai tay ye safar kuchh na puuchhiy

Us ne kahaa ke ham bhii Khariidaar ho gaye


us ne kahaa ke ham bhii Khariidaar ho gaye
bikne ko saare log hii tayyaar ho gaye

us ne kahaa ke aik vafaadaar chaahiye
saare jahaaN ke log vafaadaar ho gaye

us ne kahaa ke ko’ii gunah-gaar hai yahaaN
jo paarsaa the vo bhii gunah-gaar ho gaye

us ne kahaa ke aajiz-o-miskiiN hai ko’ii
sab log gard-e-kuucha-o-baazaar ho gaye

us ne kahaa ke kaash ko’ii jangjuu mile
aapas meN yaar barsar-e-paikaar ho gaye

us ne kahaa “Adeem” meraa haath thaam-na
chaaroN taraf se haath namuudaar ho gaye

Khalish-e-Hijr-e-Daayamii Na Gaii


Khalish-e-Hijr-e-Daayamii Na Gaii
Tere RuKh Se Ye BeruKhii Na Gai

Puuchhate Hain Ke Kyaa Huaa Dil Ko
Husn Vaalon Kii Saadagii Na Gai

Sar Se Saudaa Gayaa Muhabbat Kaa
Dil Se Par Eis Ki Be-kalii Na Gai

Aur Sab Kii Hikaayaten Kah Dii.n
Baat Apanii Kabhii Kahii Na Gai

Ham Bhii Ghar Se 'Munir' Tab Nikale
Baat Apano.n Kii Jab Sahii Na Gai

Us se kaho ek bar bhool kar aa jaye,


Us se kaho ek bar bhool kar aa jaye,
Jo beeti hai us per wo to suna jaye,

Hans hans k Gham chupanay ka hunar,
Is se kaho hum ko bhi sikha jaye,

Us ki yaad mein taraptii rehti hoon her pal,
Us se kaho mere dil se apna naam to Mita jaye,

Arsa huwa hai chand ko dekhy huwe logo,
Use kaho k Apna chehra to dikha jaye,

Aaye bhi to kya de sakoon ge Us ko,
Faqat ek zindagi hai, Wo apny naam likhwa jaye.

Kitni saadi kitni pyari


Kitni saadi
kitni pyari
Kaanch ki choori jesi lrki
College ke ek kamre me baithi
Jane kya kch soch rhi thi ,
Us ka hath kalai pr tha
aur wo kuch kuch khaufzada thi ,
Ab kya hoga?
Main bhi us ke pas hi betha ,
Us ko gour se dekh rha tha
Me ne us ka hath pakda
aur pyar se poocha
Kya qissa hai ?
Us ki ankhen bheeg gain ,
aur wo dheemi si aawaz me boli
Dekho Siddiq !
" Teri Kaanch Ki Choori Toot Gayi ".

Woh Shakhas Mjhe Pyara Hai


Woh Shakhas Mjhe Pyara Hai
Usay Kehna


Whe Jeeny Ka Sahaara Hai
Usay Kehna


Log Pyare Hain Bhut Say Mujhy
Who Sub Say Pyara Hai
Usay Kehna


Muhabatein, Aadawatain, Shikayaten Uski
Mujhe Sub Gawara Hain
Usay Kehna


Chahny Waly Or Bhi Hain Lekin
Yeh Dil ‘Sirf Or Sirf’ Tumhara Hai
Usay Kehna ,

Aaj Aisa kertay hain


Mujhay Tum say buhat pehLay
ik Zarori Baat kahni thi


MaGar!


Waqt ka yeh KafiLa
Taizi say youn Guzra


key main kuch bhi na Keh Paya
Aur hamaray Beech ki Baat


wo bhi to MukamaL ho Na paayi
phir aik diN AchaanaK


JaB mujh ko yaaD Aaya
Mujhay Tum say buhat PehLay


aiK zarori Baat karni thi
aur wo yeh key JaB


Andaishay DarataY hooN
TumhaY weham satatay hooN


to mare Dost
Tum ageY Barh KeY


mareY senay pe sar rakh key
Apney diL ki har Baat Keh DeNa


main saray Dukh sun LoNGa
UnhaiN apneY hontoN se ChuuN LoNGa!

Tum Mohabbat Bhi Mousam Ki Tarah Nibhatay Ho


Tum Mohabbat Bhi Mousam Ki Tarah Nibhatay Ho
Kabhi Barastay Ho Kabhi Ak Boond Ko Tarsatay Ho

Pal Main Kehtay Ho Zamanay Main Faqat Teray Hain
Pal Main Izhaar -e- Mohabbat Say Mukar Jatay Ho

Bhari Mehfil Main Dushmano Ki Tarah Miltay Ho
Or Duaon Main Mera Naam Liye Jatay Ho

Dayaar -e- Ghair Main Mujh Ko Talash Kartay Ho
Milon Tu Pass Say Chup Chaap Guzar Jatay Ho

Laakh Mousam Ki Tarah Rang Badaltay Raho
Aaj Bhi Toot Kay Shiddat Say Humay Chahatay Ho

Kitabon Kay Panno Ko Palat Kay Sochti Hoon


Kitabon Kay Panno Ko Palat Kay Sochti Hoon
Yon Palat Jaye Meri Zindagi Tu Kia Baat Hay

Khowabon Main Roz Miltay Hain Jo
Haqiqat Main Mil Jaye Tu Kia Baat Hay

Kuch Matlab Kay Liye Dhoondti Hay Mujh Ko
Bin Matlab Jo Aa Jaye Tu Kia Baat Hay

Qatal Kar Kay Tu Sab Lay Jay Ge DIL Mera
Koii Baaton Say Lay Jaye Tu Kia Baat Hay

Jo Sharifon Ki Sharafat Main Baat Na Ho
Ak Sharabi Keh Jaye Tu Kia Baat Hay

Apnay Rehnay Tak Tu Khushi Don Sab Ko
Ager Kesi Ko Meri Mout Pay Khushi Mil Jaye Tu Kia Baat Hay

AAJ JAB BARISH HUI


AAJ JAB BARISH HUI
YEH BHI IK KHAYAL AAYA
KYUN NA IK BAADAL KO
RAAZADAN BANAAUN MEIN
JO BHI MUJH PAR GUZRI HAI
USKO SUB SUNAOON MEIN
TUM SAY JO BHI KEHNA HAI
USKO SUB SUNAOON MEIN
PHIR TUMHARAY DIL PAR WO
AAJ HE BARAS JAAEY

Yun kho gaye tere pyaar main hum


Yun kho gaye tere pyaar main hum
Ab hosh main aana mushkil hay

Jab aankh milana mushkil tha
Ab aankh bachana mushkil hay

Sanson ki mehek sansoon main rache
Jazbaat main ik halchal si mache

Dharkan k siwa aawaz na ho
Chahat k siwa kuch bhi na bachey

Yun khud ko bhulana mushkil hay
Yun kho gaye tere pyaar main hum

Dushwar thay rastey ulfat ke
Kate hain bari hi mushkil se

Le aya hay hum ko shoq yahan
Is pyaar ki rangeen manzil se

Ab lout k jana mushkil hay
Yun kho gaye tere pyaar main hum

Shaam ka Andhera Kuch Ab Talak Baki hai


Shaam ka Andhera Kuch Ab Talak Baki hai
Yaad Mit Gayi Teri Par Ehsaas Abhi Baki Hai
Yoon To Muddato Se Hum Bhool Gaye Hain Tujhe
Phir Bhi Dhundli Si Koi Yaad Abhi Baki Hai

Zara socho phir se ek nazar dekh kar tum
Kahin kisi shaam ki koi faryaad abhi baki hai
Yoon to hans ke jheela har sitam zalim ka magar
Judayi ke aansuon ka dard sehna abhi baki hai

Woh to madhoshi mein thay ehsaas na kar sake kuch bhi
Hame hosh mein madhosh hona abhi baki hai
Kaise kahen kya zulm hue hain us peh...
Yeh to aaghaaz tha... kuch anjaam abhi baki hai

Mosam badal gaye zamany badal gaye


Mosam badal gaye zamany badal gaye,
Lamhoon main dost barsoon purany badal gaye,

Din bhar rahy jo meri muhabbat ki shaoun main,
wo log dhoop dhalty hi thikany badal gaye,

kl jin k lafz lafz main chahat thi pyar tha,
lo aj un laboon k tarany badal gaye,

Ek shakhs kya gaya mera sheher chor kar,
jeenay k sary dhang purany badal gaye,

Ab wo wo na raha main main na raha,
sary hi zindagi k fasany badal gaye

Meri taqdeer se poochh meri Qismat ka faisla,


Meri taqdeer se poochh meri Qismat ka faisla,
Meri muskrahat pe na ja mera dard talash ker,

Aankhon se pooch mere intizar ki had,
Imtehan pe na ja mera sabar talash ker,
...
Mere doston se pooch meri dosti ka aalam,
Soorat pe na ja meri seerat talash ker,

Jo mill jaye tujh ko meri baaton ka jawab,
To phir tou mujhay khud mein talash ker……
♥ ♥ ♥ POETRYGHAR.COM ♥ ♥ ♥

Marti hui zamee ko bchana pra mjh


Marti hui zamee ko bchana pra mjhe,
Badal ki trha dasht mn ana pra mjhe..

Wo ker nhi raha tha mri bat ka yqen,
Phr yun hua k mar k dikhana pra mje..

Bhole se mri simat koi dekhta na tha,
Chehry pe ik zkham lgana para mjhe..

Us ajnbi se hath milane k wasty,
Mhfil me sb se hath milana para mjhe..

Us bewfa ki yad dilata tha bar bar,
Kal Aayene pe hath uthana pra mjhe..

Aise bichr k to usne marr jana tha,
Us ki nazr mn khud ko girana pra mjhe

Chup Chaap Buhat Ho Tum,



Chup Chaap Buhat Ho Tum,
Koi Baat Karo Janaa


Mehroom-E-Wafa Hun Main
Tere Dur Par Khara Hun Main


Khairaat Karo Janaa
Koi Baat Karo Janaa


Door Ho Tanhai
Mere Khuwaab Mein Aajao


Itna Tu Karo Janaa
Yeh Hijr Ki Kaali Raat,


Hamain De Na Jaaye Maat
Isey Sehr Karo Janaa


Koi Baat Karo Janaa
Ulfat Ki Wadi Mein,


Dukh Sukh Ka Saathi Hun
Mere Saath Chalo Janaa


Koi Baat Karo Janaa!
Main Kaisa Deewana Hun,


Teri Tasveer Se Kehta Hun
Chup Chaap Buhat Ho Tum


Koi Baat Karo Janaa

Bhool jau ke apnay maazi mein rakha kya hai



bhool jau ke apnay maazi mein rakha kya hai
yahi na !
dou chaar mulakaatein
adhooray shikway
adhuri baatein
aur udaas shamen
chand toty hui
phone ki bay rabt callen
aur kya hai apnay maazi mein
bhool jaau . . .

Aik pathar peh bana di gayi surat meri


Aik pathar peh bana di gayi surat meri
Is se barh kar na lagi shehar main kimat meri

Aaj ghabra kar main phir ghar se nikal aya houn
Aaj phir raas na ayi mujhe qurbat meri

Waqt k sath badalna to bohut asaan tha
Muj se har waqt mukhatib rahi gayrat meri

Raat ki gard mere rukh peh jami hay yaroo
Dhoup nikly to zara dekhna rangat meri

Aik pathar peh bana di gayi hay surat meri

Tujhye Kiya Samjhon



Muj ko ulfat bhi naheen
Muj ko adawat bhi naheen
Main tujhe ajnabhi samjhon
k shanasa samjhon ?
Ek khalish si hay
jo beytab kiye deti hay
Dard samjhon K tujhe
dard ka darman samjhon
Tujh se shikwa bhi naheen
Tujh se shikayat bhi naheen
kuch samjh main naheen ata hay
K tujhe kya samjhon
Ajnabhi ajnabhi samjhon
k shanasa samjhon

Wajood apna, Na Rooh apni


Wajood apna, Na Rooh apni
Bas ik tamasha ye zeest thehri,

Na dil-lagi mein sakoon paaya,
Na aashqi mein qaraar paaya,

Na wasl lamhey hi raas aaye,
Na firaaq hi hum guzaar paaye,

Ajab ye chahat k marhaley hain,
Na jeet paaye, Na haar paaye,

Na hi yadoon ki dhunnd utri,
Na dil k daaman ko jhaar paaye,

Na aankhein khawabon ko dhoond paa'een,
Na khawab aankhon ko dhoond paaye,

Bas ik tamasha ye zeest thehri,
Wajood apna, Na rooh apni...!

Ae Wahesht e Dil


Seher ki raat aur main nashaad o nakara phiron
Jagmagati jaagti sarkon peh aawara phiron

Ae gham e dil kiya karon
Ae wahisht e dil kiya karon

Yeh ropheli chaaoun aur aakash par taaron ka jaal
jasey sufi ka tasawar jasey aashiq ka kiyaal

Aah lekin kon samjhe kon jane jee ka haal
Raasty main rok k dam loon yeh meri aadat naheen

Lout kar wapas chala jaon yeh meri fitrat naheen
Aur koy humnawa mil jaye yeh meri kismat naheen

Ae gham e dil kiya karon
Ae wahisht e dil kiya karon

Ek halki halki ahat hay

Ek halki halki ahat hay
Ek mehka mehka saya hay
Yeh kon muj ko khiyalon main
Diwana banane aya hay
Kuch kehti hui woh un ki nazar
Bijli bhi naheen sholah bhi naheen
Is par bhi magar dil ko hum ne
Sene main sulagta paya hay
Zulfoon main chupa kar chehre ko
Hum apne aap se sharmayee
Bhule se humare honton par
Jab naam tumara aya hay..

Bura Na Man Agr



Bura Na Man Agr
"TujKo Pyar Krti Hon"


Gunah Kon Sa Aisa
"Main Yar Krti Hon"


Meri Khataon Main
Meri Samjh Ka
"Nhi Koi Dakhal"


Main Jo Bhi Krti Hon
"Be-Ikhtyar Krti Hon"


Tu Kitny Pyar K Qabil Hai
"Kya Khabar MujKo"


K Main To Jitna B Mumkin
"Hai Pyar Krti Hon"


Woh Ghair Ho Ya Sajan
"Koi B Ho Mgr Us Sy"


Main Tera Tazkra
"Dewana War Krti Hon"


KHUDA Ki Duniya Sy Itni
"Mohabt Nhi Hai Shayed"


KHUDA K ek
Bandy Ko Main
"Jitna Pyar Krti Hon,'
♥ Admin 0306-4696862♥

Na Jaanay Dhoondtay Kya Ho Meri Veeraan Aankhon Me


Na Jaanay Dhoondtay Kya Ho Meri Veeraan Aankhon Me,,,
Chupa Rakhy Hain Ham Nay To Bohat Tufaan Aankhon Me,,,;

Tumhara Zarf Tha Tum Ko Mohabat Yaad Na Aai,,,
Jala Teri Mohabat Ka Diya Har Shaam Aankhon Me,,,;

Kisi Ka Hath Lay Kar Hath Me Jab Tum Milay Ham say,,,
To Kesay Toot Kar Bikhra Tha Mera Maan Aankhon Me,,,;

Na Samjho Chup Hain To Tum Say Koi Shikwa Nahi Baqi,,,
Ham Apny Dard Ki Rakhty Nahi Pehchaan Aankhon Me,,,;

Ek bar suno kuch aisa hua.



Ek bar suno
kuch aisa hua..
Wo mujhko mili
Me us ko mila... Izhar hua
Iqrar hua
Wo chahne lagi
Main chahne laga
usey PYAR bht
Mujhe PYAR bht
PHIR kuch yun hua..
Wo chor gayi
Main toot gaya
PHIR kuch yun mile..
Wo tanha thi
Main akela tha
Bas hum do the
Or koi na tha
Wo rone lagi
Main bebas raha
Na PYAR na hi Izhar raha..
Bas Farq sirf itna sa raha
Wo MITTI k upar roti rhi
Main MITTI k ander sota raha... :'(

Bichar K Tum Sy


Bichar K Tum Sy ZIndagi Saza Lagti HAi.............
Yeh Saans Bhi Jaise Mujh Se Khafa Lagti Hai......

Tarap Uthte Hain Dard K MAare.........................
Zakhmon Ko JAb Tere Sheher Ki Hawa Lagti Hai..

Agar Umeed-e-Wafa Karon To Kis Se Karon.......
♥~Dost~♥
Mujh Ko To Meri Zindagi Hi Be-Wafa Lagti Hai.....

TUM OR MAIN



♥ ("TUM OR MAIN") ♥


'Barish,badal,
Tum or Main.
...Khushbu, mosam,
Tum or Main


Kaley badal, rimjhim barish,
Neela anchal
Tum or Main


Behti nadiyan, girta pani,
Ankhein, ansu
Tum or Main


Pas kisi dariya k koi
Bheega jhonpar
Tum or Main


Door kahin koyal ki ku ku,
Gehra jangal
Tum or Main


Barkha rimjhim geet sunayn,
Jhurmat dalein,
Tum or Main


Door kahin per chota sa ik,
Kach'cha sa ghar
Tum or Main


Kandha tera or sar mera,
Pagal c chup
TUM OR MAIN'....!!

Wao

Related Posts with Thumbnails