Kabhi tarrap utha meri aah se


kabhi tarrap utha meri aah se
Kabhi ashk se na pighal saka
Sar e rah mila wo agar kabhi
To nazar jhuka k guzar gya
Wo uter gya meri aankh se
Meray dil se kyun na uter saka
Wo chala gya jahan chorr k
Main waha se phir na palat ska
Wo sanbhal gya tha mgar
Main bikhar k phir na simat saka

Na Koi Subha Naa Koi Sham Dety Ho


Na Koi Subha Naa Koi Sham Dety Ho
Dil Dharakne Ko Muhabat Ka Naaam Dety Ho.....♥

Roz Chale Atey Ho Khuwabo Main Mere
In Ankhoon Ko Na Ek Pal Tum Araam Detey Ho.....♥

Tum Na Pucho Gay Khabi Haal-e-Dil Mera
Aur Ghairo Ko Har Roz Salam Dety Ho....♥

Hum Ne Yaad Rakha Isliye Mujrim Thehre
Shayad Bhool Jane Pe Tum Inam Dety Ho.....♥

Taskeen na ho jis se wo raaz badal dalo


Taskeen na ho jis se wo raaz badal dalo
Jo raaz na rakh paye hamraaz badal dalo

Tm ne bhe suni ho gi bari aam kahawat hai
Anjam ka ho khatra aghaz badal dalo

Pur soz dilon ko jo muskan na de paye
Sur hi na mile jis main wo saaz badal dalo

Dushman k iradon ko hai zahir agar karna
Tum khail wohi khelo andaz badal dalo

Ay dost karo himat kuch door sawaira hai
Agar chatay ho manzil tu parwaaz badal dalo

Koi WADA Nahi Lekin Phr Bhi Intizar Tha


Koi WADA Nahi Lekin Phr Bhi Intizar Tha
DOOR Hone par Bhi Apne Piyar pe Aetibar Tha

Najane Kyn Be Rukhi Ki Us Ne Hum Se
Kya Hum Se Bhi Ziada Koi Unka Talabgar Tha,

Main usay kaisay akela chor dun is raah main


main usay kaisay akela chor dun is raah main
sath jo chalta raha majburuyn kay baad bhi

Ban kay khushbo rach gya hai yun meray ehsas main
Door ho paaya nahi wo dooryun kay baad bhi

Rafta rafta usko bhi dunya raas aai gai
Muskara kay wo mila hai ranjishon kay baad bhi

Faslay kab kum huay hain raabton kay baad bhi
Ajnabi thay ajnabi hain itni gehri Dosti kay baad bhi

Boseeda purane kisi samaan main rakh de


Boseeda purane kisi samaan main rakh de
Ya phir kisi toote hoye guldaan main rakh de

Chahat k chiraaghon ko to jalna hai jalenge
To in ko uthha ker bhale toofaan main rakh de

Qadmon main taray maslay hoye phool nahi hain
Chahat ki chita hai kisi shamshaan main rakh de

Saansen na chuka paai hain qayamat jo wafa ki
Ab jism ki mitti ko bhi tawwan main rakh de

Mohsin tere jazbaat yahan kon sune ga
Be rabt khayalaat ko deewan main rakh de

MOHABBAT mat SAMJH Laina


MOHABBAT mat SAMJH Laina
Kisi k Sath Chalne OR Dukh Sukh Ki Sharakat KO


Mohabbat mat Samjh Laina
Mohabbat ka Libada Paniyon k Rung Jaisa Hai


Mohabbat saat Parindoon main Nihaan ho kr Ayaan Hai
Ye Hakeekat Hai


Aur Es ki Khushboun Ko
Hum Dhanak main Dhond Sakte


Magar Ye bhi Hakeekat Hai
K Es ko Jis ne Paya Hai


Wo Apna Ap KHO Betha
Ye Mil kr bhi Nahi Milti


Kisi k Sath Chalne or Dukh Sukh Ki Shrakat ko
Mohabbat mat Samjh Laina


K JIS KO CHOO LIYA JAYE
KHUDA WO HO NAHI SAKTA


MOHABBAT AISA NaSHTAR HAI
FANA JO HO NAHI SAKTA

Tum se mere baat hoee thi


Tum se mere baat hoee thi
tum ne mujh ko samjhaya tha
apni zaat se bahir niklo
ghar ko loto
ghar ko dekho
or bhi log tumhare dum se zinda hain
tum main apni sare khusihyan dekh rahe hain
soch lia hai
dekha lia hai
loat aya hoon
lakin mere andar koi toot gia hai !!

Meri jaan sochti hon main


Meri jaan sochti hon main
Agar tum mil na paye tu

Tumhaari yaad ko dill sey
Bhala kaise bhulaoun gi

Jo mousam sang terey beetey
unhain kaise bhulaon gi

Andheri raat main jugnu
bhala kaise jalaoun gi

meri jaan sochti hon main
Tumhain kaise bhulaaon gi

Likha jo naam hay dill per
Usey kaise mitaaoon gi

Jo aadhi umer jeni hay
Wo main kaise bitaaon gi

Meri jaan sochti hoon main
Tumhain kaise bhulaaoon gi

Teri yaadain jo aaen gi
Mujhe pal pal rulay gi

Merey Anchal ko kheinchain gi
Mujhe kuch gud-gudain gi

Meri jaan sochti hoon main
Tumhain kaise bhulaaon gi

Jo baatain tum sey karti hon
bhala kis ko bataaon gi

Naya jab sher likhoon gi
Tu main kis ko sunaon gi

meri jaan sochti hoon main
Tumhain kaise bhulaaoon gi

Meri jaan Jaan lo tum bhi
Tumhain na bhool paoon gi

Nazm Ulajhi Huwee Hai Seenay Main


Nazm Ulajhi Huwee Hai Seenay Main
Misray Atkay Huway Hain Hothon Par

Urtay-Phirtay Hain Titaliyun Ki Tarah
Lafz Kaagaz Pe Baithtay Hi Nahi

Kab Se Baithaa Hoon Main Jaanam
Saaday Kaagaz Pe Likh K Naam Teraa

Bas Teraa Naam Hi Mukammal Hai
Iss Se Behtar Bhi Nazm Kya Hogi

Kabhi Sang-E-Dar Ki Hai Justujoo


Kabhi Sang-E-Dar Ki Hai Justujoo,
Kabhi Naqsh-E-Paa Ki Talash Hai,

Mera Dil To Hai, Sanam Aashna,
Mujhe Kis Khuda Ki Talash Hai,

Yun Kured Mujhko Na Door Tak,
Abhi Aag Hai, Meri Raakh Mein,

Jahan Khaak-E-Jaan Zara Baith Le,
Mujhe Us Faza Ki Talash Hai,

Kahin Hasraton Ki Hama Hami,
Kahin Khamoshi Ki Hai Daldalein,

Ye Ajab Khudi Ki Hai Khudsari,
Gam-E-Khushnuma Ki Talash Hai,

Kisi Raaste Se Milan Sahi,
Koi Ho Waseela To Karger,

Teri Justuju Hai Talash-E-Haq,
Mujhe Baddua Ki Talash Hai,

Ye Gubar-E-Azmat-E-Karvan,
Yehi Manzilon Ka Nishan Hai,

Kahin Barq Raah Mein Gum Hue,
Kahin Raahnuma Ki Talash Hai...

Mairay Israar Par Aakhir


Mairay Israar Par Aakhir,
Bohat Majboor Ho Kar Aaj.
Mujhay Apni Nigaahoon Ki,
Udaasi Soanp Di Uss Nay.
Bohat Baybas,
Bohat Tanha,
Bohat Bikhri Mohabbat Ki.
Haqeeqat Khol Di Uss Nay.
Khalish Jo Uss Kay Dill Main Thi,
Wo Ab Meri Amaanat Hay.
Shikasta Lehjay Ki Jitnni,
Thakan Thi,
Boal Dii Us Nay.
Meri Khatir Mujhay Apni,
Mohabbat Keh Nahin Paai.
Magar Aaj Apnay Aansoo Say,
Mohabbat Toal Di Uss Nay.
Haqeeqat Khol Dii Uss Nay...........

Main Tum Ko Chahta Hoon


Main Tum Ko Chahta Hoon
Junoon Ki Dehshat Main
Jaan Se Ghuzar Jane Ki Had Tak
Main Tum Ko Janta Hoon
Rooh K Bay Unt Saagar Main
Utar Jane Ki Had Tak
Main Tum Ko Poojta Hoon
Mohabbat Ki Haseen Devii Se
Sir Takra K Mar Jane Ki Had Tak
Main Tum Ko Souchta Hoon
Kabhi Duniya Kabhi Khud Se
Magar Jane Ki Had Tak
Main Tum Ko Dekhta Hoon
Faseel Dard Par Rakhay
Mehaktey Khuab Ki Khushboo
Bikhar Jane Ki Had Tak
Yakin Janoo K Main Ye Jurm
Ek Pal Main Hazaroon Baar Karta Hoon
Tumhain Maloom Hota Kaash
K
Main Tum Se Kitna Pyaar Karta Hoon

Yaad aate ho shaam dhalte hi


yaad aate ho shaam dhalte hi
jal gaya dil chiraagh jalte hi


gham k dawaaze khul gaye mujh par
halki halki hawa k chalte hi


khud ko tabdeel kar liya tumne
ik naya hamsafarbadalte hi


gir k ham sambhal gaye
aur tum gir pade sambhalte hi


phail jaati hai chaandni har soo
chaand k baam par nikalte hi


laakh gham aa gaye shahzaad
ik gham mere sir se talte hi

Website for Sale

For more detail sms me at:

+92-306-4696862

Hum To Aaj Bhi Usko Usi Tarah Chahte Hain Mohsin


Hum To Aaj Bhi Usko Usi Tarah Chahte Hain Mohsin
Jase Koi Sukha Hua Darakht Barish Ka Talabgar Ho.

Aj Kch Waqt K Liye Pas Meray Kash Tum A Jao


Aj Kch Waqt K Liye Pas Meray Kash Tum A Jao
Bht Tanha Hon Main Aj Kash Tum A Jao
Kabi Khud Ko Itna kamzor Na Honay Dia Mainay
Par AJ Bikhar Gya Hon Main Kash Tum A Jao
Kaafi Din Say Ji Raha Hon Bin Teray
Aj NAi Guzar Rha Ek Pal Kash Tum A Jao
Waqt Ki Raftar B Jaisay Tham Si Gai Ha
Tham Na Jain Meri Saans Kash Tum A Jao

Wo Mujh se Aksar Kehti thhi..


Wo Mujh se Aksar Kehti thhi..
Meri Bas Itni Khuwahish hai..
Kuch Is tarhaan se Jaani Jaaon..
AAP k Naam se Pehchaani Jaaon..!

Wo mera poochna tujh se.


Wo mera poochna tujh se..
Tumhen Kia Piyaar hai Mujh se..??
Wo tera Muskura dena..
Nigahon ko Jhuka Lena..
Merey Kaandhay per Sar rakh k..
Nafi mein sar HiLa dena..! :)

Roz Aata Hai Merey diL ko TassaLi deney.


Roz Aata Hai Merey diL ko TassaLi deney..
Tujh se to aey Dushman-e-Jaan' Tera KhayaL acha hai..

Woh jo hum maiN tum maiN qarar tha


Woh jo hum maiN tum maiN qarar tha tumhaiN yaad ho keh nah yaad ho
Wohi yaani waada nibah ka TumhaiN yaad ho keh na yaad ho

Woh naay gilay woh shikaayateN Woh mazay mazay ki hikayateN
Woh har ik baat peh roothna TumhaiN yaad ho keh na yaad ho

Koi baat aisee gar hooee Keh tumharay jee ko buree lagee
To bayaN say pehlay hee bhoolna TumhaiN yaad ho keh na yaad ho

Suno zikr hai kai saal ka , koi vaada mujh se tha aap ka
Wo nibahne ka to zikr kya TumhaiN yaad ho keh na yaad ho

Woh jo lutf mujh peh thay peshtar Woh karam keh tha mray haal per
Mujhay sabb hay yaad zara zara TumhaiN yaad ho keh na yaad ho

Kabhi hum maiN tum maiN bhi chah thee Kabhi hum maiN tum maiN bhi rah thi
Kabhi hum bhi tum bhi thay aashnaa TumhaiN yaad ho keh nah yaad ho

Hooay ittefaq say gar baham To wafa jatanay ko dam badam
Gila-e-malamat-e-aqrabaa TumhaiN yaad ho keh na yaad ho

Wo jo lutf mujhpe the peshtar, wo karam ke tha mere haal par
Mujhe sab hai yaad zara zara TumhaiN yaad ho keh na yaad ho

Kabhi baithe sab mein jo ru ba ru to isharaton hi se guftgu
Wo bayan shauk ka barmala TumhaiN yaad ho keh na yaad ho

Kiya baat main ne wo kothe ki, mere dil se saaf utar gayi
to kaha ke jaane meri bala TumhaiN yaad ho keh na yaad ho

Woh bigarnaa wasl ki raat ka Woh naa ma’an-na kisi baat ka
Who nahiN nahiN ki har aan adaa TumhaiN yaad ho keh nah yaad ho

Jisay aap gintay thay aashnaa Jisay aap kehtay thay baawafa
MaiN wohi hooN Momin-e-mubtalaa TumhaiN yaad ho keh nah yaad ho

Uska Hans K Nazren Jhuka Lena..




Uska Hans K Nazren Jhuka Lena..
Saari Sharten QabooL Hon JeseY..
Kitni DiLchasp hay Uski Khamoshi..
Saari Baaten FazooL Hon Jesey..! ;)

Tu mujhy hath per saja ly kangan ki tarah


Tu mujhy hath per saja ly kangan ki tarah,
Main liptna chahta hoon tujh sy aanchal ki tarah,
Daikho kabhi na tum in aankhoon main aansoor lana,
Main saja hoon teri aankhoon main kajal ki tarah,
Our tu hay mery dil main is tarah,
Jesy baithi ho new saij per dulhan ki tarah

Hum Karen PeheL' Ya Udhar se ho Ibtida..


Hum Karen PeheL' Ya Udhar se ho Ibtida..
Barson guzar gaye issi Intezaar mein.

Suna hai log usay aankh bhar ke dekhtay hain


Suna hai log ussay aankh bhar ke dekhtay hain
So us ke shehar mein kuch din thehar ke dekhtay hain

Suna hai rabt hai us ko kharaab haloon se
So apne aap ko barbaad kar ke dekhtay hain

Suna hai dard ki ghaahak hai chashm-e-naaz us ki
So hum bhi us ki gali se guzar ke dekhtay hain

Suna hai us ko bhi hai shair-o-shaeri se shaguf
So hum bhi moujazzay apne hunar ke dekhtay hain

Suna hai bolay tu batoon se phool jhartay hain
Yeh baat hai tu chalo baat kar ke dekhtay hain

Suna hai raat ussay chaand takta rehta hai
Sitaaray baam-e-falak se uttar ke dekhtay hain

Suna hai din ko ussay titleyaan sataati hain
Suna hai raat ko jugnoo thehar ke dekhtay hain

Suna hai hashar hain us ki ghazaal si ankhain
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhtay hain

Suna hai raat se barh kar hain kaaklain us ki
Suna hai shaam ko saaye guzar ke dekhtay hain

Suna hai us ki seyaah chashmagi qayaamat hai
So us ki surma farosh aah bhar ke dekhtay hain

Suna hai us ke laboon se gulaab jaltay hain
So hum bahaar pe ilzaam dhar ke dekhtay hain

suna hai aaenaa tamsaal hai jabeen us ki
Jo saada dil hain ussay ban sanwar ke dekhtay hain

Suna hai jab se hamaayal hain us ki gardan mein
Mizaaj aur hi laalo-gohar ke dekhtay hain

Suna hai chashm-e-tassavur se dasht-e-imkaan mein
Pallang zaweyey us ki kamar ke dekhtay hain

Suna hai us ke badan ki taarash aisi hai
Ke phool apni qubaayain qattar ke dekhtay hain

Bas ek nigaah se lut’ta hai qaafila dil ka
So reharwaan-e-tamanna bhi dar ke dekhtay hain

Suna hai us ke shabistaan se muttasil hai behisht
Makeen idhar ke bhi jalway udhar ke bhi dekhtay hain

Rukay tu gardishain us ka tawwaaf karti hain
Chalay tu us ko zamaany thehar ke dekhtay hain

USAY WAQT KAHAN HAI.


(¯`*•.¸♥USAY WAQT KAHAN HAI...!!♥¸.•*´¯)

Masroof Hai Din Raat, Usay Waqt Kahan Hai,,
Woh Mujhse Karay Baat, Usay Waqt Kahan Hai.....♥
Betaabii e Dil Ka Usay Andaaza Nahin Hai,,
Samjhe Mere Jazbaat, Usay Waqt Kahan Hai.....♥
Woh Ponchhay Meri Aankh Se Behte Huwe Aansoo,,
Ae Rang e Barsaat, Usay Waqt Kahan Hai.....♥
Bhoolay Se Hi Poochhnay Aajaye Mera Haal,,
Ae Gardish e Haalaat, Usay Waqt Kahan Hai.....♥
Mojon Mein Tarapta Huwa Main Doob Raha Hoon,,
Thaamay Woh Mera Haath, Usay Waqt Kahan Hai.....♥

Tumhen MaLoom hai Jana


Tumhen MaLoom hai Jana..!?
K Tum bhi aik QaaTiL ho..
Merey ander ka hansta hua Insaan..
Tum ne maar daLa hai..!

BadaL ne KaL Raat ko.


BadaL ne KaL Raat ko..
Mujh ko RoTey Dekha thha..
Ye Manzar Usko Itna Bhaya..
K..
Raat se Paani Baras Raha Hai..!

Mujhe Yaqeen to nahe' Magar yehi Sach hai.


Mujhe Yaqeen to nahe' Magar yehi Sach hai..
Mein terey Waastey Umren Guzaar sakta hun..
Bus yehi nahe k tujhe Jeetney ki Khuwahish hai..
Mein terey Waastey' Khud ko bhi haar sakta hun..!!

Hamen to Saath ChaLna Thha.


Hamen to Saath ChaLna Thha..!!?
Hamen to Saath Rehna thha..
Tumhen aik Ghar banana thha.
Mujhe jis ko Sajana thha..
Sunehri JaaLion se Lag k' Tera Intezaar Karna thha..
Agar Tum der sey Aatey to..
Mujhe ko Rooth Jana thha..
Tumhen Mujh ko Manana thha..
PaharoN per PighaLti Baraf ki manand...
Mujhe Dheerey se Hansna thha..
Bohat si Un Kahi Baaton ko..
Hum ne Lufz deney thay..
Kabhi Barish k Mosom mein..
Younhi Sheeshon pe Bajtey Jaltarang Sun k..
Kaye Nazmen tumhen apni..
Mujh se Mansoob karna theen..
Abhi to tum ne mujh ko..
Baansri k Sur sikhaaney they..
Hamen to Saath ChaLna Thha..!!?
Hamen to Saath Rehna thha..

Koi Shay PalaT k Wapis Nahe aati..


Koi Shay PalaT k Wapis Nahe aati..
Siwaye MoSomoN K..
Kaash..!
Tum bhi MosOm Hotey..

Mosam


* MosOm *
Khushbu ki Poshaak Pehn ker..
Kon GaLi men Aaya hey..?
Kesa ye Peghaam Rasan hey..
Kia Kia Khabren Laya hay..?
Khirki KhoL k Bahar Dekho..
MOsOm Merey DiL ki Baaten..
Tum se Kehney Aaaya hay.. !;)

Jub bhi Raat ko Ghar aaata hun..


Jub bhi Raat ko Ghar aaata hun..
Darwaazey per dastak detey Lamhey..
Aksar meri Soch ye Mujh se kehti hey..
Aaj to darwaza kholey gi..
Mujh ko dekh k Muskaaye gi..
Mera Maatha choomey gi..
Sharmaaye gi..
Ghar men DaakhiL hotey hi..
Mein bhi koi Shararat Kardun ga..
To khud men Simat k reh jaaye gi..
Mein bhi Kitna PagaL hun na..????
KIa Kia Socha Karta Hun..!!

Shereen bhi nahin , Lela bhi nahin


GirL's RepLy :
Shereen bhi nahin , Lela bhi nahin
Main heeer nahin , Azra bhi nahin
Wo qissa hain afsanaa hain ..
Wo Geet hein’ prem tarana hain ..
Mein zinda aik haqeeqat hun ..
Mein juzba-e-ishq ki shiddat hun ..
Mein tumko dekh k jeeti hun..
Mein her pal tum pe merti hon .
MEIN AISI MOHABBAT KARTI HUN..
TUM KESI MOHABBAT KARTEY HO..???!!!


Jub haath dua ko uthtay hain ..
Alfaaz kahin khoo jatay hain…
Bus dehaan tumhara rehta hai ..
Aur ansoo behtay rehtey hain
Her khuwab tumhara poora ho
Is RAB ki minnat kerti hun ..
MEIN AISI MOHABBAT KARTI HUN..
TUM KESI MOHABBAT KARTEY HO..???!!!


Mujhay thundak Raas nahin aati ..
Mujhay Barish se khauf aata hai ..
Per Jis din se maloom huaa ..
Ye mosum tumko bhaata hai ..
Ab jub bhi sawan aataa hai ..
Baarish mein bheegtii rehti hon ..!!
Qatroon mein tumhi ko dhoondti hun ..
Bondoon se tumhara pochtii hun ..
MEIN AISI MOHABBAT KARTI HUN..
TUM KESI MOHABBAT KARTEY HO..???!!!


Tum jub bhi ghar per aatay ho..
Aur sub se baaten kertey ho..
Main aot se Pardey ki janaa'n ..
Bus tumko dekhti rehti hun..
Aik tumko dekhnay ki khaatir ..
Main kitni pagal hoti hun..!
MEIN AISI MOHABBAT KARTI HUN..
TUM KESI MOHABBAT KARTEY HO..???!!!


MAIN zinda aik haqeeqat hun
Main juzba-e-ishq ki shiddat hun
Main tumko dekh k jeeti hun
Main her pal tum pe merti hon
MEIN AISI MOHABBAT KARTI HUN..
TUM KESI MOHABBAT KARTEY HO..???!!!

Aik Larki Bholi BhaaLi si..


Aik Larki Bholi BhaaLi si..
Apni hi Dhunn mein rehti thhi..
Wo Larki Shokh-o-Chenchal si..
PhoLon se Baten karte thhi..
TiTLi k Rang Pakarti thhi..
Aik dhanak thhi Us k Anchal per..
Phir Janey Kia Toofan Aaya..?
TiTLi k Rang bikhar gaye..
AnchaL k Rang utar gaye..
Sapnon k Jugnu maand parey..
Jub poocha Kisi ne Aey Larki..!!
Kiun Tum ne ye Chup Saadi Hai...?!!?
Wo Kuch na boLi' Bus Ro dee...
Aur Khaak per Haath ki UngLi se.
Aik Lufz "MohabbaT" Likh daLa...!

Mujh say har bar wo Nazren chura leta hai Faraz..


Mujh say har bar wo Nazren chura leta hai Faraz..
Main ne Kaghaz par bhi bana k dekhi hain Aankhen Uski..

Wao

Related Posts with Thumbnails