Bayaan her kisi se


Bayaan her kisi se hijr-o-wisaal krte ho..
Kyun apne shehr mein jeena muhaal krte ho..

Bichar k bhala mile hein musafir b..?
Kyun apne aap ko yun hi nidhal krte ho..

Suna hai wo b tumhein pochta hai aise hi..
Tum us k baare mein jese sawal krte ho..

Wo aashnai usy yaad hi na ho shayad..
Wo jis k naam pe sab maah-o-saal krte ho..

Boht aziz tha shayad wo iss liye "MOHSIN"..
Bicherne wale ka ab tk malal krte ho...

Lag na jaaye kahein Betaaab


Lag na jaaye kahein Betaaab Sitaaron ki Nazar..
CHAND sy chehry ko Aanchal mein Chupa kar sona.

Naram naram pholon ka russ nichor laity hain


naram naram pholon ka russ nichor laity hain,
pathar k dil hoty hain titliyon k seeny mein!

Tu badalta hai to be-sakhta meri aankhen


Tu badalta hai to be-sakhta meri aankhen
apnay haaton kee lakiron mein ulaajh jaati hain

Muhabbat Mujhe Tum Se Nahain Tere Kirdar Se Hai


Muhabbat Mujhe Tum Se Nahain Tere Kirdar Se Hai Ghalib...!
Warna Haseen Loog Tu Bazar Main Aam Bika Kerte Hain

Wo Kya Jane Main Khuda Se Kya Maangta Hoon


Wo Kya Jane Main Khuda Se Kya Maangta Hoon?
Uski Salam-ti Ki Hamesha Duaa Mangta Hoon,

Agar Anjaane Main Ho Jaaye Koi Us se khata,
To De Mujhe Uski Saza Ye Maangta Hoon,

Agar Lag Jaaye Koi Gham Us ko Ya Ho Jaye Wo Pareshaan,
To Meray Haq Main Wo Saari Takleefein Maangta hoon,

AiY KHUDA Meray Mehboob Ko Gham Se Door Rakhna,
Din Raat Uskay Saaray Gham Maangta Hoon,

Wo Ho Hamesha Kaamyaab Uski Her Khwahish Ho Poori,
Buss Ye Chaahta Hoon Aur Uski Khushi Maangta Hoon,

Main Jaanta Hoon K Wo Meri Nahin Hai Lekin,
Main Hamesha KHUDA Se Uska Saath Maangta Hoon...

Mujse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine


Mujse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine,
teri tasveer thi jo tujhse chupa li maine,

jis pe likha tha ki tu mere muqaddar mein nahi,
apne maathe ki woh tehreer mita li meine,

har janm sabko yahaan sachha pyaar kahaan milta hai,
teri chaahat mein to umr bita li meine,

mujhko jaane kahaan ehsaas mere le jaayein,
waqt ke haathon se ek nazm utha li meine,

ghere rehti hai mujhe ek anokhi khushbu,
teri yaadon se har ek saans saja li meine,

jiske sheron ko woh sunke bahut roya tha,
bas wohi ek ghazal sabse chupa li meine...

Ye kyaa sitam hai ke ehsaas-e-dard bhii kam hai


ye kyaa sitam hai ke ehsaas-e-dard bhii kam hai
shab-e-firaaq sitaaroN meN roshnii kam hai

ye kaisii mauj-e-karam thii nigaah-e-saaqii meN
ke us ke baad se tuufaan-e-tishnagii kam hai

qariib-o-duur se aatii hai aap kii aavaaz
kabhii bahut hai Gham-e-justujuu, kabhii kam hai

shauur-e-ishq ab aayaa hai apnii manzil par
huzuur-e-husn tamannaa-e-beKhudii kam hai

tamaam umr teraa intizaar kar leNge
magar ye ranj rahegaa ke zindagii kam hai

uruuj-e-maah ko insaaN samajh gayaa lekin
hunuuz azmat-e-insaaN se aagahii kam hai

na the bahaar-e-chaman ham magar ye sunte haiN
hamaare baad guloN meN shaguftagii kam hai

na saath deNgii ye dam toRtii hu’ii sham’meN
naye chiraaGh jalaao ke roshnii kam hai

Dhoop ho chaho`n ho tum saath nibhaya kerna


Dhoop ho chaho`n ho tum saath nibhaya kerna,
merey chehray pe sada palkon ka saaya kerna,

raah dekhunga tumhari main tamam umar,
kabhi jaldi kabhi dair say aya kerna,

daant lena sar e mehfil koi baat nahi,
phir akelay main gale lag k manaya kerna,

jaan jaoonga main khushbu say tumhari tum ko,
tum peechay say meri aankhon ko chupaya kerna,

jaagna chahun to raat bher kerna batein,
neend ajaye to seenay pe sulaya kerna ...

Abhi to "BAAZ" ki asal uraan baqi hai



Abhi to "BAAZ" ki asal uraan baqi hai
Abhi to app ka "IMTEHAN" baqi hai

Abhi to app ne "ZAMEEN" dekhi hai
Abhi to puraa"AASMAN" baqi hai

Wao

Related Posts with Thumbnails