Main Kyon Na Tarq-E-Taluq Ki Ibteda Karta


Main Kyon Na Tarq-E-Taluq Ki Ibteda Karta,
Wo Door Des Ka Baasi Tha Kya Wafa Karta,


Wo Mere Zabt Ka Andaza Karne Aaya Tha,
Main Hans Ke Zakhm Na Khata To Aur Kya Karta,


Hazar Aaine Khano Mein Bhi Na Paa Saka,
Wo Aaina Jo Mujhe Khudse Aashna Karta,


Dar-E-Qafas Pe Qayamat Ka Habs Tha Warna,
Saba Se Zikr Tera Main Bhi Sun Liya Karta,


Meri Zameen Tu Agar Mujhko Raas Aa Jaati,
Main Rifaton Mein Tujhe Aasman Sa Karta,


Gam-E-Jahan Ki Mohabbat Lubha Rahi Thi Mujhe,
Main Kis Tara Teri Chahat Pe Aasra Karta,


Agar Zuban Na Katti To Shaher Mein MOHSIN
Main Pattharon Ko Bhi Ek Roz Hamnawa Karta...

Wao

Related Posts with Thumbnails