Kuch Nahi Milta. . .


Kisi Ki Rah Me Aankhan Bicha Ker Kuch Nahi Milta,
Ye Dunya Bewafa Hai Dil laga Ker Kuch Nahi Milta,

Koi bhi luat Ker Ata Nahi Aanso Bahane Se,
Kisi Ki Yaad Me Dil Ko Rula Ker Kuch Nahi Milta,

Kisi Ki Dil Pe Kia Guzri Kisi Ko Kya Khaber,
Kisi Ko Apna Hal-E-Dil Suna Ker Kuch Nahi Milta,

Jo Dil Me Baat Hoti Hai Woh Khud Aankhain Batati Hain,
Kisi Bhi Baat Ko Dil Me Chupa Ker Kuch Nahi Milta........

Chand aur Suraj Ka pyar


Jo na hua kabhi woh ek raat ho gya,
Chand ko suraj se pyar ho gya.

Chand k jatay hi aasmaan udaas ho gya,
Suraj to jalta hi raha intezar mein or aag ho gya.

Suraj ki khata se chand k liye andhera ho gya,
Chand ne ki bewafai or taaron k saath ho gya.

Sila mila kuch is tarha dono pe girhan ho gya,
Karte rahay berukhi hamesha k liye,

Ek ban gaya DIN or dosra Raat ho gaya. . .

Saawan B tum ho.


Mera saawan B tum ho meri pyas B tum ho,
Sehra ki bahon mein chupi aas B tum ho,

Tum yun to bht door bht door ho mujh sy,
Ehsaas ye hota hy Mery paas B tum ho.

Hr zakham ki aghosh mein hy dard tumhara,
Hr dard mein taskeen ka ehsaas B tum ho.

Kho jao to veeran c ho jaati hein rahein,
Mil jao to phir Jeeny ka ehsaas B tum ho.

Likhta hon to tum hi utarty ho qalam sy,
Parhta hon to lehja B tum,Aawaz B tum ho…!

Wichoray Reh Gy. .


Lekhan vich wichoray reh gy.
Athroo ro ro thoray reh gy.

Ik na manni onay mri,
Hath v mere joray reh gy.

Jandi wari chad gya menu,
Pijjay vaal nichoray re gy.

Eid di fajray mur ni aya,
Motiye de phul toray reh gy.

Hun te aa ky mil sajna nu,
Zindagi de din thoray reh gy. . .

~*Romantic Poetry*~

Dil Kay Pass

Ek rat khawab main meiny dekha,

chand se pocha chupke se,

aj mujhay ik baat btaoo,

apne dil ka hal sunao,

kia koi aisa jo,

tum ko acha lagta ho,

dil kay pass jo basta ho,

chand nay tera naam lia,

main nay dil ko thaam lia,

jab se dekha hai yeh sapna,

tab se chand raqeeb hai apna……

Aapki Ek Jhalak

Aapke khayalon se fursat nahi milti…

hame ek pal ki raahat nahin milti…

mil to jata hai sab kuch..

bas aapki ek jhalak nahin milti.


Wafa kay Rang


KABHI TUM MILNY AOO NA

Tumain mahsos karna hai…

Tumari zaat main khoo kar

Tumarrah hisa banna hai…

Teri viran ankhoon main,

Tumari bikhri batooun main,

Wafa k rang bharny hain…

Tumary phool chahry pay udasi ka jo manzer hain,

Yahn apni chahat se hasi k NAQSH karny hain…

Kabhi tum milny aoo na…



Lagta Nahi


Lagta NahI Ky’E Sath Nibhay’E Ga Dair Tak

LekiN Wo Mujh Ko BhOoL Na Pay’E Ga Dair Tak

*****

Jo BhI Qareeb Aay’E Ga Us Ky’E, Usy’E ZurooR..

Wo Meri DaastaN Sunay’E Ga Dair Tak……..!

*****

DOondy’E Ga Wo Mujhy’E, Enhi GalYun MeIN Ek DiN..

DOondy’E Ga Aur Mujh Ko Na Pay’E Ga Dair Tak….

*****

MaIN SaahiLoN Ki Rait Py’E LiKhuN Ga Us Ka NaaM

Wo PaaNi Py’E Mera Naqsh Banay’E Ga Dair Tak….

*****

Kis Haal MeIN HOoN Us Sy’E Bicharny’E Ky’E Baad MeiN…?

SuN Kar Usy’E YaqeeN Na Ay’E Ga Dair Tak……..

Un jheel si gehri aankhon mein. . .

mchapeuzb4.gif picture by Siddiq Ashraf

Unn jheel si gehri aankhon mein ik shaam kaheen abad to ho

uss jheel kinaaray pal do pal

ik khwaab ka neela phool khilay.....

wo phool bahaa dein lehron mein

ik roz kabhi hum shaam dhalay......

uss phool kay behtay rangoun mein

jis waqt larazta chaand chalay

uss waqt kaheen unn aankon mein uss bisray pal ki yaad to ho

unn jheel si gehri aankhon mein ik shaam kaheen abad to ho



Phir chaahay umer samundar ki

har mouj pareshaan ho jaaye....

phir chaahay aankh dareechay say

har khwaab guraizaan ho jaaye....

phir chaahay phool kay chehray ka

har dard numaayaan ho jaaye.....

uss jheel kinaaray pal do pal wo roop nagar ejaad to ho

din raat kay uss aayinay mein wo aks kabhi azad to ho

unn jheel si gehri aankhon mein ik shaam kaheen abad to ho
. . .

Poochte ho to suno. . .


Poochte ho to suno kaun hoon main
chand simte hue ashaar hoon main

Sirf tareef se yahan kuch nahi hota
aapki duaon ka talabgaar hoon main

Bayaan-e-dil pesh karta hoon jabh
log kehte hai dil-e-beemar hoon main

Bolun agar khara to hoon shamsheer
aur agar likh daalon to talvaar hoon main

Tareef karne par agar utar aaon kabhi
to gulfaam hoon mai, gulzaar hoon main

Jazbaat ko savaarna jaanta hoon bahut khoob
shayeri ka sar-taj hoon, shahkaar hoon main

Lafzon se yun khelna sabko nahi aata
mujhe aata hai, samajhdaar hoon main

Hain aur bhi sukhanwar is hunar ke dost
math bolo ke 'Tanha' gunhagaar hoon main
For ur comments & suggestion
Email:- Good_good642@yahoo.com

Wao

Related Posts with Thumbnails